Dard Shayari

Dard Shayari - A large collection of Dard Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Dard Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Dard Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Dard Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Dard Shayari

Showing Dard Shayari 551 - 560 of 708, Page 56 of 71 pages.


Aaj Dil Kii Har Baat Kahii To Tera Zikr Aaya,
Guzri Mohobat Kaa Har Lamha Yaad Aaya…
Hui Mud_dat Aaj Tak Mujhme Kuchh Nahii Badla,
Mere Khayaal Mein Teri Adaaon Par Naya Rang Aaya…
Teri Yaadon Kii Aahat Ko Batorne Mein Hoon Juta,
Bas Tera Karam Hai Yeh Jo Khud Ko Naa Samjha Paaya…
Saakib Zindagi Mein Ab Aur Kaya Raha,
Ik Khayaal Tak Naa Usko Tera Aaya…
Jee Raha Hoon Bas Issi Soch Mein Doobh Kar,
Vaada Kiya Tha Usne, Phir Kyu Nahii Aaya…
Aaj Dil Kii Har Baat Kahi To Tera Zikr Aaya,
Guzri Mohobat Ka Har Lamha Yaad Aaya..

 0 People liked it
0 Ratings


Woh Poochta hi raha har falsafe ke mayne
Zindagiii bahut samajhdar hai,
Sab kuch loot liye us katil nigah ne,
Aastin uski abhi bhi be daag hai..

 0 People liked it
0 Ratings


Wo pyar ka sabot dikhaya karte the…
Ansu baha ke hume manaya karte the…
Is zindagi main sirf aap se wasta hai…
Wo aksar hame batlaya karte the…
Sone ki fursat kise the….
Wo hume saari raat jagaya karte the…
Bechaini jab had se zyada badh jati the…
Tab wo jee bhar ke gale lagaya karte the…
Wo mohabbat karne wale badal gaye….
Jo har baat par “meri kasam” khaya karte theâ€

 0 People liked it
0 Ratings

Kya ye bhi zindagi hai ki rahat kabhi na ho
aisi bhi to kisi se mohabbat kabhi na ho
wada zarur karte hain aate nahi kabhi
phir ye bhi chahate hain shikayat kabhi na ho
sham-e-visal bhi ye tagaful ye berukhi
teri raza hai mujhko masarrat kabhi na ho
ahabab ne diye hain mujhe kis tarah fareb
mujhasa bhi koi sada tabiyat kabhi na ho
lab to ye kah rahe hain ke uth, badh ke choom le
aankhon ka ye ishara ke jurr'at kabhi na ho
dil chahata hai phir wohi fursat ke raat din
mujhko to tere khayal se fursat kabhi na ho

 0 People liked it
0 Ratings

Kheton mein kam karati hui ladakiyan
jeth ke champai dhup ne
jin ka sona badan
surmai kar diya
jin ko raton mein os aur pale ka bistar mile
din ko suraj saron par jale
ye hare laun mein
sang-e-marmar ke benchon pe baithi hui
un hansi muraton se kaheen khubasurat
kaheen mukhtalif
jin ke jude mein juhi ke kaliyan sajin
jo gulab aur bele ke khushbu liye
aur rangon ke hiddat se pagal phiren
khet mein dhup chunati hui ladakiyan bhi
nai umr ke sabz dahaliz par hain magar
aaaina tak nahi dekhatin
y gulab aur dezi ke hiddat se naashna
khushbuon ke jan lams se bekhabar
phul chunati hain lekin pahanati nahi
in ke malabus mein
tez sarson ke phoolon ke bas
un ke aankhon mein roshan kapas
Poet of the ghazal or Nazam:Ishrat Afreen

 0 People liked it
0 Ratings

Jaanu Main Uski Har Ek Baat
Aaj Bhi Yaad Aati Hai Wo Pehli Mulaqat
Gujre Wo Lamhe Wo Din Aur Raat
Yahi To Hai Waqt Ki Mujh Ko Saugaat

 0 People liked it
0 Ratings


wo chhup kar bethe the,
jab hume unki chah thi,
hume bhi usi waqt aani thi maut,
jis waqt unhe humari talash thi,.

 0 People liked it
0 Ratings

Pathar Bana Dia Mujahy Rone Nahi Dia
Damaan Bhi Tere Gham Ne Bighone Nahi Dia
Tanhaiyan Tumhara Pata Poochti Rahain
Shaab Bhar Tumhari yaad Ne Sone Nahi Dia
Ankhon Mein Akar Beth Gai Annsoon Ki Lehar
Palkon PeKoi Khoawab Perone Nahi Dia
Dil Ko Tumhare Naam Ke Ansoo Aziz Thay
Duniya Ka Dard Dil Mein Samone Nahi Diya
Yoon Uski Yaad Chali Haath Thaam Ke
Mele Mein Is Jahan Ke Khone Nahi Diya

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Dard Shayari 551 - 560 of 708, Page 56 of 71 pages.