Dard Shayari

Dard Shayari - A large collection of Dard Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Dard Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Dard Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Dard Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Dard Shayari

Showing Dard Shayari 481 - 490 of 708, Page 49 of 71 pages.

Darguzar Uski Har Khata Kar Di Humne
Uske Haq Mein Aaj Phir Dua Kar Di Humne
Ek Lamha Bhi Nahi Laga Khone Mein
Jisko Pane Mein Sari Zindagi Gujar Di Humne

 0 People liked it
0 Ratings


Apni to mohabbat ki itni kahani hai,
Tooti hui kashti or tehhra hua pani hai,
Ek phool kitabon may dam tor chuka hai,
Magar kuch yaad nahi aata yeh kis ki nishani hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Yeh Wafa Ka Silsila Hai To, Koi Baat Nahi
Yeh Dard Tune Diya Hai To, Koi Baat Nahi
Yeh Bahut Hai Ke Tu Dekh Rhi Hai Kinaare Se
Main Doob Rha Hoon To, Koi Baat Nahi.

 0 People liked it
0 Ratings

Yeh dard mit gaya tu phir?
Yeh zakhm sil gaya to phir?
Bichar kar sochta hon mein
Woh phir say mil gaya tu phir?
Mein titlion k shehar mein
Rahon tu mujh ko fikar hai
Woh phool jo khila nahin
Woh phool khil gaya tu phir?
Tujhay bhi kuch nahi mila
Mujhay bhi kuch nahi mila
Tamam umar k liye
Yeh dard mil gaya tu phir

 0 People liked it
0 Ratings


Tumne Mera Dard Agar Samjha Hota,
Toh Yoon Jamaane Ne Mujhe Na Mitaya Hota,
Rusvayi Toh Ishq Ki Saugat Hoti Hai,
Kaash Tumne Ise Palkon Par Uthaya Hota,
Toh Na Ajab Asool Kabhi Ulfat Ka Hota.

 0 People liked it
0 Ratings


Hum chahkar bhi tumhe pa na sake
Par tumne na chahkar bhi hume pa liya
Hum na chahkar bhi tumhe bhulane ki koshish kar rahe hai
Par tum chahkar bhi hume bhula na sake
Hum chahkar bhi tumhe khushiya na de sake
Par tum na chahkar bhi hume khushiya de gaye
Hum chahkar bhi pyaar nibha na sake
Par tum na chahkar bhi pyaar nibha gaye.
Woh roye to muh mod ke roye,
Koi mazburi hogi jo dil tod ke roye,
Mere samne tukde kar diye meri tasveer ke,
Baad mein pata chala ke unhe jod ke roye.
Unhone dekha aur aansu ghir pade,
bhari barsaat me jaise phul bhikar pade,
dukh vo nahi ki unhone hume alvida kaha,
dukh tho ye hai ki uske baad vo khud ro pade…
Dard to Zindagi ki sabse badi sachchai hai,
Zindagi kab bhala Dard se bach payi hai,
MaiNe socha tha dard door hai mujhe se bahut,
Har pal mili mujhe dard se ruswai hai,
Halat-e-dil kaise bataon main tumhe,
Pyar mein tere chot bahut ghadi khayi hai,
Dil ne socha tha kare gaye Mohabbat ki baatain,
Kyun pyar mein ki tune bewafai hai.
Zamane bhar ki baaton mein hamein na bhula dena,
Jab kabhi yaad aaye to zara sa muskura dena,
Zinda rahe to milenge bar-bar sanam,
Nahi to har Diwali mere naam ka diya jala dena.
Rulane se pahale ek bar hansaya to hota,
Kasoor kya hai is dil ka bataya to hota,
Mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne,
Kash yeh dil kabhi kahin lagaya na hota .

 0 People liked it
0 Ratings

Unse Keh Do Mat Jayein Wo Door Itna
Ki Waqt Ke Faislo Par Afsos Ho Jaye
Kal Na Jane Kaise Mulakat Ho Unki Aur Hamari
Fir Wo Roye Lipatkar Humse, Aur Hum Khamosh Ho Jayein.

 0 People liked it
0 Ratings

Dukh Dard Ke Maaro Se Mera Zikar Na Karna,
Ghar Jao To Yaaron Se Mera Zikar Na Karna,
Woh Zabt Na Kar Payenge Aankhon Ke Samundar,
Tum Raah Guzaron Se Mera Zikar Na Karna,
Phoolon Ke Nasheman Mein Raha Hoon Mein Sada Se,
Dekho Kabhi Khaaron Se Mera Zikar Na Karna,
Shayad Ye Andhere Hi Mujhe Raah Dikhaye,
Ab Chaand Sitaron Se Mera Zikar Na Karna,
Woh Meri Kahani Ko Galat Rang Na De De,
Afsaana Nigaaron Se Mera Zikar Na Karna,
Shayad Woh Mere Haal Pe Besakhta Rode,
Is Baar Baharon Se Mera Zikar Na Karna,
Le Jayenge Gehrayi Mein Tumko Bhi Baha Kar,
Dariya Ke Kinaron Se Mera Zikar Na Karna,
Woh Shakhs Mile To Use Har Baat Batana,
Tum Sirf Isharon Se Mera Zikar Na Karna..!!!

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Dard Shayari 481 - 490 of 708, Page 49 of 71 pages.