Aansu Shayari

Aansu Shayari - A large collection of Aansu Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Aansu Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Aansu Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Aansu Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Aansu Shayari

Showing Aansu Shayari 51 - 60 of 111, Page 6 of 12 pages.

Perh Bhi Na Paeay Thay K Wo Mit Bhi Gaee Thi
Bijlee Nay Ghataon Pe Jo Tehreer Likhi Thi
Lehratay Howay Aey Thay Wo Aman Ka Percham
Percham Ko Uthaey Howay Nazay Ki Ani Thi
Du Bay Howay Taron Pe Mein Kya Ashk Bahata
Charhtay Howay Soraj Say Meri Ankh Lagi Thi
Is Waqat Wahan Dhouwan Koun Dekhnay Jaey
Akhbar Mein Perhlein Gay Kahan Aag Lagi Thi
Shabnam Ki Travish Say Bhi Dhukta Tha Dil-E-Zar
Kali Ghataon Ko Barasnay Ki Perhi Thi
Palkon K Sitaray Bhi Uralay Gaey
Wo Dard Ki Andhi K Sar-E-Sham Chali Thi

 0 People liked it
0 Ratings

Na Jaane Aaj Ye Kis Kaa Khayaal Aayaa Hai
Khushii Kaa Rang Liye Har Malaal Aayaa Hai
Wo Ek Shakhs Ki Haasil Na Thaa Jo Khud Ko Bhii
Mitaa Kisii Pe To Kaisaa Bahaal Aayaa Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Aye Dil-E-Raayegaan Udaas Udaas
Phir Rahay Ho Kahan Udaas Udaas
Chaand Aik Umer Sey Safar Mein Hai
Aasmaan Aasmaan Udaas Udaas
Jab Bhi Dekha Hai Jhaank Ker Dil Mein
Ho Gaya Sab Jahaan Udaas Udaas
Zindagi Khail Hai Udaasi Ka
Ham Yahan Tum Wahan Udaas Udaas
Phirtay Rehtay Hein Ham Mohabbat Mein
Muzmahil, Naatawaan, Udaas Udaas
Sochta Hoon Ke Meray Seenay Mein
Janay Kya Hai Nihaan Udaas Udaas
Kya Udaasi Siva Nahin Kuch Bhi
Aye Meray Laa-Makaan Udaas Udaas
Raat Bhar Jaagtay Ho Kyun Aakhir
Iss Tarah Meri Jaan Udaas Udaas
Ik Taraf Gham Hein, Ik Taraf Khushiyaan
Aur Main Darmiyaan Udaas Udaas
Saaray Kirdaar Hein Mohabbat Ke
Daastaan Daastaan Udaas Udaas
Yeh Wohi Hein Hamaray ‘Farhat' Ji
Shair Bey-Karaan Udaas Udaas
Ham Se Hassas Log ‘Farhat' Ji
Reh Rahay Hein Yahan Udaas Udaas

 0 People liked it
0 Ratings

Aaj Phir Dil Hai Kuchh Udaas Udaas
Jaane Kyun Ek Mayusi Si Chhayi Hai
Aaj Phir Palkon Pe Pani Hai
Bheer Mein Hoon Fir Kyun Ye Tanhai Hai

 0 People liked it
1 Ratings

Har Udaasi Dil Par Chai Hui
Har Khsuhi Hai Mujhse Ghabrai Hui
Aur Kya Rakhaa Hai Zindagi Ke Daaman Mein
Chand Kaliya Vo Bhi Murjhayi Hui

 0 People liked it
0 Ratings

Hum Aftaab Se Dhaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain
Khud Apni Agg Mai Jaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain
Jo Sang Tout Na Paye Jahan Ki Kosish Se
Humaray Ghum Mai Pighaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain
Tabahiyoo'n Pay Humari Jo Kal Tak Khush Thay
Sunna Hai Hath Wo Maltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain
Tumhari Raah Mai Ankhain Bichaa Rahay Thay Kabhi
Jo Ajj Raah Badaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain
Bulandiyoo'n Pay Na Dhoondho Kay Johar-E-Nayaab
Zamee'n Ki Goud Mai Paltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain
Zamaana Jaisay Behalta Hai Meri Jaa'n Hum Se Bhi
Usi Terhan Se Behaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain
Hum Aabb-E-Saaim Ki Manind Sari Raat Adeel
Bina Tumharay Machaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

 0 People liked it
0 Ratings

Dil Udhaas Hai Bahut Koyi Paigaam Hi Likh Do,
Tum Apna Naam Na Likho, Gum-Naam Hi Likh Do

 0 People liked it
0 Ratings

Harf-E-Sada Jise Samjha Wo To Paheli Nikli
Meri Dushman Mere Bachpan Ki Saheli Nikli
Jaane Kya Baat Thi,Kaunsi Waje Thi Jo
Bhaai Ghar Par Aur Behen Ghar Se Akeki Nikli
Bichde Log Achanak Mere Apne Hogae
Mere Naam Jab Buzrugoan Ki Haweli Nikli

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Aansu Shayari 51 - 60 of 111, Page 6 of 12 pages.