Lyrics  »  Hindi Lyrics  »  Aarzoo

Sajan Sajan Teri Dulhan Tujhko Pukare Aaja Lyrics

Aarzoo- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Sajan Sajan Teri Dulhan Tujhko Pukare Aaja from movie Aarzoo

  

Lyrics

    • Movie Name : Aarzoo
    • Director(s) : Anu Malik
    • Singer(s) : Alka Yagnik
    • Lyricist(s) : 

    chandni rat, taro ki barat hai
    dil ki mehfil sajane me (kya der hai - 2)
    dhadkane dil ki shehnayiya ban gayi
    abb toh sajan ke aane me (kya der hai - 2)

    meri zindagi mera pyar yad aa raha hai
    aanewala hai jo, woh yad aa raha hai
    (sajan sajan teri dulhan tujhko pukare aaja
    aakar mere hatho me mehndi tu hi racha ja) - (2)
    aa ja, aa ja, aa ja

    meri zindagi mera pyar yad aa raha hai
    aanewala hai jo, woh yad aa raha hai
    sajan sajan teri dulhan tujhko pukare aaja
    aakar mere hatho me mehndi tu hi racha ja
    aa ja, aa ja, aa ja

    payal kajal kangan daman sare tujhe bulaye
    aa ja sajan aa ja tere apne tujhe bulaye
    aa ja, aa ja, sajan aa ja
    mere mehbub, mere hamsafar
    tujhko kya pata, hai tujhe kya khabar, ehsan tere kitne hai mujhpar
    rab pe yakin hai jitna, utna hai tujhpar
    aa ja, aa ja, aa ja

    mera mehbub mera sanam aa raha hai
    ham toh marhi chuke the, phir janam aa raha hai
    sajan sajan teri dulhan tujhko pukare aa ja
    aakar mere hatho me mehndi tu hi racha ja
    aa ja, aa ja, aa ja

    chunri meri rangin huyi hai tere rang se sajan
    aakar rang de mera ang ang apne rang se sajan
    aa ja aa ja sajan aa ja
    tumse wafaye bahut main karungi
    kasam teri abb yeh dil kisi ko na dungi
    aa tujhe bata du, mere dil mein kya hai
    dil lenewale tujhe jan apni dungi
    aa ja, aa ja, aa ja

    dhadkane badh rahi hai, woh karib aa raha hai
    khushnasibi banke mera woh nasib aa raha hai
    sajan sajan teri dulhan tujhko pukare aa ja
    aakar mere hatho mein mehndi tu hi racha ja

    chandni rat, taro ki barat hai
    dil ki mehfil sajne mein (kya der hai - 2)
    dhadkane dil ki shehnayiya ban gayi
    abb toh sajan ke aane me (kya der hai - 2)

    Related Lyrics