Gham Shayari

Gham Shayari - A large collection of Gham Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Gham Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Gham Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Gham Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Gham Shayari

Showing Gham Shayari 11 - 20 of 73, Page 2 of 8 pages.

Gamo Ka Daur Jaari Hai,
Aaj Ki Raat Bhari Hai,
Dilo Ka Tutna Koi Nai Baat Nahi,
Aaj Meri To Kal Kisi Aur Ki Baari Hai.

 0 People liked it
1 Ratings

Zindagi Ka Matlab Aapne Bata Diya,
Har Gam Ka Matlab Aapne Samjha Diya.
Aap To Ro-Kar Bhi Apne Gamon Ko Halka Na Kar Sake,
Humne Khushi Ki Aaadh Mein Apne Ghamon Ko Chupa Liya.

 0 People liked it
1 Ratings

Ye Rat Ye Tanhai
Ye Dil K Dharakne Ki Awaz
Ye Sannata
Ye Dubte Taron Ki
Khamosh Gazalkhwani
Ye Waqt Ki Palkon Par
Soti Hui Wirani
Jazbat-E-Muhabbat Ki
Ye Akhri Angrai
Bajti Hui Har Janib
Ye Maut Ki Shahnai
Sab Tum Ko Bulate Hain
Pal Bhar Ko Tum A Jao
Band Hoti Meri Ankhon Main
Muhabbat Ka
Ik Khwab Saja Jao

 0 People liked it
0 Ratings

Khuda Se Thoda Rahem Kharid Lete
Aapke Zakhmonka Marham Kharid Lete
Agar Kahin Bikti Khushiyan Meri
To Sari Bech Kar Apka Har Gam Kharid Lete

 1 People liked it
0 Ratings

Logon Ne Apna Hunar Dikhaya B Bohat Hay
Ja Ja K Usay Manaya Bhi Bohat Hay
Such Pocho To Dil Ko Acha Bohat Lagta Hay
Wo Shaks Js Ne Dil Dukhaya B Bohat Hay

 0 People liked it
1 Ratings

Jo Sab Dete He Wo Hum Nahi Denge
Pyar Jab Bhi Denge Kam Nahi Denge
Yakin Na Ho To Aazma Lena Mere Dost,
Zindgi Me Kbhi Tumhe Gum Nahi Denge..

 0 People liked it
1 Ratings

Ghum Nahi Bholta Bhulanay Say
Num Hoe Ankhayen Muskurany Say
Aaj Woh Ajnabi Say Lagty Hain
Jante Houn Jisay Zamany Say
Doston Ki Parakh Nahi Kerna
Maan Totay Gaa Azmany Say
Jab Say Apno Say Choot Khaye Hai
Koi Shikwah Nahi Zamanay Say
Zindagi Ki Haqeqaton Ki Kasam
Dil Ki Batyen Hain Bas Fasanay Say

 0 People liked it
0 Ratings

Kariyaa-E-Jaan Men Koi Phuul Khilaane Aaye
Vo Mere Dil Pe Nayaa Zakhm Lagaane Aaye
Mere Viiraan Dariichon Men Bhii Khushbuu Jaage
Vo Mere Ghar Ke Dar-O-Baam Sajaane Aaye
Us Se Ik Baar To Ruuthuun Main Usii Kii Maanind
Aur Merii Tarah Se Vo Mujh Ko Manaane Aaye
Isii Kuuche Men Kai Us Ke Shanaasaa Bhii To Hain
Vo Kisii Aur Se Milane Ke Bahaane Aaye
Ab Na Puuchhuungii Main Khoye Hue Khvaabon Kaa Pataa
Vo Agar Aaye To Kuchh Bhii Na Bataane Aaye
Zabt Kii Shahar-Panaahon Kii Mere Maalik Khair
Gam Kaa Sailaab Agar Mujh Ko Bahaane Aaye

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Gham Shayari 11 - 20 of 73, Page 2 of 8 pages.