Lyrics  »  Hindi Lyrics  »  Banjaarin

Ek Bar Dharti Par Aakar Lyrics

Banjaarin- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Ek Bar Dharti Par Aakar from movie Banjaarin

  

Lyrics

    • Movie Name : Banjaarin
    • Director(s) : 
    • Singer(s) : Mukesh
    • Lyricist(s) : 

    ek bar dharti par aakar dekh jara bhagwan
    tere hatho aaj huwa barabad tera insan
    dekh jara bhagwan, (aakar dekh jara bhagwan -2)

    julm kiya kyon palanhare, chita ban gayi hai dware dware
    mann ki godi aaj bani hai ek jalta shamshan
    dekh jara bhagwan, (aakar dekh jara bhagwan -2)

    bichhad gaya hai bahan se bhayi, dulhan ki tuti shehanayi
    hay pita ne marte dekha apna putra javan
    dekh jara bhagwan, (aakar dekh jara bhagwan -2)

    mandir ki ro rahi divare, masjid bhi abb yahi pukare
    wahi hai dharti, wahi gagan hai, kaha tera iman
    dekh jara bhagwan, (aakar dekh jara bhagwan -2)

    tera dekha kub tamasha palat gaya kismat kaa pasa
    badal dal abb nam too apna o rahbar rehman
    dekh jara bhagwan, ek bar dharti par

    aakar dekh jara bhagwan - (2)

    Related Lyrics