Gham Shayari

Gham Shayari - A large collection of Gham Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Gham Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Gham Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Gham Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Gham Shayari

Showing Gham Shayari 41 - 50 of 73, Page 5 of 8 pages.

Hoti Hai Lakh Ghumo Ki Dawa Neend B Magar,
Hote Hain Aise Ghum Bhi Jo Sone Nahi Dete !!!

 0 People liked it
0 Ratings

Apne saye se bhi ashkon ko chupa kar rona
jab bhi rona ho charagon ko bujha kar jina
hath bhi jate huye wo to milakar na gaya
main ne chaha jise sine se laga kar rona
tere divane ka kya hal kiya hai gham ne
muskurate huye logon mein bhi ja kar rona
log pad lete hain chehare pe likhi tahariren
itna dushvar hai logon se chupa kar rona
 

 0 People liked it
0 Ratings

Dukh Dard Kay Maroon Say Mera Zikar Na Karna
Ghar Jaon To Yaroon Say Mera Zikar Na Karna
Woh Zabt Na Kar Paen Gay Ankho Kay Samander
Tum Rah Guzaroon Say Mera Zikar Na Karna
Pholon Kay Nashaiman May Raha Hoon May Sada Say
Daikho Kabhi Kharon Say Mera Zikar Na Karna
Woh Meray Hal May Bay Sakhta Na Ro Dain
Is Bar Bharoon Say Mera Zikar Na Karna
Shayad Yai Andhaira Hi Mujhay Rah Dikhay
Tum Chand Sitaroon Say Mera Zikar Na Karna
Kaheen Woh Meri Kahani Ko Ghalt Rang Na Dai Dain
Afsana Nigaroon Say Mera Zikar Na Karna
Gehrahi May Layjain Gay Tum Ko Bhi Baha Ker
Darya Kay Kinaroon Say Mera Zikar Na Karna
Woh Shaks Melay To Usay Her Bat Batana
Tum Sirf Isharoon Say Mera Zikar Na Karna

 0 People liked it
1 Ratings

Shaam-E-Furqat Dhalay Hum Nahi Chahtay
Ghum Say Fursat Milay Hum Nahi Chahtay
Phir Naya Waar Sehnay Ko Tayyaar Hain
Tu Pareshaa'n Rahay, Hum Nahi Chahtay
Aaj Ansoo Bahaanay Say Mat Rokiye
Aaj Baarish Thamay, Hum Nahi Chahtay
Hum Teray Baad Ujrray Howay Theek Hain
Ab Kahin Dil Lagay, Hum Nahi Chahtay
Teray Paikar Ko Hum Dekhtay Hi Rahain
Tu Nazar Say Hatay, Hum Nahi Chahtay
Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mojon Ka Shoor
Ghum Ka Darya Rukay Hum Nahi Chahtay
Iss Qadar Pyaar Se Tu Pukara Na Kar
Aag Dil Ko Lagay Hum Nahi Chahtay

 0 People liked it
0 Ratings

Gham Se Badker Dost Koi Dusra Hota Nahi
Sub Juda Hote Hai Lekin Gham Dil Se Kabhi Juda Hota Nahi

 0 People liked it
1 Ratings

Log Toot Jate Hainek Ghar Banane Me
Tum Taras Nahi Khaate Bastiyan Jalane Me

 0 People liked it
0 Ratings

Darya Ki Hawa Taiz Thi Kashti Thi Purani
Roka To Bohat Dil Nay Magar Aik Na Maani
Main Bheegti Aankhon Say Usay Kaisay Bataun
Mushkil Hay Bohat Abr Main Deewar Girani
Nikla Tha Tujhay Dhoondnay Ik Hijr Ka Taara
Phir Us Kay Taaqub Main Gayi Saari Jawani
Kehnay Ko Nayi Baat Koi Ho To Sunaain
So Bar Zamanay Nay Suni Hay Yeh Kahani
Yeh Pul Hay Yahan Phool Kahan Pichlay Baras Kay
Hay Din To Wohi Dost, Magar Aor Hay Pani
Kis Tarah Hota Mujhay Guman Tark-e-Wafa Ka
Aawaz Main Thehrao Tha Lehjay Main Rawani
Ab Main Usay Qatil Kahoon AMJAD, Keh Maseeha
Kia Zakhm-E-Hunar Chhorh Gaya Apni Nishani

 0 People liked it
0 Ratings

Na Umeedain Kisi Se Rakhtey To Acha Hota
Aitbar Na Kisi Pe Kartey To Acha Hota
Sabaq Daita Hai Zamana Yeh Auron Ko Giraney Ka
Sahara Na Kisi Ko Samjhtey To Acha Hota
Yaqeen Apni Kamyabi Ka Kisi Ko Kab Hota Hai
Taqdeer K Muqabil Na Hotey To Acha Hota
Sochtey They Aitbar Andha Ho Ga Dewana Tum Per
Na Khuwaab Jagtey Main Daikhtey To Acha Hota
Na Chatey Tum Kisi Ko Na Koi Tumheen Poojta
Na Achey Kisi Ko Lagtey To Acha Hota
Darya Mohabbat Ka Kab Koi Paar Karta Hai Dost
Na Mohabbat Kisi Se Kartey To Acha Hota

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Gham Shayari 41 - 50 of 73, Page 5 of 8 pages.