Dard Shayari

Dard Shayari - A large collection of Dard Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Dard Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Dard Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Dard Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Dard Shayari

Showing Dard Shayari 11 - 20 of 708, Page 2 of 71 pages.


Bikhri hui zulfoon ko apni pehchan bana lo,
rakhna hai mujhe qaid to zanjeer bana lo,
kaagaz pe lakeerain to boht kheench li tumne,
ab sab ko mila kar meri tasveer bana lo..

 3 People liked it
3 Ratings

Yeh duniya waale barre ajeeb hain
kabhi durr toa kabhi kareeb hain
dard na batao toa hame kayar kehte hain
aur dard batao toa hame shayar kehte hain

 0 People liked it
0 Ratings


Mehkhane Me Jaam Tut Jata Hai,
Ishq Me Dil Tut Jata Hai.
Na Jane Kya Rishta Hai In Dono Me,
Jaam Tute To Ishq Yaad Aata Hai,
Dil Tute To Jaam Yaad Aata Hai..

 1 People liked it
0 Ratings

Arzoo Ye Nahi Ke Gum Ka Tofan Tal Jaye
Fikar To Ye Hai Ke Tumhara Dil Na Badal Jaye
Kabhi Bhi Mujh Ko Agar Bulana Chaho Tum
Dard Itna Dena Ke Mera Dum Nikal Jaye

 3 People liked it
1 Ratings


Main kisi aur ka hoon itna bata kar roya
Wo mujhe mehndi lagay hath dikha kar roya
Mujhe anjaam-e- mohabbat nahi mäloom hargiz
Ye kaha aur mujhe seenay se laga kar roya
Jo mujhe zabt ki talqeen kiya karta tha
Wo zamänay ko mera haal suna kar roya
Aansu ban kar nikal na jaun kahin, is Dar se
Apne ashkoon ko wo aankhoon mein chhupa kar roya
Wasl ka aakhri lamha jo muyassar tha hameen
Usi lamhay mein wo sadiyoon ko sama kar roya..

 0 People liked it
0 Ratings


Jaane Ye Kaun Sa Mausam Hai!
Jaane ye kaun sa mausam hai
Na sardiyon ki dhoop hai
Na din yahan par kam hai
Na thand ka koi bhi roop hai
Na mitti ki khushbu hai
Na bheege yauvan mein hulchul
Na baadalon mein guftagu hai
Na chai pakodi ka hi koi pal
Dhoop bhi chilchilaati nahi
Na chaandni ka koi aalam
Na jharnon ki aarzoo kahin
Na ye chhuttiyon ka mausam
Sarson bhi nahi dikhte hain
Patang asma me ab tak na naacha hai
Naye patte bhi kahin na ugte hain
Na muskaraata koi bhi raasta hai
Jaane ye kaun sa mausam hai
Tum paas hokar bhi itne door ho
Har baat shuru hone se pehle khatm hai
Kaam ho na ho, masroof ho.

 0 People liked it
0 Ratings


DilKi Kitab Kuch Is Trah Banayi Hai,
Har Panno Par Aapki Yad Samayi Hai,
Kahi Fat Na Jaye 1 B PanNE Isliye Her Pan Per Dosti Ki Lemination Krayi Hai..

 1 People liked it
0 Ratings


Paimaane Taras gaye ki yeh tere lab ki kashish hai
jalwagar tu mehfil me, yaa mere asaa’r ki Tapish hai
Har ek Wajah me bewajah tu mujhe talaashta hai
yeh koii shoukh hai yaa mujhe paane ki talab hai
ab to rang laane lagi hai meri bhi kai ummideein
tere harf-e-duaa se yaa mere ishq kaa kamaal hai..

 1 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Dard Shayari 11 - 20 of 708, Page 2 of 71 pages.