Aankhen Shayari

Aankhen Shayari - A large collection of Aankhen Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Aankhen Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Aankhen Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Aankhen Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Aankhen Shayari

Showing Aankhen Shayari 71 - 80 of 243, Page 8 of 25 pages.

Humari Aankhoon Mei Ansoo Ho To Kya Ho?
Woh Hum Se Khafa Ho Jayen To Kya Ho?
Hum Duniya Waloon Se Chup To Nahi Sakte
Magar Apne Hi Zakhm Dein To Kya Ho?

 0 People liked it
0 Ratings

Main apne khwab se bichada nazar nahi aata
tu is sadi mein akela nazar nahi aata
ajab dabav hai in bahri hawaon ka
gharon ka bojh bhi uthta nazar nahi aata
main ek sada pe hamesha ko ghar chod aaya tha
magar pukarane vala nazar nahi aata
main teri reh se hatane ko hat gaya lekin
mujh to koi bhi rasta nazar nahi aata
dhuan bhara hai yahan sabhi ke aankhon mein
kisi ko ghar mera jalta nazar nahi aata

 0 People liked it
0 Ratings

Kuch Din To Baso Meri Aankhon Mein
Phir Khwab Agar Ho Jaao To Kya
Koi Rang To Do Mere Chehre Ko
Phir Zakhm Agar Mehkaao To Kya
Jab Hum Hi Na Mehke Phir Sahib
Tum Bad-E-Sbaa Kehlaao To Kya
Ek Aaina Tha So Toot Gyaa
Ab Khud Se Agar Sharmaao To Kya
Mein Tanhaa Tha Mein Tanhaa Hoon
Tum Aao To Kya Na Aao To Kya!
Jab Dekhne Wala Koi Nahin
Bujh Jaao To Kya Genaao To Kya
Hai Yoon Bhi Zyaan Aur Yoon Bhi Zyaan
Ji Jaao To Kya Marr Jaao To Kya

 0 People liked it
0 Ratings

Tumhare Bhi Dil Me Humare Liye Kahin Pyar Hai Shayad
Warna Tumhari Ankhen Yun Na Roti Hum Se Juda Hote Huay

 0 People liked it
0 Ratings

Galat Guman Na Kar Meri Khushk Aankhon Ka
Samandaron Main Jazeery Zaroor Milte Hain

 0 People liked it
0 Ratings

Aankhein Hain Jheel Si, Yaan Koi Bhanwar Hai
Aur Uspey Bindiyaan Jaise Ghazab Ki Sanwar Hai.

Hai Is Qadar Unki Adao.n Mein Khumaari , Ki
Jahan Bhi Jate Hain Hota Bas, Ajib Hi Manzar Hai.

Jaane Kya Hoga Wo Jab Aayenge Be-parda Nazar
Abhi Se Hai Haal Yahi Jabki , Woh Andar Hai.

Kyun Na Karun Main, Unhe Dekh Tamanna Koi
Sarapa Sadgi Bhara Bas , Woh To Samandar Hai.

Jab Nahi Hota Unka Khayal To Lagta Hai Yun Ki
Jaise Dil-Dil Nahi Mera , Bas Koi Khandar Hai.

Sochta Hoon Kitna Khushnashib Hun Main Shihab
Ki Khuda Ne Baksha Mujhe Aisa, Hasin Dilbar Hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Besan ke sondhi roti par
khatti chatani jaisi man
yaad aati hai chauka-basan
chimata phukani jaisi man
bans ke khurri khat ke upar
har aahat par kan dhare
aadhi soi aadhi jagi
thaki dopahari jaisi man
chidiyon ke chahakar mein gunje
radha-mohan ali-ali
murge ke aavaz se khulati
ghar ke kundi jaisi man
bivi, beti, bahan, padosan
thodi thodi si sab mein
din bhar ik rassi ke upar
chalati natani jaisi man
bant ke apna chehara, matha,
aankhen jane kahan gai
phate purane ik alabam mein
chanchal ladaki jaisi man

 0 People liked it
0 Ratings

Aankhon Main Jal Raha Hai Kio Bujhta Nahi Dhuhaan
Uthta To Hai Ghata Sa Barasta Nahi Dhuhaan
Aankhon K Ponchne Se Laga Aanch Ka Pata
Yun Chehra Peher Lene Se Chuhpta Nahi Duhaan
Aankhon Se Aanso'on K Marasim Poorane Hain
Mehmaan Yeh Ghar Main Aayen To Chubhta Nahin Duhaan

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Aankhen Shayari 71 - 80 of 243, Page 8 of 25 pages.