Dard Shayari

Dard Shayari - A large collection of Dard Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Dard Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Dard Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Dard Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Dard Shayari

Showing Dard Shayari 581 - 590 of 708, Page 59 of 71 pages.


Tujh pe bhi aetbaar hai,
Maut pe bhi aetbaar hai,
Kaun pehle aata hai yeh dekhna hai,
Mujhe dono ka intezaar hai!.

 0 People liked it
0 Ratings

Ashkoan Ki Barsaat De Gayee
Wo Jaate Jaate,
Aahon Ki Saughat De Gayee,
Wo Jaate Jaate,
Dil Ne Chaha Tha Bhar Lenge Use, Baahon Me,
Aarzuon Ki Bouchhar De Gayee,
Wo Jaate Jaate,
Badhaya Jo Khadam Maine Use, Chhune Ke Liye,
Raahon Me Kaantein Bikher Gayee
Wo Jaate Jaate,
Lada Tha Main Duniya Se Jiski Khatir,
Hami Par War Kar Gayee, Vo Jaate Jaate.

 0 People liked it
0 Ratings

Duniya main har kisiko mukkamal zahan nahin milta
Wafa karke bhi is dil ko kahin panah nahin milta
Saanse ab bhi baki hai is jism mein , is ummeed se
Ke koi apna nahin to begana hi milta !

 0 People liked it
0 Ratings

Kabhi Kisi Ko Muqammal Jahan Nahi Milta
Kahi Zameen To Kahi Aasman Nahi Milta

Bujha Saka Hai Bhala Kaun Waqt Ke Shole
Ye Aisi Aag Hai Jisme Dhuan Nahi Milta

Tamaam Shehar Mein Aisa Nahi Khuloos Na Ho
Jahan Umeed Ho Iski Wahan Nahi Milta

Kahan Chirag Jalayein Kahan Gulab Rakhein
Chhatein To Milti Hain Lekin Makaan Nahi Milta

Ye Kya Azaab Hai Sab Apne Aap Mein Gum Hain
Zuban Milti Hai Magar Humzuban Nahi Milta

Chirag Jalte Hi Beenaai Bujhne Lagti Hai
Khud Apne Ghar Mein Hi Ghar Ka Nishan Nahi Milta

 0 People liked it
0 Ratings

Bana Gulab Tu Kaantay Chubha Gaya Aik Shakhs
Howa Charagh Tu Gher Hi Jala Gaya Aik Shakhs
Tamaam Rang Meray Aur Saaray Khwab Meray
Fasana Thay Ya Fasana Bana Gaya Aik Shakhs
Main Kis Hawa Main Uron Kis Faza Main Lehra'on
Dukhon K Jaal Her So Bicha Gaya Aik Shakhs
Palat Sekon Na Hi Aagay Berh Sekon Jis Per
Mujhay Yeh Konsay Raastay Per Laga Gaya Aik Shakhs
Muhabbatain Bhi Ajab Uski Nafratain Bhi Kamaal
Meri Hi Tarah Ka Mujh Main Sama Gaya Aik Shakhs
Muhabbatoon Ne Kisi Ki Bhula Rakha Tha Usay
Milay Woh Zakhm K Phir Yaad Aa Gaya Aik Shakhs
Woh Maahtaab Tha Marham Badast Aaya Tha
Mager Kuch Aur Siwa Dil Dukha Gaya Aik Shakhs
Khula Yeh Raaz K Aayeena Khana Hai Dunya
Aur Is Main Mujh Ko Tamashaa Bana Gaya Aik Shakhs

 0 People liked it
0 Ratings

Bahut Hansa Tha Main,
Jinko Bhi Hansaane Ki Liye.
Wahi Chod Gaye Hain Mujhe Aaj,
Tanhai Main Aansoo Bahaane Ke Liye.
Woh Hanste Hain Haamare Saamne,
Shayad Hamein Tadpaane Ke Liye.
Par Hum To Kambakht Ro Bhi Nahi Sakte,
Zamaane Ko Gum Dikhane Ke Liye.
Khushiyan Sab Woh Le Gaye,
Aashk Hain Bas Aab Mere Liye.
Par Yeh Aashk Bhi Aab Nahi Dete Hain Saath,
In Aankhon Se Aashk Bahaane Ke Liye.
Bade Sambhal Kar Rakhe The Kadam Humne,
Unke Saaye Ko Bhi Bachaane Ke Liye.
Par Aaj Apna Hi Saaya Saath Chod Gaya,
Humein Tanhai Ka Ehsaas Dilaane Ke Liye.
Ruke The Hum Har Moad Par,
Unke Intezaar Ke Liye.
Aaj Chod Gaye Hain Woh Ek Naye Moad Par,
Zindagi Bhar Intezaar Karwaane Ke Liye
Bahut Khushiyan Hain Aas-Pass,
Mujhe Khush Karne Ke Liye.
Phir Bhi Koi Wajah Doondhta Hoon,
Shaayad Main Muskuraane Ke Liye.
Kuch Yaadein Hongi Unke Pass Bhi,
Humein Yaad Karne Ke Liye.
Par Woh Kabhi Humein Na Yaad Kar Payenge,
Doondhenge Kisi Bahane Ke Liye.
Kabhi To Woh Bhi Sochenge,
Humaare Pass Waapis Aane Ke Liye.
Lekin Tub Hum Honge Hi Nahi,
Unko Pachtaane Ka Mauka Dene Ke Liye.
Zinda Laash Hai Aab To Yeh Zism,
Aapna Hi Bhoja Dhone Ke Liye.
Thodi Si Zamin Talaashta Hoon,
Khud Ko Dafnaane Ke Liye.

 0 People liked it
0 Ratings

Dilwaalon Ka Dard Yun Hi Bayaan Hota Hai
Likh Do Kaagaz Pe Toh , Kam Mehsoos Hota Hai
Ye Asar Un Bewafa Ki Bewafaaiiyo Ka Hai
Ke Har Lafz Aaj Dard Mein Dooba Hota Hai

 0 People liked it
0 Ratings


Log milte hai aur phir ek dusre ke kareeb aate hai.
Aur kareeb aakar aksar juda ho jate?
Agar juda hona hi hai toh log milte kyu hai?

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Dard Shayari 581 - 590 of 708, Page 59 of 71 pages.