Chand Sitare Shayari

Chand Sitare Shayari - A large collection of Chand Sitare Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Chand Sitare Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Chand Sitare Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Chand Sitare Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Chand Sitare Shayari

Showing Chand Sitare Shayari 101 - 110 of 115, Page 11 of 12 pages.

Chamak Raha Hai Jo Ek Sitara Nahi Rahe Ga
Kisi Ke Hum Aur Koi Hamara Nahi Rahe Ga
Charaag Roshan Na Reh Sake Ge Kahii Zameen Per
Sar-e-Samawaat Ek Sitara Nahi Rahe Ga
Tariq Hashmi

 0 People liked it
0 Ratings

Kaheen chand rahon mein kho gaya kaheen chandani bhi bhatak gai
main charag wo bhi bujha hua meri raat kaise chamak gai
meri dastan ka uruj tha teri narm palkon ke chanv mein
mere sath tha tujhe jagana teri aankh kaise jhapak gai
kabhi hum mile to bhi kya mile wohi duriyan wohi fasale
na kabhi hamare qadam badhe na kabhi tumhari jhijhak gai
tujhe bhool jane ke koshishen kabhi qamayab na ho sakin
teri yaad shakh-e-gulab hai jo hawa chali to lachak gai

 0 People liked it
0 Ratings

Adhoorey Chaand Ki
Woh Adhoori Raat
Hontoo Per Dum Toorti
Un Kahi Un Suni
Woh Adhoori Baat
Woh Kuch Ajnabi Sa
Woh Kuch Shansa Sa
Rahi Adhoori Mulakaat
Dil Ne Kuch Khoya
Dil Ney Kuch Paya
Ajnabi Un Chahi
Adhoori Woh Shaam
Ley Ker Ghum Sare
Merey Badley Mein
Ghum Bhi Apna Na Diya
Kya Dosti Kya Pyaar
Kaisey Deta Woh Is
Rishtey Ko Koi Naam
…..Bus Sub Gumnaam
……Be Naam
……..Anjaan!
Adhoori Mulakaat
Adhoori Her Baat!
Aur
Adhooray Chaand Ki
Woh Adhoori Raat!

 0 People liked it
0 Ratings

Jane Kal Talak Teri Hayat Ho Na Ho,
Jhum Le K Phir Yeh Chand Raat Ho Na Ho..!
Tera Jo Bhi Gham Hay Aaj Tere Sath Hay,
Bekhabar Yehi To Jagne Ki Raat Hay..
Kuch Na Kuch Haseen Abhi Yeh Kaenaat Hay,
Suba Tak Magar Yeh Kaenaat Ho Na Ho..!
Kah Rahe Hain Tuj Se Tere Dolte Qadam,
Kam Na Ho Sakeen Ge Aansuoon Se Tere Gham..
Hasratoon Se Kheel Jab Talak Hay Dam Main Dam,
Tere Hath Main Kisi Ka Hath Ho Na Ho,
Jhum Le K Phir Yeh Chand Raat Ho Na Ho..!!!

 0 People liked it
0 Ratings

Chand Hasta Hain
Chandi Muskurati Hain
Tum Yaad Karo Ya Na Karo
Tumhari Yaad Aati Hain

 0 People liked it
0 Ratings

Chand ke sath kai dard purane nikale
kitane gam the jo tere gam ke bahane nikale
fasl-e gul aayi phir ik bar asiran-e-vafa
apne hi khun ke dariya mein nahane nikale
hijr ki chot ajab sang-shikan hoti hai
dil ke befaiz zaminon se khazane nikale
umr guzari hai shab-e-tar mein aankhen malate
kis ufaq se mera khurshid na jane nikale
ku-e-qatil mein chale jaise shahidon ka julus
khvab yun bhigati aankhon ko sajane nikale
dil ne ik int se tamir kiya taj mahal
tu ne ik bat kahi lakh fasane nikale
dasht-e tanhai-e-hijran mein khada sochata hun
haye kya log mera sath nibhane nikale
main ne ‘amjad' use bevasta dekha hi nahi
wo to khushbu mein bhi aahat ke bahane nikale
Poet of the poem or ghazal or nazam : Amjad Islam Amjad

 0 People liked it
0 Ratings

Raat Ko Naya Chand Mubarak,
Chand Ko Chandni Mubarak,
Falak Ko Sitare Mubarak.
Sitaroon Ko Bulandi Mubarak.
Aur Aap Ko Hamari Taraf Se:-
 Eid Mubarak

 0 People liked it
0 Ratings

Humara DIL Saweeray Ka Sunehra Jaam Ho Jaye
Chiraghon Ki Tarah Ankhein Jalein Aur Shaam Ho Jaye
Kabhie Tow Asmaan Se Chand Utray Jaam Ho Jaye
Tumharay Naam Ki Ek Khoobsurat Shaam Ho Jaye
Ajab Halaat Thay Yun Dil Ka Soda Ho Geya Akhir
Mohabbat Ki Haveeli Jis Tarah Nelaam Ho Jaye
Sumandar K Safar Mein Iss Tarah Awaz De Hum Ko
Hawayen Teez Hon Aur Kashtiyun Mein Shaam Ho Jaye
Mujhay Maloom Hai Usska Thikana Phir Kahan Ho Ga
Parinda Asmaan Choonay Mein Jab Nakaam Ho Jaye
Ujalay Apni Yaadon K Humaray Sath Rehnay Do
Najanay Kis Gali Mein Zindagi Ki Shaam Ho Jaye

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Chand Sitare Shayari 101 - 110 of 115, Page 11 of 12 pages.