Dard Shayari

Dard Shayari - A large collection of Dard Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Dard Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Dard Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Dard Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Dard Shayari

Showing Dard Shayari 531 - 540 of 708, Page 54 of 71 pages.

Ek Aur Zakham Khaa Kar Dekhenge
Usko Dard Apna Suna Kar Dekhenge
Uski Hasrat Hai Agar Dil Todne Ki
Dil Apna Hum Sheeshe Ka Banakar Dekhenge.

 0 People liked it
0 Ratings


Dard ko Bhi Dard Hone Laga
Dard Khud Hi Mere Ghaao Dhone Laga
Dard Ke Liye Main Na Roya
Lekin Dard Mujhe Chhu kar Khud Rone Laga..

 0 People liked it
0 Ratings

Ashq Unki Aankho Ke Kareeb Hote Hain
Rishte Dard Ke Jin Ko Naseeb Hote Hain
Dosto,
Daulat Dil Ki Jisne Lutai Ho
Kaun Kehta Hai Wo Gareeb Hote Hain.

 0 People liked it
0 Ratings


Dosti Ke Nam Pe Diwane Chale Aate Hai.
Shama Ke Piche Parwane Chale Aate Hai.
Tumhe Yad Na Aayee Khair. Aana Meri Maut Par.
Us Din To Begane Bhi Chale Aate Hai.
`
Lamha lamha intzar kiya us lamhe ke liye
or woh lamha aya bhi to bus ek lamhe ke liye,
guzarish yehi hai khuda se ke kash woh
lamha fir aye 1 lamhe ke liye .
`
Mombati ke andar ka dhaga bola,
mai jalta hu to tu kyu pigalti hai?
Mombati boli, jisko dil me jagah di ho wo
bichade to ansoon to niklte hai.
`
Soch lene se pahley mein kar arz deta huin
shayari me yaaron dil ke raaz khol deta huin
kuch apni kuch unki kahaani bahut hain
mila mila kar kissey mein duniya ko bol deta hun..!!!
`
Tere bichadne ka dukh hum sah nahi sakte,
bhari mahfil me kuch kah nahi sakte,
hamare girte ansu pakad ke dekh,
wo bhi kahenge hum tere bina reh nahi sakte.

 0 People liked it
0 Ratings

Har Taraf Khamoshi Ka Saya Hai
Jise Dekho Wo He Paraya Hai
Gir Pada Hu Mahobbat Ki Bhukh Se,
Aur Log Kahete Hai Pee Kar Aaya Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Kehteh Ho Ke Bahut Dur Chale Jaoge,
Phir Na Kabhi Humko Yaad Aaoge,
Kar Ke Dekhlo Her Mumkin Koshish,
Rooh Ko Jism Se Dur Na Kar Paoge,
Maana Aaj Saath Dena Hai Muskil,
Magar Mera Saaya Toh Saath Paoge,
Manzil Tum Bana Rahe Ho Kuch Alag Humse,
Dekhna Hai Kitne Dur Akele Chal Paoge,
Jab Bhi Honge Tanha Tum,
Dil Ko Hamare Liye Bekarar Paoge,
Kuch Lamho Ke Liye Shayad Ro Bhi Lo,
Per Sukoon Phir Bhi Na Paoga,
Her Zakhm Tumhara Hum Jhelenge,
Per Chain Tum Bhi Na Paoge,
Roye Hain Hum Kai Raaton Me,
So Toh Tum Bhi Nahi Paoge,
Todkar Dil Mera Tum Chal Toh Diye,
Per Manzil Tum Na Paoge,
Her Insaan Mere Janaaze Per Tumse Poochega,
Magar Na Kuch Tum Keh Paoge,
Magar Na Kuch Tum Keh Paoge.

 0 People liked it
0 Ratings

Yun Haath Ki Khamosh Lakeeron Main Aa Gaya
Lafzon Ki Rahguzar Se Woh Dil Main Sama Gaya
Jo Nukta Sochta Raha Main Tamam Omar
Lamhon Main Sara Falsafa Mujh Ko Bata Gaya
Yun Chahatein Samait Lein Daaman-E-Yaar Ne
Bakhshi Qabooliat Dil-E-Be-Ikhteyaar Ne
Sunli Duaein Bhi Meri Parwardeegar Ne
Woh Bandagi Ka Mujh Ko Saleeka Sikha Gaya
Us Ka Khayal Subha Hai Us Ka Khayal Shaam
Jaise Pila Gaya Woh Mujhe Chahaton Ka Jaam
Matla Bhi Us Ke Naam Hai Maqta Bhi Us Ke Naam
Deewaan-E-Shayri Mera Kuch Yun Saja Gaya
Yun Haath Ki Lakeer Hina Ban Ke Chah Gayi
Tasweer Us Ki Meri Haathaili Main Aa Gayi
Khushbu Qaba Se Sari Fiza Main Sama Gayi
Chashm-E-Ghazal Main Meri Kajal Laga Gaya
Kar Ke Mere Wajood Ko Makhmoor Le Gaya
Anjaan Raston Pe Mujhe Door Le Gaya
Madhoshiyon Main Ais Tarah Mashoor Le Gaya
Taza Ghamon Ki Raah Woh Mujh Ko Dikha Gaya
Woh Aik Asgher Sare Jahan Se Zara Juda
Omeed Meri Aas Meri Hausla Mera
Aiwan-E-Dil Main Aatish-E-Chahat Laga Gaya
Din Ka Sakoon Raat Ki Neendein Chura Gaya
Toofaan Jaise Shehar Main Aa Kar Guzar Gaya
Chu Kar Mere Badan Ko Sehar Mujh Pe Kar Gaya
Jis Ko Tapak Tapak Ke Sulaya Tha Aik Omar
Aikasgher Hi Chahaton Ke Woh Aarmaan Jaga Gaya
Har Shaamai Intezaar Sulagti Rahi Bahut
Roti Kabhi Rahi Kabhi Hansti Rahi Bahut
Khushbu-E- Gul Chaman Main Batakti Rahi Bahut
Deewangi Ki Aik Nayi Duniya Dikha Gaya
Be-Aasra Bhi Ho Ke Bahlna Qabool Hai
Shamma Ki Tarah Mujh Ko Pighalna Qabool Hai
Purkhar Raaston Pe Bhi Chalna Qabool Hai
Kaanton Ki Rahguzar Se Ulajhna Sikha Gaya
Yun Falsafa Hayat Ka Mujh Ko Bata Gaya
Yun Haath Ki Khamosh Lakeeron Main Aa Gaya

 0 People liked it
0 Ratings

Beemaar Ho Bemaar Gham Ke Dawa Koi Lata Bhi Nahi
Kab Tak Raho Aas Per Khuda Hum Ko Jald Bulata Bhe Nahi

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Dard Shayari 531 - 540 of 708, Page 54 of 71 pages.