Dard Shayari

Dard Shayari - A large collection of Dard Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Dard Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Dard Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Dard Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Dard Shayari

Showing Dard Shayari 151 - 160 of 708, Page 16 of 71 pages.

Dard Dil Se Nikal Raha Hei KyunMere Jeevan Ki Hai,
Ek Abhilasha Poori Karna Chahu, Mai Sab Ki Aasha
Sabke Sapno Ko Ker Sakaar
Laau Unke Jeevan Main Khushiyao.N Ki Bahaar
Her Insaan Ko Sahii Raah Dikhau
Burayee Se Sab Ko Bachau
Banna Hai Mujhe Safal Insaan
Jismein Ho Jeevan Ka Sara Gyaan
Bade, Bujurk Ka Karu Sammaan
Kabhi Na Ho, Mere Jeevan Ka Apmaan
Gurujano Ko Samman, Choto.N Ko Pyaar
Yahii Ho Mere Jeevan Ka Saar
Atyachaar, Ghotala Ka Kare Anth
Kerke Her Insaan Ki Seva
Mite Sab Ke Mann Se, Swarth Nafrath Ki Bhavna
Yahii Ho Hum Sab Ke Jeevan Ki Abhilasha

 0 People liked it
0 Ratings


Ansuo ko bahut samjhaya tanhai me aaya karo,
Mehfil me hamara mazak na udaya karo,
iss par ansu tadap kar bole,
itne logo me aapko tanha pate hai,
is liye chale aate hai..

 0 People liked it
0 Ratings

Dil ki baat juwa pe na aye to, jindagi tanha rahe jati hai..
Tanhai me dil pe khwaboan ki dastak sunai de jati hai.
Par in khawaboan ko jine ka hosla kaha se laye hum
Humari har koshish hume berukhi de jati hai.

 0 People liked it
0 Ratings


dil aaj bahoot udas hai
fir guftugo kar ne ki tanamnna hai
yu to shahar me logo ki kami nahi hai
“GEMANI” ku dosto ki kami hai
yu to roz mahafil sajti hai
har shakz muskurata hai
logon ke daman mein Har khushi hai,
Par ek hansi ke liye waqt nahi hai
Din raat daudti duniya mein,
zindagi ke liye waqt nahi hai.
unki paar ka ehsaas to hai,
par pyar ko pyar kehne ka waqt nahi.hai
Sare rishton ko to hum maar chuke,
ab unhe dafnane ka bhi waqt nahi. hai
Sare naam zahen mein hain,
par dosti ke liye waqt nahi hai

 0 People liked it
0 Ratings


Aaghaaz-e-Safar Har Koii Jaane Anjaam-e-Safar Kis ko Pata
Manzil Se Muhabbat Sab ko hai Raasto ki Rukavat kis ko pata
Sab hai gultaa’n Apni Apni masti me Keh Raha hai Shayar
Aaj Hai jo Mehfile yahaan Kal ho naa ho kis ko Pata
Har Koii khele khel Taqdeer ka Kehl-e-Laqeer kis ko pata
abhi hai baaki raat kahin kal ho na ho savera kis ko pata..

 0 People liked it
0 Ratings


Wo apni sari nafrate mughpe lutati rahi,
mera dil sada jise pyar sikhata raha,
unki chahat ka ye tarika to dekho,
mughse kiya hua wada wo kisi our se nibhati rahi.

 0 People liked it
0 Ratings

Karishma Saxena

Bas Itni Si Inayat Mujh Par Ek Bar Kijiye
Kabhi Aakar Mere Jakhmo Ka Deedar Kijiye

Ho Jaiye Aap Begane Shauk Se Sanam
Aapke Hain Aapke Hi Rahenge

Pyar Karne Wale Hi Darr Jaye
Dekh Kar Is Kitab-E-Dil Ko Itna Na Daagdar Kijiye

Na Majboor Kijiye Ki Main Aapko Bhool Jaun
Mujhe Meri Wafao Ka Gunahgar Na Kijiye

In Jalte Diyo Ko Dekh Kar Na Muskuraiye
Zara Hawao Ke Chalne Ka Intezaar Kijiye

Karna Hai Ishq Aapse Karte Rahenge Hum
Jo Bhi Karna Hai Aapko Mere Sarkar Kijiye

Fir Sapno Ka Aashiyan Bana Liya Hai Maine
Aap Fir Aandhiyo Ko Khabardar Kijiye

 0 People liked it
0 Ratings


Teri kitaab-e-hayat meiN, meri aukat ik safaa hai,
Rangin fasaanon mein dabii kahin meri wafa hai.
(Kitaab-e-hayat=Book of life, Safa=Page)
Shikayat us likhne wale se hai, tujhse koi gila nahi,
Jo shayad is kahani mein mere kirdar se khafa hai.
Kitaab-e-muqaddas hai mera pyaar, par haar mili,
Isme koi fasl hi nahi jiska nam nuksan ya nafa hai.
(Kitaab-e-muqaddas=Bible, Fasl=Chapter)
Unke diid par daffatan nikal gaya “ya mere khuda”
Wo ise agar mante hain meri jafa to meri jafa hai.
(Diid=Sight, Daffatan=Suddenly)
Taariikh jaanta hai talwaar ki aziyaten kalam par,
Haari hai shamshiir, kalam ki fateh har dafaa hai..

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Dard Shayari 151 - 160 of 708, Page 16 of 71 pages.