Dard Shayari

Dard Shayari - A large collection of Dard Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Dard Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Dard Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Dard Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Dard Shayari

Showing Dard Shayari 681 - 690 of 708, Page 69 of 71 pages.


Bas ye khel dilon ka hai
chalta hi rehta hai,
hazaro khushiyon ke pal aye zindgi mai,
par kyun tanhai ka vo pal khalta hi rehta hai
hum lakh hase duniya ke age
par andar to kuch jalta hi rehta hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Phira Hun Sare Zamane Main Dar Badar Kesa
Main Tere Bad Bhi Zindah Raha Mager Kesa
Woh Janta Tha K Kuch Roz Wo Nahi Tha To Main
Pukarta Raha Usko Edhar Udhar Kesa .

 0 People liked it
0 Ratings

Teri sari kasme sab wade adhure ho gaye
raste mai kho gayi manzile sapne bhi khak ho gaye
puch kar to dekh hale dil mera apne dilse
tu khd jan jayegi tere ishq mai hum kitne barbad ho gaye.

 0 People liked it
0 Ratings


Kaash ye mukhtasar si mulakat hi naa hoti
gar na ashna hi rehtay,tu phir ye bat bhi na hoti
jo na dekhtay tum mujhko, yoon nazar bacha bacha kar
meri zindagi ab aisy, andhery raat bhi na hoti..

 0 People liked it
0 Ratings

Benaam Sa Ye Dard Thahr Kyon Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai Voh Guzar Kyon Nahi Jata

Sab Kuch To Hai Kya Dhoondhti Rehti Hain Nigahein
Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata

Vo Ek Hi Chehra To Nahi Saare Jahan Mein
Jo Door Hai Voh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata

Main Apni Hi Uljhi Huyi Raahon Ka Tamasha
Jaate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata

Voh Khwab Jo Barson Se Na Chehra, Na Badan Hai
Voh Khwab Hawaon Mein Bikhar Kyon Nahi Jata

 0 People liked it
0 Ratings

Go zara si baat par barason ke yarane gaye
lekin itna to hua kuch log pahachane gaye
garmi-e-mahafil faqat ik nara-e-mastana hai
aur wo khush hain ki is lahafil se divane gaye
main ise shoharat kahun ya apni ruswai kahun
mujhase pahale us gali mein mere afasane gaye
yun to wo meri rag-e-jan se bhi the nazadik tar
aansuon ke dhundh mein lekin na pahachane gaye
vahashaten kuch is tarah apana muqadar ho gain
hum jahan pahunche hamare sath virane gaye
ab bhi un yadon ke khushbu zehan mein mahafus hai
barha hum jin se gulazaron ko mahakane gaye
kya qayamat hai ki ‘khatir' kushta-e-shab bhi the hum
subh jab hui to mujarim hum hi gardane gaye
Poet of the ghazal or Nazam: Khatir Ghaznavi

 0 People liked it
0 Ratings

Doston Ki Dost Hi Jaan Lene Lage Hain.
Ab To Vafa Mein Bhi Imtahan Hone Lage Hain.
Kho Gayi Tahazeeb-Insani Insanon Se,
Insaniyat Bhi Insan Khone Lage Hain.
Kal Tak Thi Chhoone Se Nafarat Jinhen,
Wo Bhi Munh Sharab Se Dhone Lage Hain.
Doston Ki Dost…. Bharosa Uth Gaya Insan Ka Insan Se,
Bete Bhi Zamanat Baap Se Lene Lage Hain.
Farz Bacha Hi Nahin Is Jahan Mein Koi,
Nauker Ke Bhi Malik Pe Ehasan Hone Lage Hain.
Doston Ki Dost….. Ehasan Jispar Kiye Jisne,
Usee Ki Badaulat Wo Badnam Hone Lage Hain.
Yaron Dil Lagana Na Kisi Se,
Mohabbat Ke Bure Anzam Hone Lage Hain.
Doston Ki Dost… Bikte Hain Eeman Daulat Ki Khatir,
Izzat Ke Saude Sare Aam Hone Lage Hain.
Ibadat Bhi Mandir Mein Daulat Ki Hoti,
Log Daulat Ka Sham-O-Subah Naam Lene Lage Hain.
Doston Ki Dost… Gam Mein Aadat Thi Muskurane Ki Jinko,
Wo Bhi Hoker Behal Rone Lage Hain.
Ab Khuda Hi Jane Is Jahan Ka Kya Hoga Manzer,
Izafe Julm-O-Sitam Mein Her Saal Hone Lage Hain.
Doston Ki Dost Hi Jaan Lene Lage Hain.
Ab To Vafa Mein Bhi Imtahan Hone Lage Hain.

 0 People liked it
0 Ratings


Kabhi kabhi sapne chur ho jate hain
Halaat se log dur ho jate hain
Par kuch yaadein itni haseen hoti hai ki
Unhe yaad karne ko hum majboor ho jate hain

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Dard Shayari 681 - 690 of 708, Page 69 of 71 pages.