Aansu Shayari

Aansu Shayari - A large collection of Aansu Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Aansu Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Aansu Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Aansu Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Aansu Shayari

Showing Aansu Shayari 101 - 110 of 111, Page 11 of 12 pages.

Muzhe Maloom H K Meri Zindagi K Gam Kbhi Jane Wale Nhi,
Mai Intezar Krunga Unka Aakhiri Sans Tak Jo Kbhi Aane Wale Nhi,

Gair Mera Koi Nhi Apno Ne Hi Muzhe Sataya H,
Itne Berahm H Wo Apni Aadato Se Baaj Kbhi Aane Wale Nhi,

Zhuthe Pyar K Khel Me Har Bar Hi Wo Jeet Gye,
Mgar Pyar Koi Khel Nhi, Ye Unhe Koi Samzhane Wale Nhi,

Maut Pe Meri Zhuthe Hi Sahi Aansu Na Kisi K Muzhse Dekhe Jayege,
Or Wo Itne Sang-E-Dil H ‘Kumar’ Kiye Pe Apne Kbhi Pachhtane Wale Nhi.

 0 People liked it
0 Ratings

Dukh Anmol Hotay Hain
Dukh Anmol Hotay Hain..!!
Qudrat Ki Wadiyat Hotay Hain…
Kabhie Kuch Day Ke Jatay Hain
Kabhie Sab Kuch Cheen Layte Hain
Kabhie Baychain Kartay Hain
Kabhie Jeena Sikhatay Hain
Kabhie Bantay Hain Jab Ansooo
Umer Bhar Lahoo Rulatay Hain
Kabhie Lab Ki Haseee Ban Kar
Naee Duniya Sajatay Hain
Kabhie Meethi Kasak Bankar
Anjani Khalish Bankar
Makeen-E-Dil Yeh Bantay Hain
Kisi Soorat Nahi Mit’tay
Jo In Se Door Bhago Tu
Kahin Jane Nahi Dayte
Na Zinda Rehnay Dayte Hain
Na Yeh Azaad Kartay Hain
Nahin Jiski Dawwa Koi
Magar Yeh Bhi Haqeeqat Hai
Her Aik Ko Tu Nahi Miltay
Baray Nayaab Hotay Hain

 0 People liked it
0 Ratings

Zindagi Khubsurat Thi, Sajaya Tha Aisa Aapke Pyar Ne
Basta Tha Gulistan, Mehkaya Tha Aapke Pyar Ne

Aur Zindagi Se Koi Aash Na Rakhi Humne
Paane Ke Baad Tumhe Koi Pyaas Na Rakhi Humne

Lekin Jaane Kya Khuda Ko Tha Manzur
Ke Paane Ke Baad Apko Kho Diya Humne

Ab Saari Saari Raat Yehi Sochte Guzar Jati Hai
Kyu Khusiyon Ko Nazar Lag Jati Hai

Hum Phir Aisa Khuda Ka Hukum Maan Ker Ro Liya Kerte Hai
Unki Yaadon Ko Seene Mein Dabaye So Liya Kerte Hai

Ab Dard Seene Mein Chupaye Chupte Nahi
Band Aankhon Mein Aansu Rukte Nahi.

 0 People liked it
0 Ratings

Bichar Kar Aap Se Humko,Khushii Achchii Nahii Lagtii
Labon Par Yeh Banaawat Kii Hansii Achchii Nahii Lagtii
Kabhii To Khoob Lagtii Thii Magar Ye Sochtii Hoon Ab
Ke Mujhko Kyon Merii Ye Zindagii Achchii Nahii Lagtii?
Tirii Maujoodagii Mein To Mujhe Har Baat Bhaati Thi
‘Terii Furqat Mein Koii Baat Bhii Achchii Nahii Lagtii
Ko’ii To Saaz Chhere, Ko’ii To Naghma Idhar Goonje!
Bharii Mehfil Mein Itnii Khaam’shii Achchii Nahii Lagtii
Kabhii Hum Bhii Huaa Karte The Baadaakash Magar Jab Se
Tujhe Dekha Hai Tab Se Maikashii Achchii Nahii Lagtii
Zara Tuu Paas Aa,Main Ponchh Doon Ashkon Ko Pallu Se
Tirii Maasoom Aankhon Mein Namii Achchii Nahii Lagtii
Miree Aankhon Ne Jab Se Jeena Seekhaa Hai Andheron Mein
Kisii Bhii Qism Kii Ho Raushnii,Achchii Nahii Lagtii
Mujhe Har Gaam Pe Dukh,Dard,Ranj-O-Gham Mile Lekin
Khudaaya Aur Ab Uftaadgii Achchii Nahii Lagtii!
Na De Har Vaqt Tuu Dastak Mire Darvaaza-E-Dil Par!
K Ab Mujh Ko Yeh “Tarz-E-Dil-Lagii” Achchhi Naheen Lagtii
Agar Tum Chaah Sakte Ho,To Dil Se Chaaho Mujhko Tum
Mohabbat Mein Merii Jaan Bedilii Achchii Nahii Lagtii
Jhijhakte Kyon Ho Kehne Se?Humein Maaloom Hai Sab Kuch!
K Tum Ko Ab HAMAARI Dostii Achchhi Naheen Lagtii!

 0 People liked it
0 Ratings

Ulfat Me Kabhi Yeh Haal Hota Hai
Aankhe Hasti Hain Aur Dil Rota Hai
Maante Hain Jinhe Hum Manjil Apni
Humsafar Uska Koi Aur Hota Hai!

 0 People liked it
0 Ratings

Sun Liya Hum Ne Faisla Tera
Aur Sun Ker Udaas Ho Baithey
Zehan Chup Chaap Ankh Khaali
Jaisey Hum Kianaat Kho Baithey

 0 People liked it
0 Ratings

Kalam Chalti Hai To Dil Ki Awaz Likhta Hoon
Gham Aur Judai Ke Andaz-E-Bayaan Likhta Hoon
Rukte Nahi Hain Meri Aankhon Se Aansu
Main Jab Bhi Uski Yaad Mein Alfaz Likhta Hoon.

 0 People liked it
0 Ratings

Tamanna Thi K Koi Toot K Chahta Hume Magar Afsos
Hum Khud Hi Toot K Bikhar Gaye Kisi Ki Chahat Mein

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Aansu Shayari 101 - 110 of 111, Page 11 of 12 pages.