Dil Shayari

Dil Shayari - A large collection of Dil Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Dil Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Dil Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Dil Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Dil Shayari

Showing Dil Shayari 441 - 450 of 523, Page 45 of 53 pages.

Dil Ki Dhadhkan Hai,Khyaalon Mein Mere Rehta Hai
Kaun Hai Woh, Jo Swaalon Mein Mere Rehta Hai
Jis Ka Dekha Na Khwaab Us Se Wafa Karta Hoon
Dil Ke Aaine Mein Main Us Se Mila Karta Hoon
Main Nahin Jaanta Yeh Kis Ki Talab Hai Mujh Ko
Kis Ka Armaan Iraadon Mein Mere Rehta Hai
Khwaab Hai Woh Mera, Taabeer Dilaaon Kaise
Apni Hasrat Ko Main, Taqdeer Banaaon Kaise
Mujh Ko Milta Hai Sakoon, Us Ka Tasavur Kar Ke
Woh Ishara, Jo Isharon Mein Mere Rehta Hai
Kis Ki Tareef Mein Likhi Yeh Ghazal Kya Janu
Kis Ko Kehta Hoon Mohabbat Ka Kanwal Kya Janu
Main Tau Bas Aik Hi Umeed Mein Rehta Hoon Sadaa
Us Ko Dekhoon Jo Nazron Mein Meri Rehta Hai

 0 People liked it
1 Ratings

Aaj Bhi Ek Sawaal Hai Dil Mein
Pyar Ka Gham Be-Shumaar Hai Dil Mein
Kuch Keh Nahi Pata Yeh Dil Magar
Kisi Ke Liye Bahut Pyar Hai Iss Dil Mein.

 0 People liked it
1 Ratings

Thani thi dil mein ab na milenge kisi se hum
par kya kare ke ho gaye nachar jee se hum
hum se na bolo tum ise kya kahate hain bhala
insaf kije puchate hain aap hi se hum
kya gul khilega dekhiye hai fasl-e-gul to dur
aur su-e-dasht bhagte hain kuch abhi se hum
kya dil ko le gaya koi begana aashna
q apne jee ko lagate hain kuch ajanabi se hum

 0 People liked it
1 Ratings

Mera jee hai jab tak teri justaju hai
zaban jab talak hai yahi guftagu hai
khuda jane kya hoga anjam is ka
main besabar itna hun wo tund khu hai
tamanna hai teri agar hai tamanna
teri aarzoo hai, agar aarzoo hai
kiya sair hum ne gulzar-e-duniya
gul-e-dosti mein ajab rang-o-bu hai
ganimat hai ye did wa did-e-yaran
jahan mund gayi aankh, main hun na tu hai
nazar mere dil ki padi “dard” kis par
jidhar dekhata hun wahi ru-ba-ru hai

 0 People liked it
1 Ratings

Tere aane ke jab khabar mahake
tere khushbu se sara ghar mahake
sham mahake tere tasavvur se
sham ke bad phir sahar mahake
raat bhar sochata raha tujh ko
zahan-o-dil mere raat bhar mahake
yaad aaye to dil munavvar ho
did ho jaye to nazar mahake
wo ghadi do ghadi jahan baithe
wo zamin mahake wo shajar mahake

 0 People liked it
1 Ratings

Khuda wo waqt na laye ki sogawar ho tu
sukun ke neend tujhe bhi haram ho jaye
teri masarrat-e-paiham tamam ho jaye
teri hayat tujhe talkh jam ho jaye
gamon se aaina-e-dil gudaz ho tera
hujum-e-yas se betab hoke reh jaye
wafur-e-dard se simab ho ke reh jaye
tera shabab faqat khwab ho ke reh jaye
gurur-e-husn sarapa niyaz ho tera
tawil raton mein tu bhi qarar ko tarase
teri nigah kisi gamgusar ko tarase
khizanrasida tamanna bahar ko tarase
koi jabin na tere sang-e-astan pe jhuke
ki jins-e-ijz-o-aqidat se tujh ko shad kare
fareb-e-wada-e-farda pe aetamad kare
khuda wo waqt na laye ki tujh ko yaad aaye
wo dil ki tere liye be-qarar ab bhi hai
wo aankh jis ko tera intazar ab bhi hai

 0 People liked it
1 Ratings

Hangama hai q barpa thodi si jo pi li hai
daka to nahi dala chori to nahi ke hai
na-tajurbakari se waiz ke ye baten hain
is rang ko kya jane pucho to kabhi pi hai
us mein se nahi matalab dil jis se hai begana
maqasud hai us mein se dil hi mein jo khinchati hai
van dil mein ki sadame do yan jee mein ke sab sah lo
un ka bhi ajab dil hai mera bhi ajab jee hai
har zarra chamakata hai anavar-e-ilahi se
har sans ye kahati hai hum hain to khuda bhi hai
suraj mein lage dhabba fitarat ke karishme hain
but hum ko kahe kafir ALLAH ke marzi hai

 0 People liked it
1 Ratings

Jab tera hukm mila tark muhabbat kar di
dil magar is pe wo dhadhaka ki qayamat kar di
tujh se kis tarah main izhar-e-tamanna karta
lafz sujha to mani ne bagavat kar di
main to samajha tha ki laut aate hain jane wale
tune jakar to judai meri qismat kar di
mujh ko dushman ke iradon pe bhi pyar aata hai
teri ulfat ne muhabbat meri aadat kar di
puch baitha hun main tujh se tere kuche ka pata
teri halat ne kaisi teri surat kar di

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Dil Shayari 441 - 450 of 523, Page 45 of 53 pages.