Lyrics  »  Hindi Lyrics  »  Aalaap

Koyi Gaata Main So Jaata Lyrics

Aalaap- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Koyi Gaata Main So Jaata from movie Aalaap

  

Lyrics

    • Movie Name : Aalaap
    • Director(s) : 
    • Singer(s) : Yesudas
    • Lyricist(s) : 

    koyi gaata, main so jaata - 2

    sansriti ke vistrit saagar mein, sapanon ki nauka ke andar
    dukh sukh ki laharon mein uth gir, bahata jaata main so jaata

    aankho mein lekar pyaar amar, aashish hatheli mein bharkar
    koyi mera sar godi mein rakh sahalaata, main so jaata

    mere jeevan ka kaaraajal, mere jeevan ka haalaahal
    koyi apane swar mein madumay kar doharaata, main so jaata

    koyi gaata, main so jaata

    Related Lyrics