Aansu Shayari

Aansu Shayari - A large collection of Aansu Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Aansu Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Aansu Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Aansu Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Aansu Shayari

Showing Aansu Shayari 71 - 80 of 111, Page 8 of 12 pages.

Woh Toh Paani Ki Boond Hai Jo Ankho Se Beh Jaye,
Aansu Toh Woh Hai Jo Tadap K Ankho Me Hi Reh Jaye,
Woh Pyar Kya Jo Lafzo Me Bayan Ho?
Pyar Toh Woh Hai Jo Aakhon Me Nazar Aaye.

 0 People liked it
2 Ratings

Basti Basti Khor Udasi Parvat Parvat Khali Pan,
Man Hira Bemol Lut Gaya Ghis Ghisri Ka Tan Chandan,
Is Dharti Se Us Ambar Tak Do Hi Chiz Gajab Ki Hai,
Ek To Tera Bhola Pan Hai Ek Mera Deewana Pan……..
Main Uska Hoon Vo Is Ahsaas Se Inkar Karta Hai,
Bhari Mahfil Me Bhi Ruswa Mujhe Har Baar Karta Hai,
Yakin Hai Sari Duniya Ko Khafa Hai Humse Vo Lekin,
Mujhe Maloom Hai Phir Bhi Mujhise Pyar Karta Hai……..
Jiski Dhoon Par Dunia Naache Dil Ek Aisa Taara Hai,
Jo Tumko Bhi Pyaara Hai Jo Humko Bhi Pyaara Hai,
Jhoom Rahi Hai Saari Dunia Jabki Humaare Giton Par,
Tab Kahti Ho Pyar Hua Hai Kya Ahsaan Tumhara Hai……..
Bahut Bikhra Bahut Toota Thapde Sah Nahi Paaya,
Hawaon Ke Isharon Par Magar Main Bah Nahi Paaya,
Adhoora Ansuna Hi Rah Gaya Ye Pyaar Ka Kissa,
Kabhi Tum Sun Nahi Paayi Kabhi Main Kah Nahi Paaya………

 0 People liked it
1 Ratings

Bahut Udaas Hai Koi Tere Jane Se
Ho Sake To Laut Aa Kisi Bahane Se
Tu Laakkh Khafa Sahi Magar Ek Baar To Dekh
Koi Toot Gaya Tere Rooth Jane Se

 0 People liked it
0 Ratings

Gulshan Ki Baharon Mein
Rangeen Nazaron Mein
Jab Tum Mujhe Dhundhoge
Ankhon Mein Nami Hogi
Mehsoos Tumhe Har Dam Phir Meri Kami Hogi
Aakash Pe Jab Tare Sangeet Sunayenge
Beete Hue Lamho Ko Ankhon Mein Sajayenge
Gamgeen Ghataon Ki Jab Chaon Ghani Hogi
Mehsoos Tumhe Hardam Phir Meri Kami Hogi.
Jab Naam Mera Loge Tum Kaap Rahe Hoge
Aansun Bhare Daman Se Moonh Dhaak Rahe Hoge
Mahaul Ke Chehre Par Jab Dhool Jami Hogi
Mehsoos Tumhe Hardam Phir Meri Kami Hogi.
Sawan Ki Hawaon Ka Jab Shor Sunoge Tum
Bikhre Hue Maazi Ke Aur Aake Chunoge Tum
Tanhaii Ke Sholon Se Jab Aag Lagi Hogi
Mehsoos Tumhe Har Dam Phir Meri Kami Hogi.
Gulshan Ki Baharon Mein
Rangeen Nazaron Mein
Jab Tum Mujhe Dhundhoge
Ankhon Mein Nami Hogi
Mehsoos Tumhe Hardam
Phir Meri Kami Hogi.

 0 People liked it
0 Ratings

Aansuo Ko Kaha Hai Tanhai Me Aya Karein,
Bhari Mehfil Me Humara Majak Na Udaya Karein,
Is Par Aansu Has Kar Bole,
Bhari Mehfil Me Tumhe Tanha Pate Hai Isiliye Chale Ate Hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Honto Pe Itni Pyaas Na Rakha Kar,
Khwahisho Ko Be Libas Na Rakha Kar,
Mai Jo Hu Tera Bojh Uthane K Liye,
Khud Ko Meri Jaan Itna Udas Na Rakha Kar,

 0 People liked it
0 Ratings

Udaasiyon Ka Ye Mausam Badal Bhi Sakta Tha
Udaasiyon Ka Ye Mausam Badal Bhi Sakta Tha
Woh Chahta To Maray Sath Chal Bhi Sakta Tha
Woh Shakhs Tu Nay Jisay Chhornay Main Jaldi Ki
Teray Mizaaj Ke Saanchay Main Dhal Bhi Sakta Tha
Woh Jaldbaz Khafa Ho Kar Chal Diya Warna
Tanazeaat Ka Koi Hal Nikal Bhi Sakta Tha
Anaa Nay Hath Uthanay Nahi Diye Warna
Meri Duaa Say Wo Pathar Pighal Bhi Saktha Tha
Tamaam Umer Tera Muntazir Raha
Ye Aur Baat Ke Raasta Badal Bhi Sakta Tha

 0 People liked it
0 Ratings

Tujh Say Bichar Kar Bhi Teray Paas Rehta Hoon
Khuda Gawah Hay Main Bohat Udas Rehta Hoon

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Aansu Shayari 71 - 80 of 111, Page 8 of 12 pages.