Dosti Shayari

Dosti Shayari - A large collection of Dosti Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Dosti Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Dosti Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Dosti Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Dosti Shayari

Showing Dosti Shayari 231 - 240 of 449, Page 24 of 45 pages.


Arz kiya hai.
Dost,
Chera har kisi ko dikhaya nahin jata,
man mein har kisi ko basaya nahin jata,
marey dost, yai dil, mahez dil nahin, ek mandir hai
har kisi ko, is main basaya nahin jata.
Kareeb aao, merey dost bano, marey hamraz bano,
dosti cheez hai keya, marey dost bataingey tumehen,
Ye who subha hai jis ki na sham hoti hai,
ye who umr hai jo kabhi na tamam hoti hai,
jo kartin hain isey who duniya ko bhool jatey hain,
duniya un ko yad karti hai, woh duniya ko yad atey hain.

 0 People liked it
0 Ratings

Saqiya tera isarar apni jagah
tere maikash ka inkar apni jagah
teg apni jagah dar apni jagah
aur haqiqat ka izhar apni jagah
ab khandahar hai khandar hi kaho dosto
shish mahalon ke aasar apni jagah
tur par lakh musa se ho guftagu
arsh-e-azam pe didar apni jagah
avvalan haq ne takhliq jis ko kiya
sab ke bad us ka izhar apni jagah
mukhtasar ye bata sar ba-kaf kon tha
jit apni jagah har apni jagah
bhai se bhai ke kuch taqaze bhi hain
sahan ke bich ke divar apni jagah

 0 People liked it
0 Ratings

Hashraton Ki Nigaaho Pe Sakht Pehra Hai
Na Jaane Kis Ummeed Pe Yeh Dil Thehra Hai
Teri Kasam Dost Apni Dosti Ka Rishta
Pyar Se Bhi Gehra Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Main na hindu na musalaman mujhe jine do
dosti hai mera iman mujhe jine do
koi ehsaan na karo mujh pe to ahasan hoga
sirf itna karo ehsaan mujhe jine do
sab ke dukh dard ko apna samajh kar jina
bas yahi hai mera araman mujhe jine do
log hote hain jo hairan mere jine se
log hote rahen hairan mujhe jine do

 0 People liked it
0 Ratings

Dard Se Dosti Ho Gayi Yaaron
Zindagi Bedard Ho Gayi Yaaron
Kya Hua Jo Jal Gaya Aashiyana Hamara
Duur Tak Roshni To Ho Gayi Yaaron..

 0 People liked it
0 Ratings

Na Kashti Hai Na Kinara Hai Koi
Na Manzil Na Sahara Hai Koi
Na Ansu Hai Na Kushi Ka Ishara Hai
Par Aap Hai To Lagta Hai Hamara Hai Koi

 0 People liked it
0 Ratings


Dosti Ke Amber Pe Mehtaab Hai Tu.
Ae Dost Mere Liye Nayaab Hai Tu.
Likhe Ye Alfaaz Jab Aahat Si Hooie K Tu Hai,
Dosti Ki Mehak Liye Khilta Gulab Hai Tu.

 0 People liked it
0 Ratings

Aik Pal Ki Zindagi Mein Jee Li
Umariya Saari
Kon Jane Aney Wali Ghari Mein
Hum Ho Na Houn
Tum Se B Kerli Dosti Ki Tamanna
Poori Hum Ne
Tere Jaisa Dost Meri Zindagi Mei
Phir Ho Na Ho

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Dosti Shayari 231 - 240 of 449, Page 24 of 45 pages.