Chand Sitare Shayari

Chand Sitare Shayari - A large collection of Chand Sitare Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Chand Sitare Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Chand Sitare Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Chand Sitare Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Chand Sitare Shayari

Showing Chand Sitare Shayari 21 - 30 of 115, Page 3 of 12 pages.

Sitare Toote Rehte Hain , Bujhte Rehte Hai
To Kya Umeed ,Sitara Shanaas Logo Se

 0 People liked it
0 Ratings

Chandani chat pe chal rahi hogi
ab akeli tahal rahi hogi
phir mera zikr aa gaya hoga
wo barf-si pighal rahi hogi
kal ka sapana bahut suhana tha
ye udasi na kal rahi hogi
sochata hun ki band kamare mai
ek shama-si jal rahi hogi
tere gahanon si khankhanati thi
bajare ke fasal rahi hogi
jin havaon ne tujh ko dularaya
un mai meri gazal rahi hogi
Poet of the poem/ghazal or nazam : Dushyant Kumar

 0 People liked it
0 Ratings

Isse Pehle Ki Chand Raat Ki Shaamhojaaye,
Mubarakbaad Ka Silsilaaam Hojaaye,
Bheed Me Shaamil Humaranaamho Jaaye,
Kyun Na Usse Pehle Eksalaam Ho Jaaye.
Chand Mubarak.

 0 People liked it
1 Ratings

Khizan Ke Door Mai Lutf-e-Bahar Laita Hoon
Gam-e-Hayat Ko Has Ke Guzar Laita Hoon
Guloon Se Rang Sitaroo Se Roshni Le Kar
Jamal-e-Yar Ka Naqsha Utar Laita Hoon
Sagir Siddique

 0 People liked it
0 Ratings

Chaand Sitaaron Se Kyaa Puchhuun Kab Din Mere Phirate Hain
Vo To Bechaare Khud Hain Bhikaarii Dere Dere Phirate Hain
Jin Galiyon Men Ham Ne Sukh Kii Sej Pe Raaten Kaatii Thiin
Un Galiyon Men Vyaakul Hokar Saanjh Savere Phirate Hain
Ruup-Saruup Kii Jot Jagaanaa Is Nagarii Men Jokhim Hai
Chaaron KhuunT Baguule Ban Kar Ghor Andhere Phirate Hain
Jin Ke Shaam-Badan Saaye Men Meraa Man Sustaayaa Thaa
Ab Tak Aankhon Ke Aage Vo Baal Ghanere Phirate Hain
Ko_Ii Hamen Bhii Ye Samajhaa Do Un Par Dil Kyon Riijh Gayaa
Tiikhii Chitavan Baankii Chhab Vaale Bahutere Phirate Hain
Is Nagarii Men Baag Aur Ban Kii Yaaro Liilaa Nyaarii Hai
Panchii Apane Sar Pe Uthaakar Apane Basere Phirate Hain
Log To Daaman Sii Lete Hain Jaise Ho Jii Lete Hain
‘Abid' Ham Diivaane Hain Jo Baal Bikhere Phirate Hain

 0 People liked it
0 Ratings

Koi Chaudhwein Raat Ka Chand Ban Kar
Tumharay Tasawur Mein Aya To Hoga,
Kisi Se To Ki Hogi Tum Ne Muhabbat
Kisi Ko Galay Se Lagaya To Hoga,
Tumharay Khayalon Kay Agan Mein Meri
Yaad Ke Phool Mehkay To Hon Gay,
Kabhi Apni Ankhon Ke Kajal Se Tum Ne
Mera Naam Likh Kar Mitaya To Hoga,
Labon Se Muhabbat Ka Jadu Jaga Kar
Bhari Bazm Mein Sab Se Nazarein Bacha Kar
Nigahon Ki Raahon Se Dil Mein Sama Kar
Kisi Ne Tumhein Bhi Churaya To Hoga,
Kabhi Ainay Se Nigahein Mila Kar
Jo Li Hogi Bharpur Angraeiyan Tu Nay
To Ghabara Ke Khud Teri Angraiyon Ne
Tere Husn Ko Gudgudaya To Hoga,
Nigahon Mein Shama-E-Tamana Jala Kar
Taki Hongi Tum Ne Bhi Rahein Kisi Ki
Kisi Ne To Wada Kia Hoga Tum Se
Kisi Ne Tumhein Bhi Roolaya To Hoga…!

 0 People liked it
0 Ratings

Tehra , Jhuka Hua Terey Dar Pey Nisaar Chaand
Nikla Jo Baadlo Sey Kabhi Sogwaar Chand

 0 People liked it
0 Ratings

Gaye dinon ka surag lekar kidhar se aaya kidhar gaya wo
ajeeb manus ajanabi tha mujhe to hairan kar gaya wo
khushi ki rut ho ki gham ka mausum nazar use dhundhati hai har dam
wo bu-e-gul tha ki nagma-e-jan mere to dil mein utar gaya wo
wo maikade ko jaganevala wo raat ki neend udanevala
na jane kya us ki jee mein aayi ki sham hote hi ghar gaya wo
kuch ab sambhalane lagi hai jan bhi badal chala rang aasman bhi
jo raat bhari thi tal gai hai jo din kada tha guzar gaya wo
shikastapa rah mein khada hun gaye dinon ko bula raha hun
jo qafila mera hamsafar tha misl-e-gard-e-safar gaya wo
bas ek manzil hai bulhavas ki hazar raste hain ahal-e-dil ki
ye hi to hai farq mujh mein us mein guzar gaya main thahar gaya wo
wo jis ki shane pe hath rakh kar safar kiya tune mannzilon ka
teri gali se na jane q aj sar jhukaye guzar gaya wo
wo hijr ki raat ka sitara wo hamnafas hamsukhan hamara
sada rahe us ka naam pyara suna hai kal raat mar gaya wo
bas ek moti si chab dikhakar bas ek mithi si dhun suna kar
sitara-e-sham ban ki aaya barang-e-khayal-e-sahar gaya wo
na ab wo yadon ka chadhata dariya na fursaton ki udas barkha
yun hi zara si kasak hai dil mein jo zakhm gahara tha bhar gaya wo
wo raat ka benava musafir wo tera shayar wo tera ‘nasir'
teri gali tak to hum ne dekha phir na jane kidhar gaya wo
Poet of the poem or ghazal or Nazam:Nasir Kazmi

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Chand Sitare Shayari 21 - 30 of 115, Page 3 of 12 pages.