Dosti Shayari

Dosti Shayari - A large collection of Dosti Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Dosti Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Dosti Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Dosti Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Dosti Shayari

Showing Dosti Shayari 241 - 250 of 449, Page 25 of 45 pages.

Hadase kya kya tumhari berukhi se ho gaye
sari duniya ki liye hum ajanabi se ho gaye
gardish-e-dauran, zamane ki nazar, aankhon ki neend
kitne dushman ek rasm-e-dosti se ho gaye
kuch tumhari gesuon ki barahami ne kar diya
kuch andhere mere ghar mein roshni se ho gaye
yun to hum aagah the saiyad ki tadbir se
hum asir-e-dam-e-gul apni khudi se ho gaye
har qadam “sagar” nazar aane lagi hain manzilen
marhale tay meri kuch aavaragi se ho gaye

 0 People liked it
0 Ratings

Zindagi Kissi Ki Amanat Nahi Hoti
Amanat Me Kabhi Kayamat Nahi Hoti
Dil Ko Sambhal Kar Rakhna
Kyun Ki Meri Dosti Ki Kaid Me Zamanat Nahi Hoti

 0 People liked it
0 Ratings

Aaj Khushiyon Ki Koi Badhai Dega,
Nikla Hai Chand To Dikhai Dega,
Ae Dost Dosti Ki Hai Humne Aapse,
Aapka Ek Aansu Bhi Ghira To Sunai Dega..

 0 People liked it
1 Ratings

Apni Zindagi Mein Mujh Ko Kareeb Samajhna
Koi Ghum Aaye To Shareek Samjhna
De Denge Muskurahat Aansoon K Badlay
Magar Hazaron Doston Mein Thora Aziz Samjhna

 0 People liked it
1 Ratings

Kaanto K Badlay,Phool Kia Do Ge
Aansoon K Badlay,Khushi Kia Do Ge
Hum Chahtay Hain Aap Se Umar Bhar Ki Dosti
Hamary Is Ulfat Ka Jawab Kia Do Gay…?

 1 People liked it
0 Ratings

Maujon ka aks hai khat-e-jam-e-sharab mein
ya khoon uchal raha hai rag-e-mahatab mein
wo maut hai ki kahate hain jisako sukun sab
wo ain zindagi hai jo hai iztarab mein
dozakh bhi ek jalva-e-firdaus se husn hai
jo is se bekhabar hain wohi hain azab mein
us din bhi meri ruh thi mahv-e-nishat-e-did
musa ulajh gae the saval-o-javab mein
main iztarab-e-shauq kahun ya jamal-e-dost
ik barq hai jo kaundh rahi hai naqab mein

 0 People liked it
0 Ratings

Rab Ne Agar Ye Rishta Banaya Na Hota,
Ek Dost Ko Duje Se Milaya Na Hota,
Zindagi Ho Jati Bejaan Agar,
Maine Tere Jaisa Dost Paya Na Hota.

 0 People liked it
0 Ratings

Jab Jindagi Meri Kuch Rukne Lagi Thi,
Badte Kadam Kuch Thakne Lage The,
Sahara Yu Dost Ka Mila Mujhko
Ke Dosti Pe Apni Gumaan Aane Laga Mujhko.
Kuch Chehre Jab Paraye Hone Lage The,
Kuch Haath Chod Ke Jaane Lage The,
Tere Haath Ne Kuch Yu Thama Mujhko
Ke Dosti Pe Apni Gumaan Aane Laga Mujhko.
Safar Main Jab Paya Akela Maine Khudko Tha,
Shitij Pe Tara Koi Na Tha Raahgir Mera,
Kuch Yu Humsafar Ban Gaye Tum Mere,
Ke Dosti Pe Apni Gumaan Aane Laga Mujhko.
Ab Na Kissi Saathi Ki Khwahish Hogi
Ke Dost Tere Jaisa Jo Mil Gaya Hai Mujhko,
Kuch Yu Khili Hai Mushkilo Main Dosti Apni
Ke Dosti Pe Apni Gumaan Aane Laga Mujhko.
Ab Na Aanjam Ki Fikr Hai Mujhko,
Nahi Raah Ki Mushkilo Ka Koi Dar Hai,
Baantein Kuch Pal Saath Hum Raah Main Istarah
Ke Duniya Kare Gumaan Dosti Pe Anpni!!!

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Dosti Shayari 241 - 250 of 449, Page 25 of 45 pages.