Kabhi Khole Na Tijori Ka Taala Lyrics

Bidaai (1974)- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Kabhi Khole Na Tijori Ka Taala from movie Bidaai (1974)

  

Lyrics

    • Movie Name : Bidaai (1974)
    • Director(s) : Laxmikant-Pyarelal
    • Singer(s) : Kishore Kumar
    • Lyricist(s) : 

    tun tuna tun tuna tun tuna

    (ho kabhi khole na tijori ka taala, haan mera sasura badha paise waala
    tun tuna tun tuna tun tuna) - (2)
    ho kab niklega iska dewaala, haan mera sasura badha paise waala
    tun tuna tun tuna tun tuna

    hat jaao mat shor karo -2, sasure ko mat bore karo
    sasura achchha banda hai, maana kaala dhandha hai
    oonchi mill ka maalik hai, chhote dil ka maalik hai - (2)
    itna dhan kaise aaya, main bolun aise aaya
    lekar naam naseebon ka, choosa khoon gareebon ka
    sadhu bankar ye daaka daala, haan mera sasura badha paise wala...
    tun tuna tun tuna tun tuna

    miliye ab is gori se -2, meri prem chakori se
    kaisi pyari lagti hai, abla naari lagti hai
    gaaon ko dhoka de aayi, mujhko shehar mein le aayi - (2)
    qad ki thodi chhoti hai, par shtranj ki goti hai
    aisi chaal ye chalti hai -2, kehte jaan nikalti hai
    kaisi aurat se padh gaya paala, haan mera sasura badha paise waala...
    tun tuna tun tuna tun tuna

    ab tum poochho kaun hai yeh -2, kitni der se maun hai yeh
    yeh sevak hai swami ka, rishtedaar hai tommy ka
    kadcha hai na khamcha hai, yeh chhota sa chamcha hai - (2)
    kutte sa peeche daude, pakde to phir na chhode
    achha is ka kaam nahin -2, par yeh namak haraam nahin
    chori ke maal ka yeh rakhwaala, haan mera sasura badha paise waala
    tun tuna tun tuna tun tuna
    ho kabhi khole na tijori ka taala
    ho kab niklega iska dewaala, haan mera sasura badha paise waala
    tun tuna tun tuna tun tuna

    Related Lyrics