Gham Shayari

Gham Shayari - A large collection of Gham Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Gham Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Gham Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Gham Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Gham Shayari

Showing Gham Shayari 21 - 30 of 73, Page 3 of 8 pages.

Chahiye achchon ko jitana chahiye
chahiye achchon ko jitana chahiye
ye agar chahen to phir kya chahiye
sohabat-e-rinda se vajib hai hazar
ja-e-mai apne ko khencha chahiye
chahane ko tere kya samajha tha dil
bare ab is se bhi samajha chahiye
chak mat kar jeb be ayyam-e-gul
kuch udhar ka bhi ishara chahiye
dosti ka parda hai beganagi
munh chupana hum se choda chahiye
dushmani mein meri khoya gair ko
kis qadar dushman hai dekha chahiye
apani rusvai mein kya chalati hai sai
yar hi hangama aara chahiye
munhasir marane pe ho jis ke umid
naumidi us ke dekha chahiye
gafil in mah talaaton ke vaste
chahane vala bhi achcha chahiye
chahate hain khubaruon ko asad
aap ke surat to dekha chahiye
Poet of the poem or ghazal or nazam : Mirza Ghalib

 0 People liked it
0 Ratings

Zindagi Ke Har Mor Par
Hum Ne Dhoka Kha Rakha Hai
Loog Samajhte Hain
Hum Ne Duniya Ko Hansa Rakha Hai
Laiken In Ko Kia Maloom!!
Keh Hum Ne
Apne Ghar Ke Aik Kamre Mein
Aik Choota Sa Apni Hasraton Ka
Qabristan Bana Rakha Hai
Mout Bhi Karti Hai Hum Se Be Wafaye
Aur Ghumon Ne Humein
Sanam Khana Bana Rakha Hai
Loogo Ki Nazro Mein Hum Ne
Apne Labon Par
Majmooa-E-Aashar Saja Rakha Hai
Laiken In Ko Kia Maloom!!!
Hum Ne Ghum Aur Dukhoo Ka
Naam Khushi Bana Rakha Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Hota Kaise Unhe Gam Hamari Ruswai Ka
Jab Fark Pada Hi Nahi Unhe Hamari Judai Ka
Khamoshi Se Saha Hamne Jab Har Gam
To Ilzam Laga Diya Bewafai Ka

 0 People liked it
1 Ratings

Ghamon Main Hasnay Walon Ko Rulaya Nahin Jata
Lahroon Say Pani Ko Hataya Nahin Jaata
Bananay Walay Ban Jatay Hain Apnay
Kisi Ko Keh Ker Apna Banaya Nahin Jata

 0 People liked it
0 Ratings

Yeh Sach Hay Ke Un Se Nigahen Kabhi Mila Na Sake
Hum Un Ki Yaad Ko Lekin Kabhi Bhula Na Sake
Woh Badnaseeb Sahi Tujh Se Jo Kareeb Nahi
Woh Khushnaseeb Hain Jo Tum Se Door Ja Na Sake

 0 People liked it
0 Ratings

Johar-E-Zabt Ke Ahsas Se Darr Lagta Tha
Jang Main Tapti Hoe Pyass Se Darr Lagta Tha
Isse Liye Karbo-Bala Sham Se Aya Na Yazid
Usee Zaineb Tere Abass Se Darr Lagta Tha

 1 People liked it
0 Ratings

Dono Jahan Teree Mohabbat Main Har K
Woh Ja Raha Hay Koi Shab-E-Gham Guzar K

 0 People liked it
0 Ratings

Ghum-E-Dil Sunane Ko Jee Chahta Hai
Tumhe Azmane Ko Jee Chahta Hai
Suna Hai Yeh Jab Sey,Bohat Door Ho Tum
Bohat Door Jane Ko Jee Chahta Hai
Tumhain Hum Sey Koi Shikayat Nahin Hai
Yoon Hi Rooth Jane Ko Jee Chahta Hai
Faqat Hai Yay Hi Nazroon Ka Dhooka
Keh Dhookay Mein Aaney Ko Jee Chahta Hai
Duaa Hai Keh Woh Hum Se,So Baar Roothein
Hamara Mananay Ko Ge Chahta Hai
Nazar Woh Naa Ayein Per Un Ke Gali Mein
Yunhe Aane Jaane Ko Gee Chahta Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Gham Shayari 21 - 30 of 73, Page 3 of 8 pages.