Aansu Shayari

Aansu Shayari - A large collection of Aansu Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Aansu Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Aansu Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Aansu Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Aansu Shayari

Showing Aansu Shayari 81 - 90 of 111, Page 9 of 12 pages.

Dilon Mein Aarzu Ke Diye Jalte Rahenge
Aankhon Se Aansu Nikalte Rahenge
Aap Shama Bankar Dil Mein Roshni Karna
Hum Mom Bankar Pighalte Rahenge

 0 People liked it
1 Ratings

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hun, Na Kisi Ke Dil Ka Karaar Hun
Kisi Ke Kaam Na Aa Sake, Main Wo Ek Musht-e-Gubaar Hun
Mera Rang-Roop Bigad Gaya, Mera Yaar Muzse Bichhad Gaya
Jo Chaman Khiza Se Ujad Gaya, Main Usi Ki Fasll-e-Bahaar Hun

 0 People liked it
0 Ratings

Yahin ke thi mohabbat ke sabaq ke ibtada main ne
yahin ke jurrat-e-izhar-e-harf-e-mudd'a main ne
yahin dekhe the ishv-e-naz-o-andaz-e-haya main ne
yahin pahale suni thi dil dhadakane ke sada main ne
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
dilon mein izdaham-e-arazu lab band rehte the
nazar se guftagu hoti thi dam ulfat ka bharate the
na mathe par shikan hoti, na jab tevar badalate the
khuda bhi muskura deta tha jab hum pyar karte the
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
wo kya aata ke goya daur mein jam-e-sharab aata
wo kya aata rangili ragani rangin rabab aata
mujhe ranginiyon mein rangane wo rangin sahab aata
labon ke mein pilane jhumata mast-e-shabab aata
yahin kheton mein pani ke kinaro yaad hai ab bhi
haya ke bojh se jab har qadam par lagazishen hotin
fazan mein muntasar rangin badan ke larazishen hotin
rabab-e-dil ke taron mein musalasil jumbishen hotin
khifa-e-raz ke purlutf baham koshishen hotin
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
bala-e-fikr-e-farda hum se koson dur hoti thi
surur-e-sarmadi se zindagi mamur hoti thi
hamari khilwat-e-masum rashq-e-tur hoti thi
malak jhula jhulate the gazal-khwan hur hoti thi
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
na ab wo khet baqi hain na wo aab-e-rawan baqi
magar us aish-e-rafta ka hai ik dhundala nishan baqi

 0 People liked it
0 Ratings

Main Kab Tanha Hua Tha, Yaad Hoga
Tumhara Faisla Tha, Yaad Hoga

Bahut Se Ujle-Ujle Phool Lekar
Koi Tumse Mila Tha, Yaad Hoga

Bichi Thi Har Taraf Aankhein Hi Aankhein
Koi Aansu Gira Tha, Yaad Hoga

Udasi Aur Badhti Ja Rahi Thi
Voh Chehra Bujh Raha Tha, Yaad Hoga

 0 People liked it
0 Ratings

Pyar Ke Liye Rishto Ki Jarurat Na Hoti
Baat Ke Liye Sabdo Ki Jarurat Na Hoti
Dil Ki Baate Jo Aap Samajh Jaate
Ankho Ko Aansuo Ki Jarurat Na Hoti.

 0 People liked it
1 Ratings

Apni Aankho Mein Lakhon Sawal Rakhta Hoon
Magar Main Gareeb Apna Tuta Dil Sambhal Rakhta Hoon
Bahut Purana Talluq Hai Mera Aansuon Se
Hamesha Jeb Mein Bhiga Rumal Rakhta Hoon

 0 People liked it
0 Ratings

Nishan Tak Na Milenge Meri Wafa K Use,
K Maine Rah Badl Di Hay Aazma K Usy!
Kbhi Na Harf Koi Uski Sadgi Ka Khula,
Warq Warq Parha Maine Dil Laga K Usy!
Jo Sab Ka Haal Hua Tha Wo Mera Haal Hua,
Bani Na Baat Koi Bat Bhi Suna K Usy!
Mjhy Yaqeen Hy Wo Laut Kr Bhi Aega,
Magr Udaas Hu Ab Raasta Dikha K Usy!

 0 People liked it
0 Ratings

Hum Rooth Jayenge To Manaane Ka Wada Kiya Tha
Hum Door Jayenge To Bulaane Ka Wada Kiya Tha
Aaj Palkon Pe Aansu Bhar Diye Jisne
Zindagi Bhar Hasaane Ka Wada Kiya Tha.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Aansu Shayari 81 - 90 of 111, Page 9 of 12 pages.