Barsaat Shayari

Barsaat Shayari - A large collection of Barsaat Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Barsaat Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Barsaat Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Barsaat Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Barsaat Shayari

Showing Barsaat Shayari 61 - 70 of 94, Page 7 of 10 pages.

Barish Ki Ye Pehli Boondein
Kaisa Jadu Karti Hain
Dil Se Khoon Ke Katre Le Kar
Meri Ankhein Bharti Hain
Barish Ke Is Dibache Se
Kitne Manzar Khulte Hain
Khwab Sa Alum, Lehja Madham,
Aankhein Nam Nam, Bheega Mausam,
Pehli Barish, Pehli Khwahish,
Pehla Jazba, Pehla Waada,
Pehli Khushbu, Pehla Aansoo,
Chup Chup Rehna
Soch Mein Parna
Jo Bhi Kehna Tashna Kehna
Toota Fuqra, Aadha Jumlaa,
Jalti Sansein, Thandi Aahian,
Bojhal Palkain, Saahir Aankhein,
Dhani Jora, Sabz Dupatta,
Lambe Gaisoo, Qatil Khushboo,
Ik Pehar Mein
Ik Jag Beeta
Maine Tera Bazoo Thama
Wasal Ki Is Pehli Barish Mein
Kya Kuchh Khoya, Kya Kuchh Paya
Barish Ki Ye Pehli Boondein
Kaisa Jadu Karti Hain.

 0 People liked it
0 Ratings

Chandni Raat K Hathon Pay Sawar Utri Hai
Koi Khushboo Meri Delhiz K Paar Utri Hai
Is Main Kuch Rang Bhi Hain Khuwab Bhi Mehkar Bhi Hai
Jhilmilati Hui Khawish Bhi Inkaar Bhi Hai
Isi Khushboo Main Kayi Dard Bhi Afsanay Bhi
Isi Khushboo Nay Banaye Kayi Dewanay Bhi
Isi Khushboo Say Kisi Yaad K Der Khultay Hain
Meray Pairon Say Jo Liptay To Safar Khultay Hain
Yahi Khushboo Jo Mujhey Ghar Say Utha Layi Thi
Ab Kisi Tor Palat Ker Nahi Janay Deti
Meri Delhiz Bulati Hai Mujhey Loot Aao
Yahi Khushboo Mujhey Wapis Nahi Aanay Deti
Ranj Or Dard Main Doobi Bahar Utri Hai
Koi Khushboo Meri Delhiz K Paar Utri Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Dekhte Dekhte Kai Mausam Badal Gayae,
Auron Ki Kya Baat Karein,Sanam Badal Gayae.
Ruswa Mehfil Mein Is Tarah Se Hue,
Apnon Ki Bheed Mein Jaise,Hum Badal Gayae.
Kagaz Pe Kuchh Lakerein,Haathon Ki Tarah,
Mitaa Sakta Hai Har Koi,Karam Badal Gayae.
Unki Bewafai Ka Kaise Sikwa Karein,
Chhod De Saath “Faqeer”,Sitam Badal Gayae.
Teri Zarra Nawazish Ka Dil Se Shukriya,
Warna Ae Khuda Jahaan Mein,Reham Badal Gayae.

 0 People liked it
0 Ratings

Is Barish Main Mujhey Tera Pyar Bhi
Kachi Matti Ki Maanind Laga
K Jesay
Chand Lamhon Ki Inayaton K Baad
Zameen Ko Sara Sal
Pyasa Rehna Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Ye Baarisho’n K Mausam
Bas Tum Hi Se Hyn Wabasta
k Mohabbato’nMain Baarish
Bari Lazmi Si Shey Hy
Chahey Aasman Se Barsey
Chahey Chashm-e-Nam Se

 0 People liked it
0 Ratings

Saawan Ka Mausam Tha
Poonam Ki Raat Thi
Mein Uske Paas Tha
Woh Mere Karib Thi
Fir Woh Mere Paas Aayi
Aur Thodi Si Ghabraayi
Jab Meine Uska Haath Pakada
To Woh Thodi Si Sharmaayi
Usne Kaha Aaj Hum
Aise Bandhan Me Bandh Jaaye
Jise Duniya Ki
Koi Taakat Na Tod Paaye
Meri Khushi Ka Andaaza
Lagana Mushkil Tha
Par Iske Aage Jo Hua
Woh Batana Bhi Mushkil Hai
Usne Mera Haath
Haatho Me Lekar Kaha
Yeh To Janam Janmo
Ka Bandhan Hai
Phir Mujhe Yaad Aaya
Woh Saawan Ka Mausam
Woh Poonam Ki Raat
Yeh To Raksha Bandhan Hai!

 0 People liked it
0 Ratings

Kal Halki Halki Barish Thi
Kal Sard Hawa Ka Raqs Bhi Tha
Kal Phool Bhi Nikhray Nikhray Thay
Kal Un Pe Aap Ka Aks Bhi Tha
Kal Badal Kalay Gehray Thay
Kal Chand Pay Lakhon Pahray Thay
Kuch Tukray Aap Ki Yaad Kay
Bari Dair Say Dil Main Thehray Thay
Kal Yaadain Uljhi Uljhi Thin
Aur Kal Tak Yeh Na Suljhi Thin
Kal Yaad Bohut Tum Aye Thay
Kal Yaad Bohut Tum Aye Thay

 0 People liked it
0 Ratings

Ye Baarisho'n K Mausam
Bas Tum Hi Se Hyn Wabasta
k Mohabbato'nMain Baarish
Bari Lazmi Si Shey Hy
Chahey Aasman Se Barsey
Chahey Chashm-e-Nam Se

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Barsaat Shayari 61 - 70 of 94, Page 7 of 10 pages.