Aansu Shayari

Aansu Shayari - A large collection of Aansu Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Aansu Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Aansu Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Aansu Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Aansu Shayari

Showing Aansu Shayari 31 - 40 of 111, Page 4 of 12 pages.

Unke Jane Ke Bad Aisi Udasi Chayi H A Dost
K Prinde B Mera Saher Chod Gye.

 1 People liked it
0 Ratings

Dard Phail Jay Tu,
Aik Waqt Ata Hai,
Dil Dharakta Rahta Hai,
Aarzogazidon K Hoslay Nahi Chatai,
Dasht Be Yakini Mai Aasaray Nahi Chaltay,
Rahbaron Ki Aankhon Mai ,
Manzilain Na Jab Tak Hon,Kaaflai Nahi Chaltai,
Aik Zara Tawajoo Se Dekiyai Tu Khulta Hai,
Log Un Pe Chalte Hain,Raaste Nahi Chalte,
Sochnay Samjhne Se Sath Sath Chalne Se,
Dorian Simitin Hainfaaslay,Nahi Chalte,
Bakht Sath Chalta Hai,Taa'lai Aazmaon K,
Waqt Raam Kernay Maitajzion K Daaown Kia,
Tajrubay Nahi Chalte,
ISHQ K Ilaqay Mai ,Hukm-I-Yar Chalta Hai,
Zabtaiy Nahi Chalte,
Husn Ki Aadalat Mai,Aajizi Tu Chalti Hai,
Martabay Nahi Chalte,
Dosti K Rishton Ki Perwarish Zarori Hai,
Silsilay Taa'luq K Khud Se Ban Tu Jate Hain,
Likin In Shagufun Ko Totnay Bikhernay Se,
Rokna Bhi Parta Hai,
Chahaton Ki Mitti Mai,Aarzon K Podon Ko,
Sichna Bhi Parta Hai,
Ranjishion Ki Bataon Ko, Bhoolna Bhi Perta Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Ibadat-E-Yaar Ko Aiya Hun Main Kafar Nahi
Kaise Keh Dun Tera Ghar Khuda Ka Ghar Nahi
Phir Kiyon Wo Saye Ki Tarha Mere Saath Hai,
Zamana Keh Raha Hai Wo Tera Hamsafar Nahi
Din Raat Tere Khayalon Main Khoia Rehta Hun,
Kab Huie Sehar Kab Dhali Shaam Khabar Nahi
Mujhko Mujhi Main Dhondhti Hai Begano Ki Tarha,
Mat Dilao Mujhay Yakee Yeh Uski Nazar Nahi
Mujhay Kitaab Main Rakh Kar Wo Bhool Gaya Shayad,
Main Kaise Keh Doon Ki Usko Meri Qadar Nahi
Veeran Bastiyon Ka Bashinda Hoon Mujhay Na Darao,
Sab Kush To Lut Chuka Hai Ab Kisi Ka Dar Nahi
Ab ‘Veer’ Ko Koi Khushi Koi Ghum Na Dena Yaro,
Aakhir To Ek Paimana Hoon Main Koi Sagar Nahi

 0 People liked it
0 Ratings

Rangat Terii Zulfon Kii Ghataaon Ne Churaaii
Khushbuu Tere Aanchal Se Havaaon Ne Udaaii
Paimaane Kaa Dil Tuut Na Jaaye To Kahuun Main
Hai Chiiz Gazab Kii Jo Nigaahon Ne Pilaaii
Qaidii Terii Zulfon Kaa Hai Aazaad Jahaan Se
Mujh Ko Ye Rihaaii To Sazaaon Ne Dilaaii
Maanaa Kii Bahaaron Ne Khilaayaa Hai Gulon Ko
Ulfat Kii Kalii Dil Men Vafaaon Ne Khilaaii
Tham-Tham Ke Barasanaa Kabhii Jham-Jham Ke Barasanaa
Saavan Ko Adaa Ye Mere Ashkon Ne Sikhaaii
Manzil Pe Pahunch Kar ‘Nasiim' Ehasaas Huaa Hai
Jis Raah Se Pahunchaa Ye Khataaon Ne Dikhaaii

 0 People liked it
0 Ratings

Zauq-E-Janoon Ko Had Se Guzar Jane Do
Wo Smaitney Aye Ga Humain Bikhar Jane Do
Abhi Dastras Mai Hun To Ehsas Nahi Usko
Ro Ro Ke Pukarey Ga Humain Mar Jane Do

 1 People liked it
1 Ratings

Ajh Karna Hai Ousey Rukhsat Mujh Ko
Jis Say Bey Andaza Muhabat Hai Mujh Ko
Ousey Chor Kay Jaaun Toh Jaun Keisey
Darr O Diwaar Say Ho Gai Vehshaat Mujh Ko
Main Kay Na Qais Na Majhun Na Farhaad Huwa
Nisbat E Ishq Say Hui Nadamat Mujh Ko
Main Toh Ousey Rag E Jaan Samjhey Huwa Tha
Kia Samjha Tha Kitni Hai Hairat Mujh Ko
Woh Samney Hai Aur Aur Mera Takhaiyurr Dekhoo
Woh Na Bhi Hho Toh Samjhe Chashm E Hairat Mujhy Ko
Mer Khawab Meri Ankhain Bhi Liye Jatey Ho
Dey Kay Ik Umar Ki Fursaat Mujh Ko

 0 People liked it
0 Ratings

Jaan Kar Unko, Hai Is Baat Ko Jaana Humne
Kis Kadar Palat-Te Hain Yeh Khud Ko Dost Kehne Wale

 0 People liked it
0 Ratings

Ek Parinde Ka Dard Bhara Fasana Tha,
Tute The Pankh Aur Udte Hue Jana Tha,
Toofaan To Jhel Gaya Par Hua Ek Afsos,
Wahi Daal Tooti Jisper Uska Aashiyaana Tha…

 4 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Aansu Shayari 31 - 40 of 111, Page 4 of 12 pages.