Lyrics  »  Hindi Lyrics  »  Gang

Insaaf Ki Dagar Pe Lyrics

Gang- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Insaaf Ki Dagar Pe from movie Gang

  

Lyrics

    • Movie Name : Gang
    • Director(s) : Naushad
    • Singer(s) : Hemant Kumar
    • Lyricist(s) : 

    (insaaf ki dagar pe bachchon dikhaao chalake
    yeh desh hai tumhaara neta tumhi ho kal ke) - (2)

    duniya ke ranj sehana aur kuchh na muh se kehana - (2)
    sachchaayiyon ke bal pe aage ko badhate rehana - (2)
    rakh doge ik din tum sansaar ko badalake - (2)
    insaaf ki dagar pe bachchon dikhaao chalake
    yeh desh hai tumhaara neta tumhi ho kal ke

    apane ho ya paraaye sabke liye ho nyaay - (2)
    dekho kadam tumhaara hargij na dagmagaaye - (2)
    raste bade kathin hai chalana sambhal sambhalake - (2)
    insaaf ki dagar pe bachchon dikhaao chalake
    yeh desh hai tumhaara neta tumhi ho kal ke

    insaaniyat ke sar pe ijjat ka taaj rakhana - (2)
    tan mann ki bhet dekar bhaarat ki laaj rakhana - (2)
    jivan naya milega antim chita mein jalake - (2)
    (insaaf ki dagar pe bachchon dikhaao chalake
    yeh desh hai tumhaara neta tumhi ho kal ke) - (2)

    Related Lyrics