Bewafa Shayari

Bewafa Shayari - A large collection of Bewafa Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Bewafa Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Bewafa Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Bewafa Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Bewafa Shayari

Showing Bewafa Shayari 411 - 420 of 532, Page 42 of 54 pages.

Jidher Bhi Jaoon Nazar Mein Us Ka Chehra Rahta Hai
Wo Mere Dhiyan Ke Sabhi Raastoon Mein Rahta Hai
Bicharh Kar Us Se Pereshan Mein To Hoon
Par Suna Hai Wo Bhi Uljhanoon Mien Rahta Hai

 1 People liked it
0 Ratings


Koi dikha ke roye,
Koi chhupa ke roye,
Hamein rulane wale hamein rulake roye,
Marne ka maza to tab hai yaron
Jab kaatil bhi zanaaje par aake roye..

 0 People liked it
0 Ratings

Kabhi Humko Rab Ki Khudai Ne Mara,
Kabhi Sang Dil Mahboob Ki Judai Ne Mara,
Bari Muddat Tak Kabhi Tanha Rahe Hai Hum,
Kabhi Humko Ghamgeen Tanhai Ne Mara,
Mahboob Se Hum Pyar Ka Ikrar Nahi Karte,
Aur Hume Dar Aur Ruswai Ne Mara,
Ye Tha Mera Mazi Aur Ab Mera Haal Ye,
Mujhe Ab Mahboob Ki Bewafai Ne Mara…!!!

 0 People liked it
0 Ratings


Hain Aur Bhi Tere Husn Ke Rehnuma Kayi,
Kyun Fir Tere Sath Guzra Zamana Yaad Aata Hai,
Mere Dil-e-Dard Ki Wajah Tumse Hai Lekin,
Kyun Khuda Se Pehle Tera Naam Zuban Pe Aata Hai,
Yeh Dil-e-Naadan Janta Hai Fir Wo Hoga Na-Ummed,
Kyun Ek Aur Naya Zakhm Khane Tere Paas Chala Aata Hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Red Cristal Broken Heart

Dard-E-Bewafai Ka Gila Nahi Krte
Mukaddar Me Jo Naho Wo Mila Nahi Krte
Mat Dekh Kisi Ko Nigaha-E-Hasrat Se
Wafadar Kisi Ke Nazro Se Gira Nahi Krtr.

 0 People liked it
0 Ratings

Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega
Itna Mat Chaaho Use Wo Bewafa Ho Jaayega
Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai,
Jis Taraf Bhi Chal Padeinge Raasta Ho Jaayega
Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagii Ne Keh Diya,
Tu Nahin Mera To Koi Doosra Ho Jaayega
Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Raha Hoon Dosto,
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jaayega
Sab Usi Ke Hain Hawa, Khushboo, Zameen-O-Aasmaan,
Main Jahan Bhi Jaaoonga Us Ko Pata Ho Jaayega
Rooth Jaana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar,
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jaayega

 0 People liked it
0 Ratings

Chaman ke baharon mai tha aashiyana
na jane kahan kho gaya wo zamana
tumhen bhulane ke main koshish karunga
ye wada karo ke na tum yad aana
mujhe mere mitane ka gam hai to ye hai
tumhen bevafa kah raha hai zamana
khudara meri qabr pe tum na aana
tumhen dekh kar shaq karega zamana
Poet of the poem or ghazal or Nazam is Qamar Jalalvi

 0 People liked it
0 Ratings


KISI KI YAADON NE PAGAL BANA RAKHA HAI.
KAHI MAR NA JAO..KAFAN SILA RAKHA HAI.
DAFNA NE SE PEHLE DIL NIKAL LENA.
KAHI VO NA DAFAN HO JAE .
JISE DIL MEI BASA RAKHA HAI..

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Bewafa Shayari 411 - 420 of 532, Page 42 of 54 pages.