Chahat Shayari

Chahat Shayari - A large collection of Chahat Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Chahat Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Chahat Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Chahat Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Chahat Shayari

Showing Chahat Shayari 51 - 60 of 65, Page 6 of 7 pages.

Saza Labon Se Apne Sunayi To Hoti
Rooth Jaane Ki Wajah Batayi To Hoti
Bech Deta Main Khud Ko Tumhare Liye
Kabhi Kharidne Ki Chahat Jatayi To Hoti.

 0 People liked it
0 Ratings

Tera Na Milna Mera Naseeb Hi Sahi Lekin,
Ae Sanam
Meri Qismat Mein Likha Hai Tujhe Toot Ke Chahna

 0 People liked it
0 Ratings

Kisi Ko Chaho To Is Aandaz Se Chaho
K Uss Ko Jab Bhi Pyaar Mile To Tum Yaad Aa Jao…!!

 1 People liked it
0 Ratings

Khuda Ka Noor Aap Per Is Kadar Barse
Har Koi Aapki Chahat Ko Tarse
Aapki Zindgi Mein Aayen Itni Khushiyan
Ke Wo Khuda Bhi Aapki Zindgi Mein Aane Ko Tarse.

 0 People liked it
0 Ratings

Chahat Ka Daaman Kabhi Na Chhute
Aap Humse Hum Aapse Kabhi Na Ruthein
Is Qadar Nibhayein Apne Pyar Ko Hum
Dhadkane Kamosh Ho Jayein Par
Ye Rishta Kabhi Na Tute.

 0 People liked it
0 Ratings

Aaj To Teri Yaad K Jhonka Tak Nai Aaya,
Aaj Jane Q Chahtoun Pe Zawal Aaya Hai.

 1 People liked it
0 Ratings

Kisane wada kiya hai aane ka
husn dekho garib khane ka
ruh ko aaina dikhate hain
dar-o-divar muskurate hain
aj ghar, ghar bana hai pahali bar
dil mein hai khush saliqagi bedar
jama saman hai aish-o-ishrat ka
khauf dil mein fareb-e-qismet ka
soz-e-qalb-e-kalim aankon mein
ashk-e-ummid-o-bim aankhon mein
chashm-bar-rah-e-shauq ke mare
chand ke intazar mein tare
Poet of the poem or ghazal or nazam is Josh Malihabadi

 0 People liked it
0 Ratings

Chand sitaron se kya puchun kab din mere phirate hain
wo to bechare khud hain bhikari dere dere phirate hain
jin galiyon mai hum ne sukh ke sej pe raten kati thin
un galiyon mai vyakul hokar sanjh savere phirate hain
rup-sarup ke jot jagana is nagari mai jokhim hai
charon khunt bagule ban kar ghor andhere phirate hain
jin ke sham-badan saye mai mera man sustaya tha
ab tak aankhon ke aage wo bal ghanere phirate hain
koi hamen bhi ye samajha do un par dil kyon rijh gaya
tikhi chitavan banki chab vale bahutere phirate hain
is nagari mai bag aur ban ke yaro lila nyari hai
panchi apne sar pe uthakar apne basere phirate hain
log to daman si lete hain jaise ho jee lete hain
‘abid' hum divane hain jo bal bikhere phirate hain

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Chahat Shayari 51 - 60 of 65, Page 6 of 7 pages.