Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 1031 - 1040 of 3592, Page 104 of 360 pages.


Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne,
Khud bula ker phir sataya hai kisi ne,
Jab tak jali hai shama jalta raha parwana,
Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne
Armaan mere raiza raiza hogaye hain,
Yun kil k aangan say giraya hai kisi ne,
Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga,
Dil is tarah say aaj jalaya hai kisi ne,
Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko,
Is tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne,
Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha
Us ko bhi tarpaya hai kisi ne..

 0 People liked it
0 Ratings

Sapnoan se dil lagane ki aadat nhi rahi ,
Har waqt muskurane ki aadat nhi rahi ,
Hame ptta hai ke koi hame manane nhi aaiga,
So aab toa rooth jane ki aadat bhi nhi rhi ….

 0 People liked it
0 Ratings


Humne puchha kaise ho to jawaab na aaya,
is berukhi se hamara dil bhar aayaa,
socha galti kiski hai,
to ye khayal aaya,
shayad ye nacheez dost pasand nahi aaya,
Dard gairon ko sunane ki jaroorat hi kya hai,
apne saath auron ko rulane ki jaroorat hi kya hai,
waqt yu hi kam hai pyar k liye,
rooth kar waqt gujarne ki jaroorat hi kya hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Dard Shayari
Sare Sapne Tod K Baite Hai
Sare Arman Tod K Baite Hai
Na Kijiye Hamse Wafa Ki Bate
Abhi Abhi Dil K Tukde Jodkar Baite Hai  (love bad ok)
Pathan Jokes
100 pathan aik kashti me sawar thay
k achanak kashti ruk gai
or
sab doob gaye, kaisay?
pathan thay na sub,
dhakka laganay utar gaye
Dosti Shayari
Pani Se Tasvir Kaha Banti He
Khwabo Se Takdir Kaha Banti He
Kisi Ko Chaho To Sacche Dilse
Kyunki Ye Zindgi Phir Kaha Milti Hai
Love Shayari
Humnay Dil Tora Dharkanoun Kay Khauf Say
Apni Basti He Mita Di Barishoun Kay Khauf Say
Kon Kehta Hai Hamein Mohabbat Ras Agaye?
Hum Tu Youn He Hans Daitay Hain Ansoun Kay Khauf Say
( What Is Love Shina Amir)
Hindi Shayari
tufan me kashti ko kinare bhi mil jate hai
jahan me logo ko sahare bhi mil jate hai
duniya me sabse pyari hai zindagi
kuch log zindagi se pyare bhi mil jate hai
Urdu Shayari
Na Khawabon Main Dekha, Na Nazaron Main Dekha,
Hazaron Main Hum Nay Ek Tum Hi Ko Dekha
Ghum Denay Walay Tu Har Pal Hai Yahan,
Har Pal Khushi Denay Walon Main, Ek Aap Ko Hi Dekha
Love Shayari
Jis anjam se hum dartey thay,
Uss anjam tak humein le aaya koi.
Zindagi guzar gayi samjhaney mein,
Kuch iss tarha bekarari sikha gaya koi
Hindi Shayari
dil gumsum zubaan khamosh
yeh aankhein nam kyu hai
jab tujhe kabhi paya hi na tha
to aaj tujhe khone ka ghum kyu hai.
Dard Shayari
Hume Bhi Pyaar Karne Ka Khayal Aaya,
Jub Bhi Yeh Khayal Aya Khud Ko Akeala Paya,
Dhoonte Rahe Is Duniya Main Humsafar,
Kisi Ko Dohke Baaz, Kisi Ko Bewafa Hi Paya
Dard Shayari
Meri sari zindagi ko be sabub us nay kia
Umar meri thi magar is ko basar us nay kia
Rahbar mera bana gumrah krnay k liya
Mujhko seedhay rastay say darbadar us ny kia.
Hindi Shayari
log kahate hai. tum cigaret kyu pite ho.
kya ye pyas bhujati hai. maine kaha nahi.
dil me kisi bewafa ki tasveer hai.
kambkat usko jalati hai.
Hindi Shayari
Takdir Ke Rang Kitne Ajeeb Hain
Anjane Rishte Hai Phir Bhi Kareeb Hain
Har Kisiko Dost Aapke Jaisa Nahi Milta
Aap Mile Mujhe Ye Mera Naseeb Hai (good freiends )

 0 People liked it
0 Ratings


dil kaa kyaa hai vo to chaahegaa musal_sal milnaa
vo sitam_gar bhii magar soche kisii pal milnaa
vaaN nahiin vaqt to ham bhii hain adiim-ul-fursat
us se kyaa kahiye jo har roz kahe,,, kal milnaa
————————————————
dil ko us raah pe chalna hi nahi
jo mujhe tujh se juda karti hai
zindagi meri thee lekin ab to
tere kehne mai raha karti hai
————————————————-
ujre hue loagon se gurezaan na hua kar
haalaat ki qabron pe ye qatbe bhi parha kar.
har waqt ka hansna tujhe barbaad na kar de
tanhaaee ke lamhon mai kabhi ro bhi liya kar,
ae dil tujhe dushman ki bhi pehchan kahan hai.
too halqa e yaaran mai bhi mohtaat raha kar.
us shakhs ke tum se bhi marasim hain to hoonge
woh jhoot na bole ga mere saamne aa kar.
ab thookre khaye ga kahan ae game ahbaab
main to kaha tha mere dil mai hi raha kar.
is shab ke muqaddar main seher hi nahi Mohsin
dekha hai kayee baar chiragon ko bujha kar
———————————————
na vo aankh hi teri aankh thee
na vo khuaab hi tera khuaab tha
dil e muntazir to yeh kis liye
tera jaagna usse bhool jaa
———————————————
INKISHAAF
na vaada hai koi tum se koi rishta nibhane ka
na koi aur hi dil mai tahayya ya iraada hai
kaii din se magar dil mai
ajab uljhan si rehti hai
ni tum is daastan k sarsari kirdaar ho koi
na kissa itna saada hai
taaluk jo mai samjha tha
kaheen us se ziyada hai
———————————————–
zehar aalood sahi lab pe tabbasum to saja
kuch bicharne k bhi aadaab hua karte hain
——————————————-
jala vo aag mohabbat ki mere seene mai
khayyal gair ka aaye to khaak ho jaaye
——————————————–
khulaa yeh aaj k hum aag hain jahanam ki
charragh hote to shub bhar main jal gaye hote
———————————————-
na koi gham hai na taqdeer mai judaaye hai
hamare pyaar ki sadion se aashnaaye hai
meri nazar mai azal se qayaam hai tera
LIKHA HUA MERE CHEHRE PE NAAM HIA TERA
_________________
har aik shab meri taaza azaab mai guzri
tumhaare baad tumhaare hi khwab mai guzri
mai aik phool hoon too mujh ko rakh k bhool gaya
tamam umr tumhari kitaab mai guzri
_________________
aarazuu hai vafaa kare koi
jii na chaahe to kyaa kare koi
tum saraapaa ho suurat-e-tasveer
tum se phir baat kyaa kare koi
———————
suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii
wo nigaah se pilaate to kuchh aur baat hotii
go havaa-e-gulasitaaN ne mere dil kii laaj rakh lii
wo naqaab Khud uThaate to kuchh aur baat hotii
ye bajaa kalii ne khil kar kiyaa gulasitaaN muattar
magar aap muskuraate to kuchh aur baat hotii
ye khule khule se gesuu, inhen laakh tuu saNwaare
mere haath se saNwarate, to kuchh aur baat hotii
go haram ke raaste se vo pahuNch gaye Khudaa tak
terii raahaguzar se jaate to kuchh aur baat hotii
_________________
sulook nishtaron jaisa na kijye hum se.
hamesha aap ko hum ne Gulaab likha hai
_________________
haal-e-dil main ne jo duniyaa ko sunanaa chahaa
mujh ko har shaKhs ne dil apnaa dikhanaa chahaa
apanii tasviir banaane ke liye duniyaa mein
main ne har rang pe ik rang charhanaa chahaa
Khaak-e-dil jauhar-e-aainaa ke kaam aa hii gaee
laakh duniyaa ne nigaahon se giranaa chahaa
sholaa-e-barq se gulashan ko bachaane ke liye
main ne har aag ko siine mein chhupanaa chahaa
apne aibon ko chhupaane ke liye duniyaa mein
main ne har shaKhs pe ilzaam laganaa chahaa
Gairat-e-mauj use phenk gaee saahil par
Doobne vaale ne jab shor machanaa chahaa
_________________
tere siva nahi jachta koi nigahoon mai
jo to kahe to bikhar jaaon teri raahon mai
nazar kaneez teri dil ghulaam hai tera
likha hua mere chehre pe naam hai tera.,
———————–
jaan-e-afasaanaa yahii kuchh bhii ho afasaane kaa naam
zindagii hai dil kii dharakan tez ho jaane kaa naam
qataraa qataraa zindagii ke zahar kaa piinaa hai Gam
aur Khushii hai do gharii pii kar bahak jaane kaa naam
intazaar-e-fasl-e-gul mein kho chuke aaNkhon ka nuur
aur bahaar-e-baaG letii hi nahin aane kaa naam
taab-e-naakaamii nahiin to aarzuu karataa hai kyaa
aarazuu hai mauj ke saahil se Takraane kaa naam

 0 People liked it
0 Ratings


Kya-kya nahi iss daur main insan bechta hai
Paise ke liye apna eman bechta hai
Maikash ke liye maikade ka diwar chahta hai
Daru ke liye ghar ka saman bechta hai
Mahangai ne muflis (garib) ki todi kamar aisi
Roti ke liye apne arman bechta hai
Ek jauhri tha shayad emandar hoga
Sunte hain ki ab sadak par pan bechta hai
Iss daur main bharosha kiska karenge ‘Avinash’
Pagal bhi aaj apni pahchan bechta hai..

 0 People liked it
0 Ratings


kahani kuch adhuri adhuri lagne lagi hai,
Zindgani adhuri adhuri lagane lagi hai
Ki apse mulakat ki tamanna iss kadar rahi
Ab bina mile hi tamanna puri puri lagane lagi hai…

 0 People liked it
0 Ratings

Thi ek aarzo jo ab bhi adhori hai.
Meri Jindagi Jo Kyon nahi Puri hai,

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 1031 - 1040 of 3592, Page 104 of 360 pages.