Lyrics  »  Hindi Lyrics  »  Aan

Gustakhiya Hain Betabiya Hain Lyrics

Aan- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Gustakhiya Hain Betabiya Hain from movie Aan

  

Lyrics

    • Movie Name : Aan
    • Director(s) : Jatin-Lalit,Aadesh Shrivastava
    • Singer(s) : Aadesh Shrivastava,Vasundara
    • Lyricist(s) : Prasun Joshi,Praveen Bharadwaj,Nitin Raikwar

    gustakhiya hain, betabiya hain, chayi hain madhoshiya
    hosh uda do, sab kuchh bhula do, todo yeh khamoshiyan
    yeh dhadkan ki raftar hai, yeh sason ka angar hai
    yeh ishq sulagne do zara, yeh chahat ka iqrar hai
    jane jan oh jane jan

    (aawara arman hai, yeh dil ka ailan hai
    jan tujhpe kurban hai, janejan) - 2
    ek hulchul si hone lagi, main jannat mein khone lagi
    mujhko bahon mein tham lo, phir na rukne ka nam lo
    gustakhiya hain, betabiya hain, chayi hain madhoshiya

    (deeware sab tod do, mausam ka rukh modh do
    har kashti ko chhod do, janejan janejan) - 2
    main hu teri aagosh mein, kuchh hosh mein kuchh josh mein
    kuchh shole hain kuchh hai jalan, kuchh behke behke hain kadam
    gustakhiya hain, betabiya hain, chhayi hain madhoshiya
    hasti mita do, masti luta do, chhodo bhi yeh duriya
    yeh ishq sulagane do jara, yeh chahat ka iqrar hai
    jane jan oh jane jan

    Related Lyrics