Gham Shayari

Gham Shayari - A large collection of Gham Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Gham Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Gham Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Gham Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Gham Shayari

Showing Gham Shayari 1 - 10 of 73, Page 1 of 8 pages.

Agarche Do Kinaron Ka Sangam Nhi Hota
Magar Ek Sath Chalna B Koi Kam Nhi Hata
Wo Ankhain Ek Luta Ghar Hain Jehan Aansu Nahi Rehte
Wo Dil Ek Pathar Hai Jis Dil Main Kisi Ka Gham Nahi Hota

 8 People liked it
3 Ratings

Tu Dekh Ya Na Dekh Tere Dekhne Ka Gham Nahi
Par Teri Ye Na Dekhne Ki Ada Dekhne Se Kam Nahi

 11 People liked it
0 Ratings

Wo Hamen Bhool Bhi Jayen To Koi Gum Nahi Hai,
Jana Unka Jaan Jane Se Km Nahi Hai,
Jane Kaise Zakham Diye Hain Usne Is Dil Ko???
K Jiske Liye Sb Vaid Kehte Hain Ki Koi Marham Nahi Hai..

 5 People liked it
4 Ratings

Chaand Ke Saath Kaii Dard Puraane Nikale
Kitane Gam The Jo Tere Gam Ke Bahaane Nikale
Fasl-E Gul Aaii Phir Ik Baar Asiiraan-E-Vafaa
Apane Hii Khuun Ke Dariyaa Men Nahaane Nikale
Hijr Ki Ajab Sang-Shikan Hotii Hai
Dil Kii Befaiz Zamiinon Se Khazaane Nikale
Umr Guzarii Hai Shab-E-Taar Men Aankhen Malate
Kis Ufaq Se Meraa Khurshiid Na Jaane Nikale
Kuu-E-Qaatil Men Chale Jaise Shahiidon Kaa Juluus
Khvaab Yuun Bhiigatii Aankhon Ko Sajaane Nikale
Dil Ne Ik Iint Se Taamiir Kiyaa Taaj Mahal
Tuu Ne Ik Baat Kahii Laakh Fasaane Nikale
Dasht-E Tanhaaii-E-Hijraan Men Khadaa Sochataa Huun
Haaye Kyaa Log Meraa Saath Nibhaane Nikale
Main Ne ‘Amjad' Use Bevaastaa Dekhaa Hii Nahiin
Vo To Khushbuu Men Bhii Aahat Ke Bahaane Nikale

 0 People liked it
3 Ratings

Gham Ki Dahleez Par Rakha Diya Hun Main
Kai Khushiyon Ko Ek Saath Jiya Hun Main
Sambhal Sambhal Kar Chalna Muhaal Ho Gaya
Kisi Jagah Ab Tak Na Ruk Saka Hun Main
Ye Taaza Khoon Mere Darwaze Par Kiska Hai
Shayad Raat Yahin So Liya Hun Main
Aksaar Aaiene Ko Dekhkar Chauk Jata Hun
Lagta Hai Is Shaks Se Kahin Mil Chuka Hun Main
Bahut Khamoshi Se Sunai Munsif Ne Saza “Kaash“
Bahut Dino Tak Use Dekhta Raha Hun Main

 0 People liked it
2 Ratings

Naseeb Mein Tha, Maa Ki Mamta Ki Daolath
Tukhra Diya Tha Maine Us Daolath Ko
Aaj Us Daulat Ki Qimat Maloom Padi
Per
Bouth Der Ho Chuki
Sab Apni Maa Se Gale Miltey Hain
Kushi Kushi Se
Use Dekhti Hi Reh Jathi Hoon Mai
Aankon Mein Aanso Bharey…
Dil Tadap Uttha Hai
Aur Mujse Kehta Hai
Lo Tuje Yehi Saza Hai…

 0 People liked it
1 Ratings

Khuda Se Thoda Raham Khareed Lete
Aap Ke Zakhmo Ka Marham Khareed Lete
Agar Kahi Bikti Khushiya Meri
To Saari Bech Kar Aap Ka Har Ghum Khareed Lete

 4 People liked it
2 Ratings

Sach Baat Maan Leejiye Chehre Pe Dhuul Hai
Ilzaam Aaiinon Pe Lagaanaa Fazuul Hai
Terii Navaazishen Hon To Kaantaa Bhii Phuul Hai
Gham Bhii Mujhe Qubuul, Khushii Bhii Qubuul Hai
Us Paar Ab To Ko’ii Teraa Muntazir Nahiin
Kacche Ghare Pe Tair Kar Jaanaa Fizuul Hai
Jab Bhii Milaa Hai Zakhm Kaa Tohfaa Diyaa Mujhe
Dushman Zaruur Hai Vo Magar Baa-Usuul Hai

 2 People liked it
1 Ratings

Post Shayari

Next Page

Showing Gham Shayari 1 - 10 of 73, Page 1 of 8 pages.