Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 91 - 100 of 3592, Page 10 of 360 pages.


Us ajnabi ka youn na intezaar karo,
Is aashiq dil ka na aitbaar karo,
Roz nikla karen kisi ke yaad mein aanso,
Itna kabhi na kisi se pyaar karo..

 0 People liked it
0 Ratings


wafaon ki batein ki hamne jafaon k samne
le chale ham charagh hawaon k samne
uthe hain jab bhi haath badli hain qismate
Majbur hai Khuda bhi duaon k samne.

 0 People liked it
0 Ratings


Mere Wajood Ki Jageer Ussne Mangi Hai
Ajab Khawab Ki Tabeer Ussne Mangi Hai
Usski Qaid Me Rehti Hoon Mein Pehle Bhi
Naa Jaane Phir Kyun Zanjeer Uss Ne Mangi Hai
Guman Hota Hai Woh Bhool Sakta Hai Mujhe
Kyunke Aaj Meri Tasveer Ussne Mangi Hai
Mere Khuda Mujhe Usske Naseeb Me Likh De
Ke Mujh Se Meri Hi Taqdeer Ussne Mangi Hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Muddato baad yeh dil patthar se dil huwa hai, ise dil rahne do.
Dil mein hai jo arman use zaban se kahe lene do,
Pata nahi Zindagi ki Kab shaam Dhal Jaye Agar ajj Mile hai to Kahe lene Do!!!

 0 People liked it
0 Ratings


Fir bhi ..
Hum unki chhah main tadapkar rote hai,
aansoo hamare dikaye nahi dete hai,
unki yaadonmain ratbhar jagate hai,
aur dinka chain bhi khote hai,
fir bhi wo aisa kyon samazati hai ki,
sare mard ek jaise hote hai,
.
Hum unki khushi ko apna samazate hai ,
aur unke gum main bhi to saath nibhate hai,
unki musibato ko khud zelate hai,
aur fir bhi muskurate hai,
fir bhi wo aisa kyon samazati hai ki,
sare mard ek jaise hote hai,
.
Unke ha main main ha milana hamari majbori hoti hai,
kyon ki koi galatfehmi na ho iske liye ye zaroori hoti hai,
wo apne aapko hi sabkuch samazati hai,
aur hame apni ungaliyon pe nachati hai,
hum nachate bhi hai,
fir bhi wo aisa kyon samazati hai ki.
sare mard ek jaise hote hai,
.
Dhoka to wo bhi deti hai humko,
magar fir bhi badnam hume hi karti hai,
dil to wo bhi dukhati hai humara,
magar fir bhi ilzam humko hi deti hai,
sub gile shikave bhulkar hum unko manate hai,
fir bhi wo aisa kyon samazati hai ki,
sare mard ek jaise hote hai,
.
Muze to ab aisa lagata hai,
sari ladakiya yahi sochati hai,
hum maise bhi kio accha ho sakata hai,
kyo nahi wo apne dil se dekhati hai,
tumhare pyar ke khatir hum apna sab kuch lutate hai,
fir bhi wo aisa kyo samazati hai ki,
sare mard ek jaise hote hai,
. .
Bahot dukh hota hai,
bahot takalif bhi hoti hai,
kaise samazaye hum unko ki,
aankhen hamari bhi roti hai,
magar hum chupke chupke aansoo pi lete hai,
fir bhi wo aisa kyo samazati hai ki,
sare mard ek jaise hote hai,
.
Sari ladakiya aisa na samze to accha hai,
pyar hum jo karte hai dilo jan se tum pe,
wo bhi utnahi saccha hai,
agar kisi ki galatfehami ka tum shikar ho,
to wo us ek ki burai hai,
kyon dosh deti ho tum ham sab ko,
humse tumhri kya ladai hai,
fir bhi .
tum ko jo chhahe tum karo,
tum ko jo chhahe tum kaho,
tumhe puri azadi hai,
mard aur aurat main beti baap aur bhai bahan
bhi to hote hai,
kya fir bhi tum kahogi ki,
sare mard ek jaise hote hai !

 0 People liked it
0 Ratings


Dil-e-dastan chupaey kaise jay ye bechaine bataye kis-se jay
Har lamhon mein khoja hai use par ye sachai bataye kis-se jay.

 0 People liked it
0 Ratings


Muhabbat phool hai “JANA” kaho tou phool ban jaun,
Tumari zindgi ka aik haseen usool ban jaun,
Suna hai rait pe chal ke tum aksar mehak jate ho,
Kaho tou ab ki baar mei zameen ki dhool ban jaun,
Bahut nayaab hote hain jine tum apna kehte ho,
Izazat do ki mei bhi iss kadar Anmol ban jaun.

 0 People liked it
0 Ratings


Bikhri hui zulfoon ko apni pehchan bana lo,
rakhna hai mujhe qaid to zanjeer bana lo,
kaagaz pe lakeerain to boht kheench li tumne,
ab sab ko mila kar meri tasveer bana lo.
———————

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 91 - 100 of 3592, Page 10 of 360 pages.