Dard Shayari

Dard Shayari - A large collection of Dard Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Dard Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Dard Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Dard Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Dard Shayari

Showing Dard Shayari 341 - 350 of 708, Page 35 of 71 pages.


Hum tu tere dil ki mehfil sajany aay the
Tere kasam tujhy apna banany aay the
Kis baat ki saza di tony hum ko bewafa
Hum tu tere dard ko apna banany aay the.
`
Tum kis se wafa ki umeed kar rahay thy
Ye to woh shaks hy
Jo apni ghalti ki wajha bhi
Tumhen kehta hy.
`
Toot jata hai bikhar jata hai,
Kaanch k ghar me muqaddar apne,
Ajnabi tou sada pyar se milty hain,
Bhool tou jaty hain aksar apne..
`
Wada hum nai kya tha nibhaney k liye
Ek dil dia tha ek dil pane k liye
Unho ne mohabbat sikha di or kaha.
Hum nai tou mohabbat ki thi tumhe azmaney k liye!
`
Tere khuwabon ki dunia or main tanha!
Raat, samandar, chand, hawa or main tanha!
Koi to kash mera bhi gham saaz baney!
Mujh se sare log khafa or main tanha.
`
Datey hain kyun ye Dard bas hami ko,
Kya Samjhen ge wo in Aankho ki nami ko,
Lakhon Deewane hon jis Chand k,
Wo kya Mehsus karen ge Ek Mri Kami ko..

 0 People liked it
0 Ratings


Kal uski Yad puri Rat ati rahi,
Hum jage puri Dunia soti rahi,
Aasman me bijli puri Rat hoti rahi,
Bas ek BARISH thi jo Mere sath roti rahi..

 0 People liked it
0 Ratings

Apni zindagi ke har lamhe ko tera mohtaj kar liya hai
azadi nahi milte meri rooh ko
jab tak tere har ang ke tadap mere ander baqi hai
tere tasveer ko dosron ke nazar se dekho ye meri majal nahi
dua mangta hu mera pyar tere liye meri sooch se zyada wasee ho
har noor ka shukar guzar ho jisne tujhe roshan kiya mere liya ,
wajood main lane ke liye us noor se naraz raha
jis ne tere wajood ko zahir kiya mere liye magar dusron ke noor se anjan rakha.

 0 People liked it
0 Ratings


Is Dil Ki Daastan Bhi Badi Ajeeb Hoti Hai,
Badi Muskil Se Ise Khushi Naseeb Hoti Hai.
Kisi Ke Paas Aane Par Khushi Ho Na Ho,
Par Door Jane Par Badi Takleef Hoti Hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Teri Bad-Dua Bhi Dua Lagti Hai
Agar De Tu Zehar To Dawa Lagti Hai
Tune Sitam Dhaye, Gila Kuch Nahi
Ye Bhi Mohabbat Ki Ek Ada Lagti Hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Us bewafa ne mujhe pyar karke bhi chhod diya,
mujhe akela kar tanhaiyon se naata mera jod diya,
jab aai mout apni to usse raha na gaya,
aaya vo laas par meri or mujhe bina jalaye hi chhod diya
Dard ko jaaan sake aisa koi insaan nahi mila hume is dunia se,
jo humne pura na kia ho aisa koi armaan nahi mila hume is dunia se,
saath de sakte the unki khusi ka unki mahfil me hum,
unki mahfil ka bhi waqt tha tab jab hume jaana tha is dunia se..

 0 People liked it
0 Ratings


Tujhe Yaad Karte Hain.
Tujhe Yaad Karte Hain Har Sans K Bad
Kabhi Subh Se Pehle Kabi Sham K Bad
Kabhi Milo To Kuch Karen Batein
Ek Jam Se Pehle Ek Jam Ke Bad
Dil Ki Dewaron Pe Tera Nam Likte Hain
Kabhi Fursat Mein Kabhi Kaam Ke Bad
Mere Marne K Bad B Log Tujhe Pukarenge
Kabhi Mere NAAM Se Pehle Kabhi Mere NAAM K Bad.

 0 People liked it
0 Ratings

Go zara si baat par barason ke yarane gaye
lekin itna to hua kuch log pahachane gaye
garmi-e-mahafil faqat ik nara-e-mastana hai
aur wo khush hain ki is lahafil se divane gaye
main ise shoharat kahun ya apni ruswai kahun
mujhase pahale us gali mein mere afasane gaye
yun to wo meri rag-e-jan se bhi the nazadik tar
aansuon ke dhundh mein lekin na pahachane gaye
vahashaten kuch is tarah apana muqadar ho gain
hum jahan pahunche hamare sath virane gaye
ab bhi un yadon ke khushbu zehan mein mahafus hai
barha hum jin se gulazaron ko mahakane gaye
kya qayamat hai ki ‘khatir' kushta-e-shab bhi the hum
subh jab hui to mujarim hum hi gardane gaye
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Khatir Ghaznavi

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Dard Shayari 341 - 350 of 708, Page 35 of 71 pages.