Aankhen Shayari

Aankhen Shayari - A large collection of Aankhen Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Aankhen Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Aankhen Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Aankhen Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Aankhen Shayari

Showing Aankhen Shayari 91 - 100 of 243, Page 10 of 25 pages.

Aey Zindagi Aik Baar Tu Nazdeek Aa Tanha Hoon Main
Ya Door Say Phir Dey Mujhey Koi Saza Tanha Hoon Main
Duniya Ki Mehfil Mein Kahin Main Hoon Bhi Shayad Ya Nahin
Ekk Umr Say Iss Soch Mein Dooba Hoon Tanha Hoon Main

 0 People liked it
0 Ratings

Khoobsurat Tumhari Aankhen,
Aankhon Mein Haya Bhi Hai
Inpe Duniya Main Vaar Deta,
Par Ye Cheez Khuda Ki Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Go Rozaye Aqdas Ki Talab Gar Hain Aankhain
Sach Poocho To Khud Rah Ki Deewar Hain Aankhain
Allah Re Ye Jurratain Be Taab Nigahain
Be Noor Hain Aur Talib-E- Deedar Hain Aanakhin
Jis Shahar Mai Bik Jatey Hain Khud Akai Kharedar
Us Shahar Mai Awara-E- Bazar Hain Aankhain

 0 People liked it
0 Ratings

Jo Poochta Hai Koi Surkh Kiun Hain Aj Ankhain
To Ankh Mal Ke Kheti Hon Ke Raat So Na Saki
Hazar Chahon Magar Yeh Na Khe Sakon Gi Kabhi Bhi
Ke Raat Ronay Ki Khuwhish Thi Magar Roo Na Saki

 0 People liked it
0 Ratings

Ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha Karna
Taron Mein Hansa Karna, Phoolon Mein Khila Karna
Jab Se Tumhein Dekha Hai, Jab Se Tumhein Paya Hai
Kuchh Hosh Nahin Mujhko, Ek Nasha Sa Chhaya Hai
Ab Baat Jo Karni Ho, Aankhon Se Kaha Karna
Aey Kaash Dharkta Dil, Kuchh Der Thahar Jaaye
Ye Raat, Mohabbat Kii, Yunhii Na Guzar Jaae
Baqi Hai Abhii Tum Par, Ye Jaan Fidaa Karnaa
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna
Kismat Na Dikhaye Ab, Ghariyaan Hamein Furaqat Ki
Har Raat Yuunhi Chamake,Taqadir Mohabbat Ki
Aey Chand Sitaaro Tum Mil Jul Ke Duaa Karna
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna

 0 People liked it
0 Ratings

Ulati ho gain sab tadabiren, kuch na dawa ne kam kiya
dekha is bimari-e-dil ne aakhir kam tamam kiya
ahd-e-javani ro-ro kata, piri mein lin aankhen mund
yani raat bahot the jage subah hui aaram kiya
Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam :Meer Taqi Meer

 0 People liked it
0 Ratings

Unki Aankhon Main Andaz Bade Hi Gehre Rehte Hain
Chhup Chhup Ke Wo Taaron Se Hamari Batein Kehte Hain
Jab Koi Puchta Hai Unse Is Lutf-e-Zindgi Ki Wajah
Na Jane Kyu Wo Nazren Jhukaye Muskurate Rehte Hain

 0 People liked it
0 Ratings

Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain,
Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi,
Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To,
Saath Dekhe Hue Khwab Kabhi Mittey Nahi

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Aankhen Shayari 91 - 100 of 243, Page 10 of 25 pages.