Koyi Aashiq Toh Koyi Deewaana Bana Lyrics

Betaj Badshah (1994)- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Koyi Aashiq Toh Koyi Deewaana Bana from movie Betaj Badshah (1994)

  

Lyrics

    • Movie Name : Betaj Badshah (1994)
    • Director(s) : Anand-Milind
    • Singer(s) : Kavita Krishnamurthy,Sudesh Bhosle
    • Lyricist(s) : 

    pyaar toh hai ik khaali botal, dil hai ek tuta paimaana
    ghunt jeher ka pita jaaye, log kahein jisako deewaana
    aa aa aa aa aa........

    koyi aashiq toh koyi deewaana bana - (3)
    pyaar jab bhi huwa ik fasaana bana, fasaana bana
    koyi aashiq toh koyi deewaana bana - (2)
    pyaar jab bhi huwa ik fasaana bana, fasaana bana

    kori thi ulfat ki kitaabein, are hamane bada ehsaan kiya
    chaahat ke inn afsaano ko hamane lahu se rang diya
    kitani jaane gayi kitane rusawa huye - (2)
    tamaashe mohabbat mein kya kya huye, kya kya huye
    na bacha koyi har dil nishaana bana - (2)
    pyaar jab bhi huwa ik fasaana bana, fasaana bana

    deewaar agar majbut ho toh aandhi bhi yahaan ruk jaati hai
    taakat ke aage duniya ki har ik shai chhup jaati hai
    jung-e-ulfat mein toh log marte nahi - (2)
    phir bhi maane nahi aahein bharate rahe, bharate rahe
    ishq kurbaaniyon ka taraaana bana - (2)
    pyaar jab bhi huwa ik fasaana bana, fasaana bana
    koyi aashiq toh koyi deewaana bana - (2)
    pyaar jab bhi huwa ik fasaana bana, fasaana bana

    Related Lyrics