Bewafa Shayari

Bewafa Shayari - A large collection of Bewafa Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Bewafa Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Bewafa Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Bewafa Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Bewafa Shayari

Showing Bewafa Shayari 401 - 410 of 532, Page 41 of 54 pages.


Bewafa to use kehte hai jo wafa nahi karte,
Agar tumse pyar na hota to tumhe bewafa kaise kehte,
Phirbhi tumne mere pyar ka aisa sila diya hai,
Ke tumhe bewafa kehna bhi bewafai ki tauheen hoti hai…

 0 People liked it
0 Ratings

Mein bawafa tha is liye dhoka kha gaya…
shayad use talaash kisi bewafa ki thi…

 0 People liked it
0 Ratings

Wo Khwaab Tha Bikhar Gaya Khayal Tha Mila Nahin
Magar Aye Dil Ko Kya Hua Kyon Bujh Gaya Pata Nahin

 0 People liked it
0 Ratings

Hanste Hain Yun Hans Kar Rula Jate Hein Log,
Milte Hain Yunhi Mil Kar Juda Ho Jate Hein Log,
Pal Do Pal Ki Mohabbat Ko Umar Ka Saath Samjhna,
Mohabbat Bi Karte Hain Or Khafa Bhi Ho Jate Hain Log,
Naseeb Mein Pyar Na Tha Jo Mujhe Mila Hi Nahi,
Kr Ke Izhaar_E_Mohabbat Bhi Beparwaah Ho Jate Hain Log,
Ab Kis Say Shikwa Karen Apni Mohabbat Ka Aye “Hasan”
Kar K Wafa Ka Vaada Bewafa Ho Jate Hain Log.

 0 People liked it
0 Ratings

Uske khathonko phaad diya
Thasweeronko bhi jala diya
Jobhi nishaaniyaan hai unko khatham kardiya
Lekinnnnnnn…..
Hamari har saans me, meri har nas me jo samaa gaya
Hamare khayaalon me jo chaagaya
Hamein jo apna diwaana banaagaya
Saare dunian se bekhabar banaagaya
Kehtha tha hum uski zindagi hain, merehi zindagiko mujhse cheengaya
Kaisa a sitham kargaya
Jeethe ji mujhe maargaya
Aye sanam, yeh thoone kya kardiya?! kyaaaaa kardiya?!

 0 People liked it
0 Ratings


Hum apni wafawon ka sila kis say mangtay
Hum ba wafa thay lakin wafa kis say mangtay
Khud hee to kee thi hum nay apnay Rab say baghawat
Phir hum jo duwa mangtay to kis say mangtay
Jo thay tabeeb Dil ke wo bhi dushman-e-jaan thay
Is Dil kee duwa mangtay to kis say mangtay
Mahboob jo tha wo bhi to naraz tha hum say
koyi shokh ada mangtay to kis say mangtay
Jo waqt guzar jaye tu wapis nahi aata
Wo waqt gaya mangtay tho kis say mangtay
Hum us kee justajoo main howe khud say be-ganay
Hum ghar ka pata mangtay to kis say mangtay.!!

 0 People liked it
0 Ratings


Teri kitaab-e-hayat meiN, meri aukat ik safaa hai,
Rangin fasaanon mein dabii kahin meri wafa hai.
(Kitaab-e-hayat=Book of life, Safa=Page)
Shikayat us likhne wale se hai, tujhse koi gila nahi,
Jo shayad is kahani mein mere kirdar se khafa hai.
Kitaab-e-muqaddas hai mera pyaar, par haar mili,
Isme koi fasl hi nahi jiska nam nuksan ya nafa hai.
(Kitaab-e-muqaddas=Bible, Fasl=Chapter)
Unke diid par daffatan nikal gaya “ya mere khuda”
Wo ise agar mante hain meri jafa to meri jafa hai.
(Diid=Sight, Daffatan=Suddenly)
Taariikh jaanta hai talwaar ki aziyaten kalam par,
Haari hai shamshiir, kalam ki fateh har dafaa hai..

 0 People liked it
0 Ratings

Ilzam Bewafai Ke Unko De Raha Hoon
Shak Ho Raha Hai Mujhko Main Khud Hi Bewafa Hoon

Har Jism-E-Gulfaroshan Ab Markaj-E-Nazar Mein
Tumse Bichad Ke Kitna Aawara Ho Gaya Hoon

Is Sham-E-Bekasi Mein Dil Ki Khabar Nahi
Kab Se Kahan-Kahan Main Aaj Ro Pada Hoon

Is Lamha-E-Khushi Mein Afshana-E-Shab-E-Gham
Kuch Tum Bhi Bhulte Ho, Kuch Main Bhi Bhulta Hoon

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Bewafa Shayari 401 - 410 of 532, Page 41 of 54 pages.