Bhool Shayari

Bhool Shayari - A large collection of Bhool Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Bhool Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Bhool Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Bhool Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Bhool Shayari

Showing Bhool Shayari 91 - 100 of 109, Page 10 of 11 pages.

Gamo Mai Bhi Muskurana Chahta Hu Mein
Ek Nayi Duniya Basana Chahta Hu Mein
Magar Na Jane Kyon Nikal Ate Hain Ansoo
Jab Bhi Tumhe Bhulana Chahta Hu Mein!

 0 People liked it
0 Ratings

Apne Dil Ki Awaz Sun Afwaon Se Kaam Na Ley
Mujhe Yaad Kar Beshak Mera Naam Na Ley
Tera Weham Hai Ke Hum Bhool Gaye Tujhe
Meri Koi Sans Aisi Nahi Jo Tera Naam Na Ley

 0 People liked it
0 Ratings

Pyar mujhase jo kiya tumane to kya paogi
mere halat ke aandhi mein bikhar jaogi
ranj aur dard ke basti ka main bashinda hun
ye to bas main hun ke is hal mein bhi zinda hun
khwab q dekhun wo kal jisape main sharminda hun
main jo sharminda hua tum bhi to sharamaogi
q mere sath koi aur pareshan rahe
meri duniya hai jo viran to viran rahe
zindagi ka ye safar tumako to aasan rahe
hamasafar mujhko banaogi to pachataogi
ek main kya abhi aayenge divane kitne
abhi gunjege muhabbat ke tarane kitne
zindagi tumako sunayegi fasane kitne
q samajhati ho mujhe bhool nahi paogi

 0 People liked it
0 Ratings

Ay Dost Teri Dosti To Dil Ka Suroor Hai
Hum Tuj Ko Bhol Jain Yeh Teri Bhol Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Jab Chla Chor K Batlane Ki Zehmat Bhi Na Ki,
Khob Tha Dosti Ek Arsa Nibhanay Wala,
Dushmani K Bhi Tu Aadaab Hain Aey Dost Bata,
Koi Itna Bhi Na Tha Tujh Ko Batanay Wala…

 0 People liked it
0 Ratings

Jada-e-fan mein bade sakht muqam aate hain
mar ke rah jata hai fanakar amar hone tak
kitne galib the jo paida huye aur mar bhi gaye
qadradann ko takhallus ki khabar hone tak
kitne iqabal rah-e-fikr mein uthe lekin
rasta bhool gaye khatm-e-safar hone tak
kitne shabbir hasan khan na bane josh kabhi
mar gaye kitne sikander bhi jigar hone tak
faiz rang bhi ashar mein aa sakata tha
ungaliyan sath to den khoon mein tar hone tak
chand zarron hi ko milati hai ziya-e-khurshid
chand tare hi chamakate hain sahar hone tak
dil-e-shayar pe kuch aisi hi guzarati hai ‘figar'
jo kisi qatre pe guzri hai guhar hone tak

 0 People liked it
0 Ratings

Na Jane Kis Bat Ki Wo Mujh Ko Saza Dayta Hai
Mere Hansti Hoye Ankhon Ko Rula Dayta Hai
Hum Ko Maloom Nahin Koye To Poocho Us Se
Kya Koye Is Tarah Apno Ko Bhula Dayta Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Waqt Kehta Hai Mujhe Gawana Mat
Dil Kehta Hai Mujhe Lagana Maat
Dost Kehta Hai Mujhe Azamana Mat
Or Hum Kehta Hai Hame Bhulana Mat

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Bhool Shayari 91 - 100 of 109, Page 10 of 11 pages.