Barsaat Shayari

Barsaat Shayari - A large collection of Barsaat Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Barsaat Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Barsaat Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Barsaat Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Barsaat Shayari

Showing Barsaat Shayari 21 - 30 of 94, Page 3 of 10 pages.

Ajeeb Mosam Hai Barishon Ka
K Jis Mein Jazbay Sulag Rahay Hain
Dhuaan Dhuaan Hain Ye Bheegi Aankhein
Jigar K Chhaalay Bhi Tap Rahay Hain
Jalay Hu-On Ko Jla Raha Hai
Ajeeb Mosam Hai Barishon Ka
Peyaam Koi, Slaam Koi
Gulaab Koi Na Khaab Koi
Tumhari Jaanib Se Pehle Paaya He
Kab Tha Main Ne Koi Bhi Jazba
To Kyoon Ye Khahish Jaga Raha Hai
Ajeeb Mosam Hai Barishon Ka
K Jo Dil Ki Dharti K Rang Saaray
Mita Raha Hai, Sta Raha Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay
Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye
Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay

 0 People liked it
0 Ratings

Jaane Ye Kaun Sa Mausam Hai
Jaane Ye Kaun Sa Mausam Hai
Na Sardiyon Ki Dhoop Hai
Na Din Yahan Par Kam Hai
Na Thand Ka Koi Bhi Roop Hai
Na Mitti Ki Khushbu Hai
Na Bheege Yauvan Mein Hulchul
Na Baadalon Mein Guftagu Hai
Na Chai Pakodi Ka Hi Koi Pal
Dhoop Bhi Chilchilaati Nahi
Na Chaandni Ka Koi Aalam
Na Jharnon Ki Aarzoo Kahin
Na Ye Chhuttiyon Ka Mausam
Sarson Bhi Nahi Dikhte Hain
Patang Asma Me Ab Tak Na Naacha Hai
Naye Patte Bhi Kahin Na Ugte Hain
Na Muskaraata Koi Bhi Raasta Hai
Jaane Ye Kaun Sa Mausam Hai
Tum Paas Hokar Bhi Itne Door Ho
Har Baat Shuru Hone Se Pehle Khatm Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Jab Binn Badal Barsat Ke ,Hum Tum Behga Kartee They
Jab Chotee Chotee Batoon Per,Hum Tum Rutha Kartee They
Jab Hathon Main Hath Daal Kar,Hum Tum Kehla Kartee They
Jab Ankhon Se Akhain Mila Kar,Hum Tum Batain Kartee They
Jab Iss Duniya Ko Bhula Kar,Hum Tum Apnee Duniya Main Rehte They
Jab Kadmon Se Kadam Mila Kar,Hum Tum Rahon Per Chaltee They
Jab Ankhon Ke Nami Chupa Kar,Hum Tum Ahain Barhtee They
Tab Se Tum Ko Chahtee Hain..Tab Se Tum Ko Chahtee Hain

 0 People liked it
0 Ratings

Atte Ho Tum Barsaat Mai
Deewani Mujhe Banate Ho
Mere Bheege Badan Ko Dekh Kar
Shrarat Se Muskurate Ho
Kapkapate Is Jisam Ko
Apni Bahon Ka Anchal Urdate Ho
Dhadkate Hue Humare Dil Ko
Apni Baato Se Sehlate Ho
Jalati Hai Man Mai Ek Jawala
Jisko Samjh Khoob Tum Jaate Ho
Band Kar Le Jo Hum Apni Ankhein
Bas Hume Hi Dekhe Jaate Ho
Chum Kar Matha Humara
Sir Per Rakh Hath, Seene Se Lagate Ho
Sayam Apne Se, Apna Maan Badate Ho
Atte Ho Tum Barsaat Main, Deewani Mujhe Banate Ho

 0 People liked it
0 Ratings

Rain / Varsha
Agar Badal Chalka To  Barish Hogi
Paimanoki Bhi Shayad Yahi Khwahish Hogi
Kaun Thakega Badal Ya Saki Mera
Raatbhar Dono Ki Aajmaaish Hogi
Aakhonko To Mana Lu, Ghataonka Kya Karu
Badal Barasa To Gam Ki Mere Numaaish Hogi
Bhigi Bhigi Raat Me, Tu Ho Saath Me
To Kisi Aur Nashe Ki Kaha Gunjaaish Hogi
Rakh Dena Saki Ek Jaam Meri Kabr Me
Baad Marne Ke Bas Etni Meri Farmaaish Hogi

 0 People liked it
0 Ratings

Barish Ka Ye Mousam Koch Yaad Dilata Hai
Kisi Kay Saath Honay Ka Ehsaas Dilata Hai
Fiza Bhi Sard Hai Yaadain Bhi Taaza Hai
Ye Mousam Kisi Ka Pyaar Dil May Jagata Hai
Bheegi Hoye Raatain Khamosh Si Baatain
Aisay Main Koch Kaho Tu Her Lafz Madhem Ho Jata Hai
Barsat Ki Hain Bondain, Bondon May Hai Khushbo
Ye Lumha Tu Dil Ka Ehsaas Chuu Jata Hai
Aisay Main Tum Bhi Keh Do Dil Ki Baat
Ye Mousam Tu Pal Bhar Main Beet Jata Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Bhagon Main Phir Bahaar Ka Mausam Hai Aa Gaya
Phir Zindagi Main Pyar Ka Mausam Hai Aa Gaya
Serson Ka Rang Khila-Khila Haldi Ke Rang Se
Lagta Hai Phir Ubaar Ka Mausam Hai Aa Gaya
Sharma Ke Laal Ho Gayee Kaliyan Plaas Ki
Sapno Main Intezar Ka Mausam Hai Aa Gaya
Purvayiyon Ke Haat Phir Mehandi Lagi Huyi
Doli Ka, Phir Kahaar Ka Mausam Hai Aa Gaya
Chalki Hai Phir Se Geet Ki Gaagar Kahi Nayee
Dolak Ka, Phir Sitar Ka Mausam Hai Aa Gaya
Keh Do Kabeer Se Na Chadariya Bachegi Aaj
Rangon Ki Phir Puhaar Ka Mausam Hai Aa Gaya

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Barsaat Shayari 21 - 30 of 94, Page 3 of 10 pages.