Chand Sitare Shayari

Chand Sitare Shayari - A large collection of Chand Sitare Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Chand Sitare Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Chand Sitare Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Chand Sitare Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Chand Sitare Shayari

Showing Chand Sitare Shayari 1 - 10 of 115, Page 1 of 12 pages.

Ye haqiqat hai ki hota hai asar baton mein
tum bhi khul jaoge do char mulaqaton mein
tum se sadiyonki vafaon ka koi nata na tha
tum se milane ke lakiren thi mere hathon mein
tere vadon ne hamen ghar se nikalne na diya
log mausam ka maza le gaye barasaton mein
ab na suraj na sitare na shaman na chand
apne zakhmon ka ujala hai ghani raton mein

 4 People liked it
3 Ratings

Chaand Maddham Hai Aasmaan Chup Hai
Niind Kii God Men Jahaan Chup Hai
Duur Vaadii Men Duudhiyaa Baadaal
Jhuk Ke Parbatko Pyaar Karate Hain
Dil Men Naakaam Hasaraten Lekar
Ham Teraa Intazaar Karate Hain
In Bahaaron Ke Saaye Men Aa Jaa
Phir Mohabbat Javaan Rahe Na Rahe
Zindagii Tere Naa-Muraadon Par
Kal Talak Meharabaan Rahe Na Rahe
Roz Kii Tarah Aaj Bhii Taare
Subah Kii Gard Men Na Kho Jaayen
Aa Tere Gam Men Jaagatii Aankhen
Kam Se Kam Ek Raat So Jaayen
Chaand Maddham Hai Aasmaan Chup Hai
Niind Kii God Men Jahaan Chup Hai
Poet : Sahir Ludhianvi

 0 People liked it
0 Ratings

Kaate Nahin Kat Te Lamhe Intezaar Ke
Nazaren Bichaein Baithe Hain Raste Pe Yaar Ke
Dil Ne Kaha Dekhe Jo Jalwe Husne Yaar Ke
Laya Hain Unhe Kaun Falak Se Utaar Ke

 6 People liked it
8 Ratings

Samane hai jo use log bura kahate hain
jisako dekha hi nahi usako khuda kahate hain
zindagi ko bhi sila kahate hain kahanevale
jinevale to gunahon ke saza kahate hain
fasale umr ke kuch aur bada deti hai
jane q log use phir bhi dawa kahate hain
chand masum se patton ka lahu hai “fakir”
jisako mahbub ke hathon ke hina kahate hain

 2 People liked it
3 Ratings

Wohi Hasta Howa Chand Ye Pur Noor Sitare
Tabinda Wa Painda Hain Zaroo Ke Sahare

 5 People liked it
4 Ratings

Dete Ho Kyu Yeh Dard Bas Humhi Ko?
Kya Samjoge Tum In Aankhon Ki Nami Ko
Yuh Toh Honge Lakho Diwane Is Chand Ke
Chand Kya Mehsus Karega Ek Taare Ki Kami Ko

 3 People liked it
3 Ratings

Ye Dil Pyaar K Kabil Na Raha
Koi Bhi Izhar K Kabil Na Raha
Is Dil Me Bas Gayi Dosti Aapki
Aab To Chand Bhi Deedar K Kabil Na Raha!

 1 People liked it
2 Ratings

Raat Ka Aakhri Pehar Tha…!
Mujh Se Chaand Ne Kaha
Humnasheen Alvida
Mujh Ko Neend Aa Rahi Hai
Kal Milain Ge Isi Jagah
Men Sun Kar Muskura Diya
Us Ko Batla Diya
Jaanay Walay Lout’tay Nhi
Tum Nhi Aao Ge
Mujhe Hai Yaqeen
Meri Baat Sun Ke Woh Ruk Gaya
Aur Kehnay Laga
Tum Se Wada Karoon
Phir Poora Na Kroon
Aisa Mumkin Nhi
Sun Aey Humnasheen
Men CHAAND Hoon Insaan Nahi

 2 People liked it
2 Ratings

Post Shayari

Next Page

Showing Chand Sitare Shayari 1 - 10 of 115, Page 1 of 12 pages.