Chand Sitare Shayari

Chand Sitare Shayari - A large collection of Chand Sitare Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Chand Sitare Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Chand Sitare Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Chand Sitare Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Chand Sitare Shayari

Showing Chand Sitare Shayari 51 - 60 of 115, Page 6 of 12 pages.

Charag apne thakan ke koi safai na de
wo tiragi hai ke ab khwab tak dhikhai na de
bahut satate hain rishte jo tut jate hain
khuda kisi ko bhi taufiq-e-ashanai na de
main sari umr andheron mein kat sakata hun
mere diyon ko magar raushani parai na de
agar yahi teri duniya ka hal hai malik
to meri qaid bhali hai mujhe rihai na de
dua ye mangi hai sahame hue mu'arrik ne
ke ab qalam ho khuda surkh raushnai na de
Poet of the ghazal/poem or Nazam: Meraj Faizabadi

 0 People liked it
0 Ratings

Aisay He Nahi Roz Falak Daikhta Tuj Ko
Chehra Hai Tera Chand Sitaray Teri Aankhain

 0 People liked it
0 Ratings

Hawao Ke Bina Fizaon Me Surur Na Hota
Chandni Ko Bhi Chand Bina Gurur Na Hota
Aap Jaisa Humsafar Na Hota To Dil Bhi
Shayari Karne Ko Majboor Na Hota

 0 People liked it
0 Ratings

Ahsaaan Agar Karo Tou Kisi Ko Khabar Na Ho
Sooraj Ka Jesey Zikr Nahi Chandani K Saath

 0 People liked it
0 Ratings

Tum Khak Zameen Ke Hokar
Us Chand Ki Hasrat Kar Baithe
Wo Cheez Bohat Hi Oonchi Hai
Tum Jisse Mohabbat Kar Baithe

 0 People liked it
0 Ratings

Faqirana aaye sada kar chale
miyan khush raho hum dua kar chale
jo tujh bin na jine ko kahate the hum
so is ahd ko ab wafa kar chale
koi na-ummidana karte nigah
so tum hum se muh bhi chipa kar chale
bahot aarzoo thi gali ki teri
so yan se lahu mein naha kar chale
dikhai diye yun ki bekhud kiya
hamen aap se bhi juda kar chale
jabin sajada karte hi karte gai
haq-e-bandagi hum ada kar chale
parastish ki yan tain ki ayei but tujhe
nazar mein sabon ki khuda kar chale
gai umr dar band-e-fikr-e-gazal
so is fan ko aisas bada kar chale
kahen kya jo puche koi hum se “meer”
jahan mein tum aaye the, kya kar chale
Poet of the poem or ghazal or Nazam: Meer Taqi Meer

 0 People liked it
0 Ratings

Hum Sheher Mein Ik Shama Ki Khatir Hueye Barbaad
Logon Ne Kiya Chand K Sehraon Ko Aabaad..!!
Har Simt Falk Bos Paharon Ki Qatarein
Khasro Hai,Na Sheren Hai,Na Tesha Hai,Na Farhad
Barso Se Yahi Khuwab Hain Nendoo Ki Sajawat
Gulshan Hai,Magar Gul Hai Na Bulbul Hai,Na Siyad
Hoon Taier Be Baam, Chirag Sar Sehra
Umeed Karam Hai Na Mujhe Shikwa E Bedaad
Jis Ghar Ko Basaya Tha Meri Be Khabri Ne
Ajj Is Ko Tari Khud Nagri Kar Gayi Barbaad
Kuch Aisa Dhuwan Hai Ke Ghati Jati Hain Saansein
Is Raat Ke Baad Aaoo Gay Shayed Na Kabhi Yaad

 0 People liked it
0 Ratings

Ae Chand Apni Chandni Un Per Nichawar Krna
Unhain Apni Aagosh Mein Lena
Unhain Pyar Se Thapki Dena
Or Kehna
Unhain Koi Yad Krta Ha
Ae Barish Apne Nanhe Qatron Se
Un K Chehre Ko Bigho Dena Un K
Galon Ko Chom Lena Un K
Hathon Pe Bosa Dena Or Kehna
Unhain Koi Yad Krta Hai
Ae Pholo Apni Khusbo Se Un K
Angan Ko Mehka Dena Un K
Ghar Ko Moatar Rakhna Apni
Pattian Un Pe Bikhra Dena Unhain
Halka Sa Jagana Or Kehna
Unhain Koi Yad Krta Ha

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Chand Sitare Shayari 51 - 60 of 115, Page 6 of 12 pages.