Bhool Shayari

Bhool Shayari - A large collection of Bhool Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Bhool Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Bhool Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Bhool Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Bhool Shayari

Showing Bhool Shayari 51 - 60 of 109, Page 6 of 11 pages.

Wo Yaad Nhi Krte,Hum Bhula Nhi Sakte..
Wo Hans Nahi Sakte,Hum Rula Nahi Sakte..
Hai Pyar Itna Khubsurat Humara,
Ki Wo Bata Nhi Sakte Or Hum Jata Nhi Sakte…

 1 People liked it
1 Ratings

Aap ko bhool jayen hum itane to bevafa nahi
aap se kya gila karen aap se kuch gila nahi
shisha-e-dil ko todana unaka to ek khel hai
hum se hi bhull ho gai unaki koi khata nahi
kash wo apne gam mujhe de den to kuch sukun mile
wo kitana badanasib hai gam hi jise mila nahi
karana hai gar wafa to kya kaise wafa ko chod dun
kahate hain is gunah ke hoti koi saza nahi

 2 People liked it
0 Ratings

Ruh bechain hai ik dil ki aziyat kya hai
dil hi shola hai to ye soz-e-mohabbat kya hai
wo mujhe bhool gai iski shikayat kya hai
ranj to ye hai ki ro-roke bhulaya hoga
wo kahan aur kahan kahif-e-gam sozish-e-jan
us ki rangin nazar aur nuqush-e-hirman
us ka ehsas-e-latif aur shikast-e-arman
tanazan ek zamane nazar aaya hoga
jhuk gai hogi javan-sal umangon ki jabin
mit gai hogi lalak dub gaya hoga yaqin
cha gaya hoga dhuan ghum gai hogi zamin
apne pahale hi gharonde ko jo dhaya hoga
dil ne aise bhi kuch afsane sunaye honge
ashk aankhon ne piye aur na bahaye honge
band kamare mein jo khat mere jalaye honge
ek-ik harf jabin par ubhar aaya hoga
us ne ghabarake nazar lakh bachai hogi
mitake ik naqsh ne sau shaql dikhai hogi
mez se jab meri tasvir hatai hogi
har taraf mujh ko tadapta hua paya hoga
bemahal ched pe jazbat ubal aaye honge
gham pasheman tabassum mein dhal aaye honge
naam par mere jab aansu nikal aaye honge
sar na kandhe se sahali ki uthaya hoga
zulf zid kar ki kisi ne jo banai hogi
ruthw jalvon pe khizan aur bhi chai hogi
barq ashvon ne kai din na girai hogi
rang chehare pe kai roz na aaya hoga
hoke majabur mujhe us ne bhulaya hoga
zeher chup kar ki dawa jan ki khaya hoga
 

 0 People liked it
0 Ratings

Bhool Kar Bhi Bhula Nahi Sakte,
Aur Hum Tujhko Paa Nahi Sakte,
Khud Pe Ilzaam Dhar Liya Humne,
Tujh Pe Tohmat Laga Nahi Sakte,
Dil Pe Likha Hai Yu Tera Naam,
Chah Kar Bhi Mita Nahi Sakte,
Usne Duniya Bhula Kar Rakh Di Hai,
Hum To Lab Bhi Hila Nahi Sakte,
Bhool Jaate Hai Roz Wo Yeh Keh Kar,
Hum Tum Ko Bhula Nahi Sakte…!!

 0 People liked it
0 Ratings

Na Bujha Chiragh-E-Dayaar-E-Dil, Na Bichrne Ka Tu Malaal Kar,
Tujhe De Gi Jeene Ka Hosla, Meri Yaad Rakh Le Sambhal Kar,
Ye Bhi Kya Ke Ek Hi Shakhs Ko Kabhi Sochna, Kabhi Bhoolna,
Jo Na Bujh Sake Wo Diya Jala, Jo Na Ho Sake Wo Kamal Kar,
Gham-E-Arzu Meri Justju, Mei Simat Ke Aa Gaya Ru-Baru,
Ye Sukoot-E-Marg Hai Kis Liye? Mei Jawab Doon Tu Sawal Kar,
Tu Bichhar Raha Hai To Soch Le, Tere Hath Hai Meri Zindgi,
Tujhe Rokna Meri Mot Hai, Meri Be`Bsi Ka Khayal Kar,
Mre Dard Ka, Mre Zabt Ka, Meri Be-Basi, Mere Sabr Ka,
Jo Yakeen Na Aaye To Dekh Le, Tu Hawa Mein Phool Uchaal Kr

 0 People liked it
0 Ratings

(Koi Tha)
Jo Meri Ankho Pe Marta Tha,
Meri Baton Pe Marta Tha,
Na Janay Shakhs Tha Kesa?
Mujhy Khony Se Darta Tha,
Wo Jab B Bat Karta Tha
Yehi Har Bar Kehta Tha,
Suno.
Agar Me Bhol Jaon To
Agar Me Roth Jaon To
Kabhi Wapis Na Aon To
Bhula Pao Gay Sab Kuch Kia,
Yohi Hanste Raho Gay Kia?
Yohi Sajte Raho Gay Kia?
Yehi Baten Thi Bus Uski,
Yehi Yaden Thin Bus Uski
Muje Malom Hay Bus Itna
“Yaar ”
Muje Wo Piyar Karta Tha!
Muje Khony Se Drta Tha.

 0 People liked it
0 Ratings

Tumko Bhula Payenge Itna Hum Main Dum Nahi,
Tumne Diya Jo Gam Wo Maut Se Kam Nahi,
Yaaro Dil Ke Jakhm Dikhaon Phasana Yaar Kaa Hain,
Mohabbat Jhoothi Hain Bahana Pyaar Kaa Hain

 1 People liked it
0 Ratings

Aapko Bhool Jau Umar Guzarne Ki Baat Hai,
Aap Ko Naa Ho Yakin Yeh Aur Baat Hai,
Jab Tak Rahegi Saas Tab Tak Rahonge Yaad,
Yeh Saas Tut Jaaye To Aur Baat Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Bhool Shayari 51 - 60 of 109, Page 6 of 11 pages.