Gham Shayari

Gham Shayari - A large collection of Gham Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Gham Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Gham Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Gham Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Gham Shayari

Showing Gham Shayari 61 - 70 of 73, Page 7 of 8 pages.

Pee Rahe The Hum Aj Akele Akele
Seh Rahe The Gum Aj Akele Akele
Vaada Kiya Usne Aakri Saans Tak Saath Nibane Ka
Par Aaj Marange Hum Aj Akele Akele

 0 People liked it
0 Ratings

Kisi Ke Sath Mein Aur Dil Kisi Ke Sath Raha
Ajab Mazaaq Meri Zindagi Ke Sath Raha
Kamal-E-Zabt Tha Mera Woh Ya Muqadar Tha
Kinar-E-Aab Bhi Ju Tashnagi Ke Sath Raha
Woh Aik Dukh Jisay Door Chor Aya Tha
Tamaam Umer Meri Zindagi Ke Sath Raha
Jo Dil Mein Baat Thi Hontoon Se Kis Tarha
Mein In Ki Bazm Mein Ik Bebasi Ke Sath Raha
Abb In Mein Aa Ke Darinday Bhi Ho Gaye Shamil
Abb Admi Bhi Kahan Admi Ke Sath Raha
Hansa To Ankh Se Ansoo Nikal Parhay
Hamesha Ghum Koi Meri Khushi Ke Sath Raha

 0 People liked it
0 Ratings

Apne tain to har ghadi gham hai, aalam hai, daag hai
yaad kare hamen kabhi kab ye tujhe dimag hai
ji ki khushi nahi giro sabz-o-gul ki hath kuch
dil ho shagufta jis jagah wo hi chaman hai bag hai
kis ki ye chashm-e-mast ne bazm ko yun chaka diya
masl-e-habab sar nagun sharam se har ayag hai
jalate hi jalate subah tak guzari use tamam shab
dil hai ki shola hai koi, shama hai ya chirag hai
paiye kis jagah bata aye but-e-bewafa tujhe
umr-e-guzashta ki tarah gum hi sada surag hai
sair-e-bahar-o-bag se hum ko maf kijiye
us ki khayal-e-zulf se dard kise farag hai?

 0 People liked it
0 Ratings

Marne Ka Tere Gam Mein Iraada Bhi Nahi Hai
Hai Ishq Magar Itna Ziyaada Bhi Nahi Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Har Khushi Kam Hai, Tera Gum Bhulane Ke Liye
Ek Tera Gum Hi Kaafi Hai, Mujhe Umr Bhar Rulane Ke Liye

 0 People liked it
0 Ratings

Tanhaii Ne Is Ko Bhi To Ghera Tha
Sir Se Lekar Paa'oo Tak Jo Mera Tha
Mai Bhi Pagal Itni Baat Na Jaan Saka
Is Ka Aana Jogi Wala Phera Tha
Maine Likha Lafz Ba Lafz Lahu Se Jisko
Wo Fasana Tera Tha Na Mera Tha
Hum Ne Jeeta Aadha Aadha Apna Aap
Laikin Mera Adha Bhi , Kab Mera Tha
Sajid Jiski Chahaat Tere Dil Mai Thi
Iske Dil Ko Aur Kisi Ne Ghera Tha

 0 People liked it
0 Ratings

Na Hara H Ishq Na Dunia Thaki H
Diya Jal Raha H Hawa Chal Rahi H
Sukun Hi Sukun H Khusi Hi Khusi H
Tera Gam H Salamat Mujko Kya Kami H

 0 People liked it
0 Ratings

Dil Ke Zakhmon Ne Cain Se Rehne Na Diya
Jab Chali Sard Hawa Main Tujhe Yaad Kiya
Gham Is Baat Ka Nahi Kyon Kiya Dil Barbaad
Gham To Is Baat Ka Hai Kyun Itni Der Se Kiya Barbaad

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Gham Shayari 61 - 70 of 73, Page 7 of 8 pages.