Bewafa Shayari

Bewafa Shayari - A large collection of Bewafa Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Bewafa Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Bewafa Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Bewafa Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Bewafa Shayari

Showing Bewafa Shayari 311 - 320 of 532, Page 32 of 54 pages.

Yehi Wafaa Ka Silaah Hai, To Koi Baat Nahi
Yeh Dard Tum Ne Diya Hai, To Koi Baat Nahi
Yehi Bohot Hai Ke Tum Dekhte Ho Sahil Se
Safeena Doob Raha Hai, To Koi Baat Nahi
Rakha Tha Aashiyana-E-Dil Main Choopa Ke Tumko
Woh Ghar Tumne Chor Diya Hai To Koi Baat Nahi
Tum Hi Ne Aayena-E-Dil Mera Banaya Tha
Tum Hi Ne Tor Diya Hai To Koi Baat Nahi
Kise Majaal Kahe Koi Mujh Ko Deewana
Agar Yeh Tumne Kaha Hai To Koi Baat Nahi

 0 People liked it
0 Ratings


adab dosto ,kuch pesh karta hu……….comments ka intazar
rahega………………
“aye kash tumhe humare pyar par yakeen hota,
to mausam -e- bahar,patjad me bhi hota…….
aye kash tum samaj pate humare ashq ko ki jubani,
to taare bhi aa baith te sunne woh beeti kahani…….
aye kash tum humari dhadkanno ki dhun sun pate,
to saat suro se bane is dil ko samaj pate…………..
aye kash tum samaj pate in ladkhadate labpso ke ishare,
to khil uthte binbarsaat hi phool sare………..
aye kash khole hote tumne humare liye dil ke dwaar,
bin base kaise bataye ,hai tumse kitna pyar……..
kar to liya apne humse pyar,
par kar na sake humpe etbaar…..
kar to liya humne bhi ikraar,
par de na sake woh pyar…..
nahi ban sake hum wo dil-dar,
jiska tha shayad aapko intazar……
karte hai din raat tumhari ibadat,
par shayad nahi is tute dil ko dhadak ne ki izazat…..
aye khuda,
‘jeevan se jyada hai hume maut par etbaar,
gar hota hai pyar ek hi baar’
chalte hai dosto,phir milege ……..aur acha likhne ki koshish k
arege

 0 People liked it
0 Ratings

Uski Bezaar-E-Bad Dua Mein Hayaat Meri
Gujarne Lagi Maikhane Mein Kahi

Hume Malaamat Mili Saki Ke
Shamil Hue Tere Shab E Maikhane Mein

Tere Dard-E-Gham Mein Dil E Zauq-E-Talab
Ab Na Koi Tanhai Rahi Na Kisika Khuloos-E-Qalb

Jam-E-Sharab Hardum Chalkta Gayaa
Tarz-E-Tapaak Main Sharabi Pita Gayaa

Woh Samjhe Ke Barbaad Hue Hum
Kaise Kahu O Bewafa Maikhane Se Roshan Hue Hain Hum

 0 People liked it
0 Ratings

Dosti Ki Raah Me Bewafai Nahi Hoti
Dosti Se Badhke Koi Khudaai Nahi Hoti
Mehsoos Hoti Hai Kami Dosto Ki
Lekin Yadoon Ke Siwa Koi Dawai Nahi Hoti

 0 People liked it
0 Ratings

Mere Aakri Nishani, Ye Khat, Use Bewaffa Ko Bijwa Dena
Jab Na Rahun Hosh Mein Saaki, Jaam Me Thoda Zeher Mila Dena
Kuch Nahi Mere Pass, Bas Tumse Ek Choti Si Gujarish Hai
Mar Jayen Hum, To Mujh Par Saaki, Ek Kafan Beecha Dena

 0 People liked it
0 Ratings

Dard Se Hum Ab Khelna Seekh Gaye,
Hum Bawafai Ke Saath Jeena Seekh Gaye,
Kya Batayein Kis Kadar Dil Toota Hai Mera,
Maut Se Pehle, Kafan Aud Ker Sona Seekh Gaye..

 0 People liked it
0 Ratings

Jo Wafa K Badle Sirf Bewafai Pate Hai
Dard Ko Chupakar Jo Hasna Sikh Jate Hai
Dik Tutne Ka Dard Kuch Isa Hme Sikha Jata Hai
Jo Ise Jamajte H Wo Ouro K Liye Ek Misal Ban Jate Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Dard Me Doobi Tehreer Teri
Dil Ke Taron Ko Chhed Gayi
Kyon Ki Teri Aankhon Mein Besabab Udaasi Hai
Kyon Ki Tere Chehre Pe Dukh Hai, Badhawasi Hai
Kyon Saughawar Tera Daaman Hai
Kyon Tere Lahje Me Ajnabi Pan Hai
Woh Ke Umr Bhar Jisne Shahar Bhar Ke
Logon Me Mujh Ko Ham Sukhan Jaana,
Dil Se Aashna Likha
Khud Se Meherbaan Samjha
Dilruba Likha
Lekin……
Ab Ke Saada Kaagaz Per Surkh Roshnai Se
Tune Talkh Lahje Me
Mere Naam Se Pahle Sirf “Bewafa” Likha
Jaane Kyon
Jaane Kyon
Jaane Kyon ?????

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Bewafa Shayari 311 - 320 of 532, Page 32 of 54 pages.