Chand Sitare Shayari

Chand Sitare Shayari - A large collection of Chand Sitare Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Chand Sitare Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Chand Sitare Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Chand Sitare Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Chand Sitare Shayari

Showing Chand Sitare Shayari 61 - 70 of 115, Page 7 of 12 pages.

Tere hote hue mahafil mein jalate hain chirag
log kya sada hain suraj ko dikhate hain chirag
apni maharumiyon pe sharminda hain
khud nahi rakhte to auron ke bujhate hain chirag
bastiyan chand sitaron pe basane wale
kurra-e-arz bujhate jate hain chirag
kya khabar hai un ko ke daman bhi bhadak uthate hain
jo zamane ke hawaon se bachate hain chirag
aisi tarikiyan aankhon mein basi hain ‘faraz'
raat to raat hum din ko jalate hain chirag

 0 People liked it
0 Ratings

Kyu Hame Kisiki Talash Hoti Hai
Kyu Dil Ko Kisiki Aas Hoti Hai
Chand Ko Dekho Vo B Tanha Hai
Fir B Uski Chandni Se Roshan Raat Hoti Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Ay Chand Suno
Koch Baat Karo
Teri Baat Chalay
Meri Raat Katay
Baat Karo
Us Basti Ki
Badal Barish Aur Masti Ki
Ya Baat Karo
Us Bandhan Ki
Payal Chori Aur Kangan Ki
Hawa Main Urtay Anchal Ki
Jo Jab Lehrai
Mera Chain Churai
Meri Neend Urai
Ay Chand Suno
Koch Baat Karo
Teri Baat Chalay
Meri Raat Katay

 0 People liked it
0 Ratings

Raat Ko Raat Ka Tohfa Nahi Detay
Dil Ko Jazbat Ka Tohfa Nhi Detay
Denay Ko Tu Hum Tmhay Chand Bhi Dy Dain
Magar Chand Ko Chand Ka Tohfa Nhi Dete

 0 People liked it
0 Ratings

Ae Chand Tu Bhool Jayega Apne Aap Ko,
Jab Sunay Ga Dastaan Mere Pyaar Ki,
Kion Karta Hai Tu Ghuroor Apne Aap Pe Itna,
Tu To Sirf “PARCHAI” Hai Mere “YAAR” Ki…

 0 People liked it
0 Ratings

Sitara Hoon Magar Yoon Hai Chamakna Bhool Betha Hoon
Mein Khud Apne Taar’uf Ka Hawala Bhool Betha Hoon
Jisse Mad-e-Nazar Rakh Kar Chala Tha Janib-E-Manzil
Safar Ke Darmiyaan Mein Wo Sitara Bhool Betha Hoon
Taimoor Hassan

 0 People liked it
0 Ratings

Chand tanha hai aasman tanha
dil mila hai kahan kahan tanha
bujh gai aas chup gaya tara
thartharata raha dhuan tanha
zindagi kya isi ko kahate hain
jism tanha hai aur jan tanha
hamsafar koi gar mile bhi kaheen
donon chalate rahe tanha tanha
jalati bujhati si raushani ke pare
simata simata sa ek makan tanha
rah dekha karega sadiyon tak
chod jayenge ye jahan tanha
Author of the poem/ghazal or nazam : Meena Kumari ‘Naaz'

 0 People liked it
0 Ratings

Ab Jab K Tu Ne Har Ja,Bichani Hain Zilmatein
Dharti Bhi Noch,Chand Ka Hala Bhi Cheen Le

 1 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Chand Sitare Shayari 61 - 70 of 115, Page 7 of 12 pages.