Dard Shayari

Dard Shayari - A large collection of Dard Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Dard Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Dard Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Dard Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Dard Shayari

Showing Dard Shayari 611 - 620 of 708, Page 62 of 71 pages.

Gardish Mein Duba Ek Tara Hai
Hume To Kisi Ki Aarzoo Ne Mara Hai
Hum Unhe Ab Bhi Apna Kehte Hain Yaaro
Jinhone Hume Maut Se Bhi Pehle Mara Hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Neend Aankhon Main Nahin, Khwaab Kho Gaye
Tanha Hi The, Kuch Aur Tere Bin Hum Ho Gaye
Dil Kuch Tadap Utha, Zuban Bhi Ladkhadai
Teri Yaad Main Do Aansu Chupke Se Beh Gaye !

 0 People liked it
0 Ratings

Dard Se Mera Daaman Bharday Yah ALLAH
Dard Se Mera Daaman Bharday Yah ALLAH
Phir Chahey Deewana Karday Yah ALLAH
Dard Se Mera Daaman Bharday Yah ALLAH
Mainay Tujse Chand Seetaray Kab Maangay
Mainay Tujse Chand Seetaray Kab Maangay
Roshan Dil Baydaagh Nazar Day Yah ALLAH
Phir Chahey Deewana Karday Yah ALLAH
Dard Se Mera Daaman Bharday Yah ALLAH
Sooraj Si Ik Cheez To Hum Sab Dekh Chukay
Sooraj Si Ik Cheez To Hum Sab Dekh Chukay
Sach Much Ki Ab Koi Sehar Day Yah ALLAH
Phir Chahey Deewana Karday Yah ALLAH
Dard Se Mara Daaman Bharday Yah ALLAH
Yah Dharti Kay Zakhmo Per Marham Rakhday
Yah Dharti Kay Zakhmo Par Marham Rakhday
Yah Mera Dil Pathar Karday Yah ALLAH
Phir Chahey Deewana Karday Yah ALLAH
Dard Se Mera Daaman Bharday Yah ALLAH

 0 People liked it
0 Ratings

Logo Ki Nigaho Se Dard Chupana Padta Hai
Hume To Gham Mein Bhi Muskurana Padta Hai
Hum Bhi Kuch Lagte Hain Unke
Ye Bhi Ab Unhe Yaad Dilana Padta Hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Wo Ek Shab Jali Tou Usay SHAMMA Keh Dia
Hum Barson Se Jal Rahe Hyn Koi Tou Khitaab Do

 0 People liked it
0 Ratings


Hakikat na puch mere fasane ki,
Tere jate hee badal gaye nazar zamane ki,
Log puchte hai main khush kyo nahi,
Kaya kahu meri to aadat thi tere sang muskurane ki.

 0 People liked it
0 Ratings


Yeh sach hai un se nigahain kabhi mila na sakay
hum un ki yaad ko lekin kabhi bhula na sakay
Woh khush naseeb sahi,tujh se jo qareeb hain
hum budnaseeb hain jo ghum se dur jaa na sakay
Chah ker chandni bhi us husn ko pohanch na sakee
nikhar ke phool bhi us ka shabaab laa na sakay
Qaid-e-ghum main bhi yeh aansu khushi ke qasid hain
jo un ke deedar ke doraan hum chuppa na sakay
Hazar Gardish-e-doraan ke saath khail chukkay
magar tumharee nazar ka mizaaj paa na sakay
jhijak jhijak ker nazar un ke dil tak aa pohanchii
yeh woh safar hai ke Hussaini jise bhula na sakay.

 0 People liked it
0 Ratings


Kal khud hi apni mehfil se nikaala tha hamein
Aaj wo hum sa dewaana dhoondhte hain
Musafir be-khabar hain teri aankhon se
Jo Tere shaher me maikhaane dhoondte hain
Tujhe kya pata aye sitam dhaane wale
Hum to khud rone k bahaane dhoondte hain
Unki aankhon ko youn na dekho tum
Naye teer hain nishaane dhoondte hain.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Dard Shayari 611 - 620 of 708, Page 62 of 71 pages.