Chand Sitare Shayari

Chand Sitare Shayari - A large collection of Chand Sitare Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Chand Sitare Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Chand Sitare Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Chand Sitare Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Chand Sitare Shayari

Showing Chand Sitare Shayari 81 - 90 of 115, Page 9 of 12 pages.

Aa chandani bhi meri tarah jag rahi hai
palakon pe sitaron ko liye rat khadi hai
ye bat ki surat ke bhale dil ke bure hon
allah kare jhuth ho bahuton se suni hai
vo mathe ka matala ho ki honthon ke do misare
bachapan ke gazal hi meri mahabub rahi hai
gazalon ne waheen zulfon ke phaila diye saye
jin rahon pe dekha hai bahut dhup kadi hai
hum dilli bhi ho aaye hain lahaur bhi ghume
ae yar magar teri gali teri gali hai

 0 People liked it
0 Ratings

Tum se berangi-e-hasti ka gila karana tha
dil pe anbar hai khungashta tamannaon ka
aj tute hue taron ka khayal aaya hai
ek mela hai pareshan si ummidon ka
chand pazmurda baharon ka khayal aaya hai
panv thak thak ke reh jate hain mayusi mein
purmahan rahguzaron ka khayal aaya hai
saqi-o-bada nahi jam-o-lab-e-ju bhi nahi
tum se kahana tha ki ab aankh mein aansu bhi nahi

 0 People liked it
0 Ratings

Mein Sitara Hoon Jal Kar Bhi Roshan Rahoo Gi
Khud Ko De Dilase Behlati Rahoo Gi

 0 People liked it
0 Ratings

Hum to hain parades men, des mein nikala hoga chand
apni raat ke chat par kitna tanaha hoga chand
jin aankhon mein kajal ban kar tairi kali raat ho
un aankhon mein aansu ka ek katara hoga chand
raat ne aisa pech lagaya, tuti hath se dor ho
aangan wale nim mein jakar ataka hoga chand
chand bina har din yun bita jaise yug biten ho
mere bina kis hal mein hoga, kaisa hoga chand

 0 People liked it
0 Ratings

Magar Ek Sitara Meharban
Kaii Chand Dund Mein Kho Gaye
Kaii Jag Jag Ke So Gaye
Magar Ek Sitara Meharban
Jo Gawah Tha

 0 People liked it
0 Ratings

Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe
Ik Chand Mujhay Nazar Aaya
Bas Ankhon Say Molaqat Hoe
Es Chand Ki Naram Nigahon Say
Es Dil Ki Har Ik Baat Hoe
Es Chand Ki Ghani Zulfon Main
Kab Sham Hoe Kab Raat Hoe
Bas Yeahe Ik Baat Hoe
Ik Naey Pyar Ki Shurwat Hoe
Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe

 0 People liked it
0 Ratings

Suna Hai Sitaron Ke Aage Bhi Jahan Hai,
Mujhe To Apne Hi Jahan Ki Khabar Nahin.
Insaan Insaan Ka Bairi Ho Chalaa Hai,
Kaleje Ko Chhue Aisi Koe Nazar Nahin.

 1 People liked it
0 Ratings

Hawa Batati Rahi Jake Ye Har Ek Ke Dar Per
Utha Liya Hai Sitaroo Ne Asmaa Sir Per
Wo Khuwab Tha Ke Haqeeqat Khabar Nahi Kya Tha
Mai Chor Aaye Ho Ankhein Ik Aise Manzar Per

 1 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Chand Sitare Shayari 81 - 90 of 115, Page 9 of 12 pages.