Bahut Jataate Ho Chaah Humse Lyrics

Aadmi Khilona Hain- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Bahut Jataate Ho Chaah Humse from movie Aadmi Khilona Hain

  

Lyrics

    • Movie Name : Aadmi Khilona Hain
    • Director(s) : 
    • Singer(s) : Alka Yagnik,Mohammad Aziz
    • Lyricist(s) : 

    o o o... ho ho ho....
    bahut jataate ho chaah humse - 2
    karoge kaise vivaah humse, (aye dil - 8)
    kasam khuda ki yahi kahunga - 2
    tumhaare bin main na ji sakunga, (aye dil - 8)

    yeh dard kya hain, karaar kya hain, tumhe pata hain yeh pyaar kya hain
    deewaana pan hain deewaangi hain, suna hain maine yeh bekhudi hain
    wafa ki raaho mein jalna hoga, kahi gire toh sambhalna hoga
    sulagte sholon pe main chaalunga - 2
    wafa ke rangon mein rang lunga, (aye dil - 8)

    nazar mein chehra taraash lunga, tumhaari saansein ki pyaas lunga
    yeh khwaab itna haseen kyon hain, tumhein wafa pe yakin kyon hain
    meri toh khwaahish tumhaari chaahat, mujhe bhi kab se tumhaari hasrat
    milaao na yu nigaah humse - 2
    ho jaaye na kahi gunaah humse, (aye dil - 8)

    zamaana humko karega ruswaah, jara bataao karoge tum kya
    mujhe na ruswaayi ka koyi darr, tumhe toh chaaha hain apne dam par
    kisine humko juda kiya toh, khushi ke mausam mein gam diya toh
    zamane ke saare ghum sahunga - 2
    na dur ab tumse main rahunga, (aye dil - 8)
    bahut jataate ho chah humse - 2
    karoge kaise vivaah humse, (aye dil - 16)

    Related Lyrics