Barsaat Shayari

Barsaat Shayari - A large collection of Barsaat Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Barsaat Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Barsaat Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Barsaat Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Barsaat Shayari

Showing Barsaat Shayari 11 - 20 of 94, Page 2 of 10 pages.

(Jindagi Ne Jindagibhar Ghum Diye
Jitane Bhi Mausam Diye Sab Num Diye) – 3
(Jab Tadapata Hai Kabhi Apana Koi
Khun Ke Aansu Rula De Bebasi) – 2
Ji Ke Phir Karana Kya Mujhko Aisi Jindagi – 2
Jisane Jakhmon Ko Nahi Marham Diye
Jindagi Ne Jindagibhar Ghum Diye
Jitane Bhi Mausam Diye Sab Num Diye
Jindagi Ne Jindagibhar Ghum Diye
(Apane Bhi Pesh Aaye Hamase Ajnabee
Waqt Ki Saajish Koi Samajha Nahi) – 2
Beiraada Kuchh Khataaye Hamase Ho Gayi
Raah Mein Patthar Meri Har Dam Diye
Jindagi Ne Jindagibhar Ghum Diye
Jitane Bhi Mausam Diye Sab Num Diye
Jindagi Ne Jindagibhar Ghum Diye
(Ik Mukkamal Kashamkash Hai Jindagi
Usane Hamase Ki Kabhi Na Dosti) – 2
Jab Mili Mujhko Aansu Ke Woh Tophe De Gayi
Has Sake Hum Aise Mauke Kam Diye – 2
Jindagi Ne Jindagibhar Ghum Diye
Jitane Bhi Mausam Diye Sab Num Diye
Jindagi Ne Jindagibhar Ghum Diye

 0 People liked it
0 Ratings

Kaisi Beeti Raat Kissi Se Mat Kehna
Sapnon Wali Baat Kissi Se Mat Kehna
Kaisay Uthay Badaal Or Kahan Takray
Kaisi Hui Barsaat Kissi Se Mat Kehna

 1 People liked it
0 Ratings

Kisi Rooz Barish Mein Ghar Se Nikalna
Khizaan Mein Ghire Toute Patoun Pe Chalna
Tapkane Lage Jab Dharakhtoun Se Pani
Tumein Yaad Aye Ghi Bheeti Kahani
K Jab Hum Kisi Shaam Tum Se Mile They
Mohabat K Rastoun Pe Hum Tum Chale They
Teri Neeli Aankhoun Mein Rang-E-Wafa Tha
Kanwal Jheel Mein Jaise Khilne Laga Tha
Wo Sadiyoun K Qisse Wo Batein Porani
Karein Yaad Kyoun Ker Wo Bheeti Kahani
Chita Kaghzoun Ki Hai Kya Khojte Ho
Bhoji Rakh Mein Abh Kisse Dhondhte Ho
Ghagan Pe Jo Chapai Thi Kis Ne Mita Di
Dhanak Saat Ranghoun Ki Kis Ne Uora Di
Mohabat Ki Shamma Jala Di Bhoja Di
Aajab Ek Kahani Hai Rang-E-Wafa Ki

 0 People liked it
0 Ratings

Koi Mausam Ho Dil Men Hai Tumhaari Yaad Ka Mausam
Ke Badla Hi Nahin Janaan Tumhaare Baad Ka Mausam
Nahin To Aazma Kar Dekh Lo, Kaise Badalta Hai
Tumhaare Muskraane Se Dil-E-Nashaad Ka Mausam
Kahin Se Uss Haseeb Aawaaz Ki Khushbu Pukaare Gi
To Uss Ke Saath Badle Ga Dil-E-Barbaad Ka Mausam
Qafas Ke Baam-O-Dar Men Roshani Si Aayi Jaati Hai
Chaman Men Aa Geya Shaayed Lab-E-Aazaad Ka Mausam
Mere Shahr-E-Parishaan Main Teri Be Chaand Raaton Men
Buhat Hi Yaad Karta Hoon Teri Buniyaad Ka Mausam
Na Koi Gham Khizaan Ka Hai Na Khawahish Hai Bahaaron Ki
Hamaare Saath Hai Amjad Kissi Ki Yaad Ka Mausam

 0 People liked it
0 Ratings

Kab Tak Door Bhagoge Ek Din To Baat Honi Hai
Khushbu Ki Bhawron Se Mulakat To Honi Hai
Tadapkar Kar Yun Na Roko Apni Mohabbat Ko
Pyaar Ke Mausam Ki Barsat To Honi Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Dayar-e-nur mein tera shabon ka sathi ho
koi to ho jo meri vahashaton ka sathi ho
main us se jhooth bhi bolun to mujh se sach bole
mere mizaj ki sab mausamon ka sathi ho
wo mere naam ki nisbat se mo'atabar thahare
gali gali meri rusvaiyon ka sathi ho
main us ki hath na aaun wo mera hoke rahe
main gir padun to meri pastiyon ka sathi ho
wo khwab dekhe to dekhe mere havale se
mere khayalon ki sab manzaron ka sathi ho

 0 People liked it
0 Ratings

Kahin Barish Baras Jaaye
Kahin Darya Taras Jaaye
Kahin Aa Kar Ghata Theray
Tumhare Or Mere Darmiyaa
Aaa Kar KHUDA Therey..
Tou ………!!!
Uss Lamhay Mere Jivan Main..
Tum KHUDA Ke Baad Aatey Ho..
Mujey Tum Yaad Aatey Ho

 1 People liked it
1 Ratings

Woh Kagaz Ki Kashti,Woh Baarish Ka Pani
Ye Daulat Bhii Le Lo, Ye Shoharat Bhii Le Lo
Bhale Chhiin Lo Mujhase Merii Javaanii
Magar Mujhako Lautaa Do Bachapan Kaa Saavan
Vo Kaagaz Kii Kashtii, Vo Baarish Kaa Paanii
Muhalle Kii Sabase Nishaanii Puraanii
Vo Budhiyaa Jise Bachche Kahate The Naanii
Vo Naanii Kii Baaton Mein Pariyon Kaa Deraa
Vo Chahare Kii Jhuriryon Mein Sadiyon Kaa Pheraa
Bhulaae Nahiin Bhuul Sakataa Hai Koi
Vo Chhotii Sii Raaten Vo Lambii Kahaanii
Kadii Dhuup Mein Apane Ghar Se Nikalanaa
Vo Chidiyaa Vo Bulabul Vo Titalii Pakadanaa
Vo Gudiyaa Kii Shaadii Mein Ladanaa Jhagadanaa
Vo Jhuulon Se Giranaa Vo Gir Ke Sambhalanaa
Vo Piital Ke Chhallon Ke Pyaare Se Tohafe
Vo Tuutii Hui Chuudiyon Kii Nishaanii
Kabhii Ret Ke Unche Tiilon Pe Jaanaa
Gharaunde Banaanaa Banaake Mitaanaa
Vo Maasuum Chahat Kii Tasviir Apanii
Vo Kvaabon Khilaunon Kii Jaagiir Apanii
Na Duniyaa Kaa Gam Thaa Na Rishton Ke Bandhan
Badii Khuubasuurat Thii Vo Zindagaanii

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Barsaat Shayari 11 - 20 of 94, Page 2 of 10 pages.