Aankhen Shayari

Aankhen Shayari - A large collection of Aankhen Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Aankhen Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Aankhen Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Aankhen Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Aankhen Shayari

Showing Aankhen Shayari 111 - 120 of 243, Page 12 of 25 pages.

Baat ezhaar tak chali ayi.
lali rukhsaar tak chali ayi.
dondhte hi dondhte nazar tujh ko.
dar-e-dedar tak chali ayi.
tere jane ki jub khabar phali.
tergi der tak chali ayi.
kua kashsh thi keh chahne wali.
shahar se ghaar se chali ayi.
kub se wo rukne wali thi.
mout darbaar tak chali ayi.
itna roye ansoon ki nami.
teri dewaar tak chali ayi.
tere ghum naara

 1 People liked it
0 Ratings

Aankhon Ko Ho Sakay To Zara Ashkbaar Rakh
Paiwastah Rah Shajar Se Ummeed-E-Bahar Rakh
Gham Se Jo Hai T-Alluq Usay Ustwaar Rakh
Rakhna Hi Hai Agar To Dil-E-Sogwaar Rakh
Sarchashma Terey Dil Main Muhabbat Ka Hai Agar
Sookhay Har Aik Hont Pe Aansoo Ki Dhaar Rakh
Aiy Maut Zindagi Ka Abhi Haath Main Hai Haath
Thamoonga Tera Haath Bhi, Tu Aitbaar Rakh
Dil Main Naheen Jo Ishq To Kaahe Ki Bandagi
Sajday Main Apnay Sar Ko Agarche Hazaar Rakh
Kaaba Agar Naheen To Isay Butkada Bana
Dil Main Khuda Ki Yad Ya Tasveer-e-Yar Rakh
Hamlay Shadeed Honge Anaa Ke Khatiib Phir
Qaaim Khudi Ke Gird Khuda Ka Hisaar Rakh

 0 People liked it
0 Ratings

Payar Karnay Kay B Kuch Adaab Howa Kartay Hai
Jaagti Ankhoo Main B Kuch Khwaab Howa Kartay Hai
Rooo Kar Dekhaya Har Koi Yha Zaroori To Nahi
Kooshk Ankhoo Main B Saylaab Howa Kartay Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Tumhari In Siyah Aankhoun Main
Meri Zindagi Ki Shama Jalti Hai
Jab Tum Kareeb Se
Meri Taraf Deakhtay Ho
To
Meri Zindagi Se Saansay Aur Barh Jati Hain
Aur Jab
Tum Musuratay Ho
To
Tumhari Is Muskurahat Se
Mera Dil Aur Zor Se Dharakta Hai
Aur Main Yeh Dua Mangti Hoon
Kaash!
KHUDA Karay
Tumhari Aankhoun Ki
Aur Hountoo Ki Muskurahat
Sada Youn Hi Qaim Rahay

 1 People liked it
0 Ratings

Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?
Main To Bus Khamosh Sa Sha‘Ir
Ulfat Chahat Ke Rango Se
Dil Ki Khali Tasveero Me
Koi Mohabbat Likh Deta Hoon …
Aur Kabhi Deewar Se Lagkar
Koi Mohabbat Ro Deta Hoon …
Aur Kabhi Aankho Aankho Mein
Saari Baatein Keh Jata Hoon ….
Main To Ek Khamosh Sa Sha‘Ir
Mujhko Baatein Kab Aati Hain ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Kiya Mujh Ko Chhor Kar Jaati ???
Mere Sapne Tod Kar Jaati ???
Kiya Meri Aankho Mein Dukh Ke
Itne Aansoo Dekh Sakti Thi ???
Mera Kul Sarmaya Tha Jo
Kiya Mujhse Woh Le Sakti Thi ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Main Bhi Tumse Woh Sab Kehta
Jo Tum Sunne Ki Khwahish Mein
Saare Raaste Bhool Aayi Ho
Saare Rishte Bhool Aayi Ho
Main Thera Khamosh Sa Sha‘Ir
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Bhi Mere Khwab Sajaati
Yoon Na Tanha Chhor Kar Jaati
Kaash ! Mujhe Bhi Baatein Aati ..

 0 People liked it
0 Ratings

Teri Aankhain Lakhon Main Hain Pyari Aankhain
Main Apni Ankhon Main Choopalon Tumhari Aankhain
Teri Ankhon Ki Tab Lasakain Gi Kahan
Gar Ikhati Hojaein Dunya Ki Sari Aankhain

 0 People liked it
0 Ratings

Woh Khwab Khwab Si Aankhain Theen Baadalon Ki Safeer
Dhuaan Dhuaan Si Theen Sochon Main Janay Kab Se Aseer
Thay Us K Hoonton K Taalay Bhi Zang Aalooda
Usay Youn Daikh K Lagta Tha Jaisay Ik Bacha
Gaya Tha Daikhnay Maila Kisi Ka Thaam K Haath
Na Janay Bheer Main Tanha Woh Reh Gaya Kaisay
Mujhay Woh Phool Laga Ik Gulab Ka Jis Ko
Kisi Ne Shakh Se Tora Mager Nahi Songha
Khud Apnay Pairon K Neechay Masal Masal Daala
Sawal Us Se Kia Main Ne, Yeh Batao Zara
Ho Kon, Kis Liay Is Qadar Khamosh Ho Bhala?
Batao Khaar Ugaye Hain Kis Ne Raahon Main?
Nami Khafi Se Hai Kaisi Tumhari Aankhon Main
Meri Tarah Se Kaheen Tum Bhi Tu Nahi Tanha?
Rah-E-Wafa Main Mili Tu Nahi Tumhain Bhi Dagha?
Woh Chup Raha, Nahi Bola Tu Main Ne Berh K Usay
Chuwa Tu Yeh Howa Idraak Meray Saamnay Tu
Hai Aik Aayeena Aur Us Main Aks Hai Mera

 0 People liked it
0 Ratings

Ankhon Ko Intezar Ka Hunar De Kar Chala Gaya
Chaha Tha Ek Shaks Ko Jane Kidhar Chala Gaya

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Aankhen Shayari 111 - 120 of 243, Page 12 of 25 pages.